Sayed Payam Haider Rizvi

Sayed Payam Haider Rizvi
 
Age:
Location: Lucknow
Nationality: India

Public QnA

Finance me kaam karna kaisa hai? Mein Waha job nahi karta bus kam karne me kuch commisions mil jata hai. Trucks waghera par finance krte hai. Mera kaam customer se milna hai aur agar unko zarurat hoti hai to unka loan company kar deti hai jaise kisi driver se milte hai aur usey truck chahiye hota hai taqi wo truck chalakar apni rozi hasil kar ske lekin truck lakho rupey ke ate hai to wo kuch raqam ada krke loan pe truck le leta hai aur uske badle mahine me kist ke zariye ada karta hai. Customer ka agar loan ho jata hai to company hume kuch commisions deti hai. Agar kisi gher muslim country ho?

Jayez nahin hai. Non muslim se sirf sood lena jayez hai dena jayez nahin hai

Ladki ke aqiqa Eidul Azha wale din qurbani ke sath kar sakte hain, aur janwar nar hona chahiye ya mada? Aur janwar kitne saal ka hona chahiye? Niyat kya hogi.

Kar sakte hain ladki ke liye mada behtr hai niat aqiqe ki hogi qurabani ki niat kren us bachhi ki taraf se to bhi aqiqa uska saqit ho jayega

Agar kapde me thoda sa blood ho aur machine me dalde to kya wo paak hojaega aur dusre kapde bhi hojaege?
Machine me do time water cycle hoti hai aur kur water se connection hai

Paak ho jayega

Kya islam me Wednesday ya Tuesday ko baal kate per koi pabandi hai?

Nahin

Is covering feet wajib (mandatory for women)?

Ji wajib hai

Agar maa baap har waqt khaandaan walon (apne hi bhai-behen) ki gheebat krein or har insan me burai dhoondein or phr use sbme bayan krein, badikhlaaqi krein to agr aese me hm bache hokr unhe kis trhn mana krein or rokein? Or unke is badikhlaaqi me bacche sath na dein to qa ye maa-baap ki na-farmani hogi?

Gunah me man baap ki itaat lazim nahin hai yani jayez nahin hai. Narmi se samjhayen nahin mane to vahn se uth jayen

Fasting and travelling during ramathan? Will my fast be valid?

Agr 44 kilo meter ana jana milake safr kren to qasr hai zohr bad niklen to us din ka roza sahi hai

Ham har waqt koshish me rehte hai koi gunah na ho. Sab kuch jante hue itna ehtiyat karte hue hamse bhi gunah ho jata ha. Hm apne aap ko aur logo ko gunah se kaise bachae.

Tovba karte rahe aor ainda gunah na krne ka irada rakhen

Meri friend ke father pehle us muamle mei involve thai jisse haram paisa aata hai pr ab shayad nhi krte wo waisa kaam but the whole property and whatsoever they have now yaani unka jo kuch bhi hai wo unhi paiso se develop hua hai.

1) Toh kya unke ghar jaakr unki di hui cheeze kha pi skte hain istemaal kr skte hain?

2) Ya phir kyun ki unka base source of income haram paiso se bana hua hai toh wo hum par bhi haram hoga unka dia hua kuch khana pina istemaal krna ?

1) Aap ke liye jana haraj nahin hai.
2) Ji use kar sakte hain

Kya islam me shadi karna zaruri hai? Agar mai bina shadi k haram kaamon se bache bina rah sakta hun to?

agr gunah me od rhe ho to shadi wajub vgrna mustahab hai

Kya masterbution karna gunah hai?

Ji gunah hai. Allah se daren tanha na rahen

Beemari peecha nai chor rahi pareshanyan musalsal hain. Kya koi wird nai hai jinse ye mushkilat door hon

har namaz ke baad eak tasbih salwat padh len

Agar humbistri karne k liye bahot bechaini ho aur nikah kisi se mumkin na ho na koi mutaah ki sooorat ho to kya karen?

Tanha na rahen aor roza rakhen

Mai ek profesional singer hun to kya mera namaz roza jayez nai hai?

Namaz roza na choren us kam se bhi tovba karte rahe

Agar bacchha gaddey par peshab kar dey aur usko pak karna munasib na ho to kya chadar badal kar namaz padh saktey hai?

Padh sakte hain

Agr ladka sunni ho aur ladki shia toh kiya sunni mulana se nikkah jayaz hai? Fr uski bad shia mulana se bhi nikkah krnge toh chalega?

Ho sakta hai lekin ladki ko gumrah hone ka khowf ho to niakh jayez nahin hai

Surah tauba ki ayat no 4 and 5 jisme Mushriqeen ko qatl krne ko kaha gya hai hamey uska context janna hai

Jab mushrik jang kare us waqt ke liye kaha gaya hai

Kya mein graveyard mein rukh ke dua ya quran pad sakte hai puri raat jis din unka inteqal huwa?

Ruk sakte hain

Bank ai job karna kaisa hai India mai?

Bank ke muamelat do tarah ke hain,

1- Haram mumelat masaln sood lena dena uspar gavah banna aor uske lean dean  ka jo bhi kam ho anjam dena ya un cumpanyeo ke muamelat anjam dena jo suud lete dete hain ya sharab kharido forokht karte hain aise chezon me kam karna jayez nahi hai aor tankhah ka bhi mustahaqq nahi hai


2- Jayez muamelat upar jo bayan kiya gaya unke alavah baqiya jayez hai

Namardii ka ilaaj kya hai Ahlebait ki hadeeso ki roshni mai?

Gajar, khjoor, peyaz, anda aor dry food ka isteml kren

1) Jis ladki pe mutaah k liye baap ki ijazat lena zaruri h agar uski maa apne shohar yani ladki k walid se ijazat lele to kya wo kaafi h?

2) Mutaah ki iddat kabh khatam hoti h? For example agar 13 rajab 1441 ko ek saal k liye pada ho to fir agle saal 13 Rajab aakhri din hoga ya 12 Rajab?

1) Kafi hai
2) 12 rajab

1) Birthday cakes jo hum log online book krte hain wo mostly hindu company se bnaye jate hain to wo cake khana jaayaz hai??

2) Or kya hum log ghr ki zameen hindu didi se saaf krwa skte hain?

1) Agr yaqeen na ho ke hindu ka hath darect usme laga hai ya nahin to kha sakte hain

2) Jhadu dilwa sakte hain pocha lagayenge to ghr nahis ho jayega

Agar kisi shaks ne istekhara dekha or istekhara mana aaya or wo shaks bhul gaya kaam anjam diya to uska kaffara kya hoga

Agr koie gunah vala kaam nhin tha to kaffara nahin hai

Can I buy stocks with loans from bank and Stock broker and make profit from stocks and pay monthly installment for loans.
Once I will make enough profit of my own then I will not use loans

https://youtu.be/PCEVkeC3WGA

Mein فحاشی اور مشت زنی کا عادی ban gaya hun lekin mein nein wada kia tha apnein app se ke yeh gunna mein nhi karun ga lekin 58 din ke baad mujse ye guna phirse hogaya. Mein baar baar khudha se maafi mangta hun aur waada karta hun ke yeh gunna nhi karun ga lekin phir bhi yeh gunna jaata he. Kia app mujhe bataein ge ke mein kaise tawassul karun Ahlulbayt se ke wo meri maadad karein aur mein iss gunnah se kese bachun

1- Namaze shab padhen

2- Duaye tawssul zeyadh padhen

3- Zeyarte ashura aor uske bad ki dua padhen

4- Namaze jafare tayyar  padhen

5- Sadqa den 

6- Dua se pahle aor dua ke bad salwat padhen

Hum imam mahdi (a.s) ko areeza kaise lekhein kia humhein wo areeza kisi dariya mein phekna zaroori he yahan apnein pass rakhein

Bahte pani me dalne ki koshish kren

Hum Ahlulbayt (a.s) se kese tawassul karein dua e tawassul ke ilawa koi aur amal he kia?

Dua se pahle khuda ki hamd vo sana kare aur mohammad va aale mohammad per salwat bheje uske bad dua kare aur uske bad bhi salwat bheje. Hadees me aaya h agar dua se pahle aur bad me salwat bheje to darhaqeeqat 3 dua kiya h qki salwat bhi dua h aur yaqinan mustajab hoti h aur khuda vande kareem isse kareem h ki shuru aur aakhir ki dua ko qabool kare aur darmiyan ki dua ko mustajab na kare.

Albatta khuda vand ne vada kiya h ki dua ko mustajab karega ادعونی استجب لکم lekin jimn me farmaya h  اوفو بعهدی اوف بعهدکم  mere ahd ki wafa karo taki mai bhi apne ahad ki wafa karun is bina per dua ki qabooliyat ke liye zaruri h dua krne vala gunahon se pak ho aur vajibat ko anjam diya  ho  taki khoda ke ahed ki wafa kiya h aur uske awaz me  khoda bhi apne vade ke

Does songs, especially the sufi songs, fall into haram category especially the sufi songs

Gaane bajane ki mafilo ke munasib jo bhi songs hai jayez nahin hai

Share bazar me ek tarika hota hai jiske pehle ham company ke share ko 100 rupaye me bech kar baad me daam gir jaane par 90 rupaye me kharid kar 10 rupaye munafa kar sakte hai but mera dost kehta hai ye najayaz hai, bina kharide hum bech nahi sakte, jab ke ye sahulat hume khud company de rahi h. Pehle bech ke fir kharidna hota hai, chahe faayde me ho ya nuksaan me, aakhir me kharidne ke baad hi sauda pura hoga

Haraj nahin hai

Jab kisi ka pant ka ek part bhigi(najis) hue ho ta hain agar kisi aur ne woh pant apni hath se pakar leta hain leken uska hath najis se bhigta nehi hain toh fer kya uska hath najis ho gaya?

Woh jab pant ko pakra tab uska hath dry tha

Agr itna gila na raha ho ke rotubat hath me serayt kre to najis nahin hoga

Kya sajdah krte waqt hmari jo elbows h vo uthi rhni chahiye?

Mustahab hai

1) Mera sawal ye ki agar husband ka business nhi h or biwi earning h to kya wo fitra de sakti h?
2) Fitra ramzan mein kabi bhi de sakte hain ya chandraat ko hi dena zaruri hai?

1) Ji de sakti hai
2) Ramazan me bhi nikal sakte hain

Kya mustahab namaz ladies aur gents bazu me yane ek saf me padh sakte hai

Nhin pdh sakte. Ladies ko itna peche hona lazim hai ke uski sajdgah mard ke zanu se aage na ho

yada tar manqabat naat aise hai k jisme background me music type use karte hai to kya hum woh sun sakte hai manqabat naat sunnne ki niyat se woh music type sunne ki niyat se nahi?

Nhin sun sakte begir music ke sunen

Kya hum sadaat se ghar ka kaam ujrat deke kara sakte hai? Unko kaam ki zarurat hai aur hume bhi lekin hume sayed se kaam lena acha nagi lagta ab hume koi aur mil bhi nahi raha hai

Ehteram ka kheyal rakhen

Kya pairo ka masah karte waqt poore panje se karna wajib hai, yaani sirf ek ungli agar koi phere to sahi hai?

Ek ungli se bhi sahi hai

Ham roza rakhna chahate hai likin magrib se phele yani 6:30 p.m ko hamari classes hoti hai or 8:00p.m baje khatam hoti to kiya ham serf pani se roza khol le qke khajur yani namak se roza kholna sir ya teacher ke samne mushkil hai?

w s khol sakti hain

Hamare exmas shuru hone wale hai to hame koi aesi dua bata de to exam se phele pad kar jaa sake qke it’s not possible ke ham sab duae ziyarate exam se phele pade

1 tasbih salwat padh ke jayen

Kya Sayed aqiqe ka gosh khaa sakte hai?

Kha sakta hai. Sirf man bap aor jo bap ke tahte takfful hai na khyen makrooh hai khas tor pe man

Why did Imam Hussain try to go to kufa with his family even if he knew that he would be killed?

Jab insan jang me jata hai to use kabhi ilm hota hai mara jayega lekin jehad eak shrei wazifa hai usi tarh imame husain a s ko deen ko bachane ke liye hukm tha jayen gar che mare jayen.

Jo bimar bilkul bhi uth na paye na kuch haath mein utha sake bilkul bhi kuch kar na pata ho toh us shaks k liye namaz kaise padhna chahye?

Ishare se pdhe

Mujhse kisi ne kaha hai k raisin (kishmish)ko koi bhi chiz mein boil nahi krna chahye kyu k woh phul jati hai aur phul k woh sharab banane k use hoti hai. Toh kya yeh sahi hai?

Haraj nahin hai dal sakte hai. Angur mana hai na kishmish

Hamare ghar mein Christian maid aati hai woh ghar ki Saaf safai, bartan dhona sab karti hai toh kya us se kaam karana jayaez hai?

Agr christian hai to kara sakti hain


جیسا ہم چاہتے ہے کیو نہیں ہوتا الٹا کیو ہوتا ہے

Kabhi koie chez aap ke maslaht me nahin hoti is liye khoda nahin deta jo mile usi pe khush rahe zeyadh pareshn na ho

Mera sawal ye hai ke mere paas khud ka ghar hai. Ab mai esa soch rha hu ke apni job se nazdeek ghar lelu or uske liye mujhe kaafi raqam jama karna hogi toh kya mujhe khums dena hoga?

Ji jis paise pe khums ki tarikh ajye aor zarut me use na hua ho khums dena hoga

Agr roze ki halat me ho or corona ki second vaccine due jo ho to kya laga sakte hai?

w s laga sakte hain

Agr hamare paas sone ke liye do hi option ho k ya kible ke samne per rakhe ya sar to kese sona chahiye?

Aur generally bhi sona kis direction me chahiye?

Dayen pahlu sona ke chehra qible ki taraf ho mustahb hai

Kya Jummah ke din jab hum koi reason se Jummah me shamil na hoke to furada Zoharain thodi der se padhna mustahab hai?

Zuhrain awwal waqt bhi padh sakte hain

Aisa suna hai ki Shiane Ali 51 rakat namaaz padhta hai to kya agar kisi ki qaza namaz padh rahe hai to kya wo bhi usme shumaar hogi?

Shomar nahin hogi lekin 17 rakat ke alwah musthb hai takid hai khas tor pe namaze shab ki

1) Kya virtual gold (digital gold) jo ki online kharida jata hai, aur usko mobile se hi online bech diya jata hai, (aur wo asl me nahi milta, bas kimat milti hai) uspe bhi zakat dena chahiye?

2) Aur khums uski current kimat ke hisab se ya fir kharid wali?

1) Uspe zakat nahin hai

2) Current ki qimat se khums dena hoga

Apne student ko uski shatani pe yah homework na krne pe thoda mar dena kesa hai. Kya yeh sahi hai yah gunah hai?
Ek dafa maine uske gaal pe mar diya thoda laal ho gaya tha toh sharyat kya kheti hai is mamle me? Iski mafi kese hogi

Diat den use muaf karwayen

10 Muharram ko roza haram kyun hai?

Haram nahin makrooh hai bani umyya khushi me roza rakhte the

Me Namaze shab ka mukammal tarika janna chahaty hu niyat se lekar jo bhi hame namaz me padna h musassal peheli rakat se gyarah rakat tak

Namaze shab ka vaqt avvale shab se shrur ho jata hai gar che behtar haike aadhi rat ke bad pdhi jaye aor jitna bhi saher se nazdik ho behtar  hai

Aor ye 11 rkat hai 8 rakat nafele shab ki neayat ae 2-2 rkat kar ke namaze subah ki tarh pdhenge phir 2 rakat namaze safa ki neyat se padhenge phir 1 rakat vitr ki niyat se aor shfa aor vatr ko jama karke 1 slam se padh skte hain aor mustahabb haike vitr ke qonut men 40 momin keliye dua karen aor uske bad apne liye 70 martba istefgar kare (استغفر الله ربي واتوب اليه)phir 7 mrtba kahe (هذا مقام العائذ بك من النار) aor phir 300 martba (العفو) kahe aor namaz ko khtm kre

Pichle kuch mahino se mai 1-2 na mehram se chatting kiya karta tha. kuch waqt ke baad mujhe hidayat mili or maine unse baat krna band kardi. Unme se ek ne ek khwaish ka izhaar kiya, wo chahti h mai apni kuch tasviren usko bhjte raha karu, sirf normal tasviren. Mai ye janna chahta hu kya ye krna jayez hai?

Jayez nahin hai

Mai instagram or facebook me apni photos post krta hu or kuch na mehram ladkiyan meri photos dekhti hn. Mera ye sawal h kya isme koi shiriah masla ya koi gunah hai?

Aap agr normal photo upload krte hain to bazate khud ye kaam jayez hai

Sina (chest) ke baal katne ka kya masla hai aur is se kya nuksanat hote hai?

Harjaj nahin hai kat sakte hain

Kya ek aurat mard e mayyat ki qaza namaz pad sakti hai aur mayyat ki qaza namaz ke havale se mehram namehram ka kya masla hai?

Padh sakti hai mahram namahram me farq nahin hai

I was just wondering what is the position on sexual toys from Ayatollah Sistani. Is it allowed to use in the company of ones wife?

Jayez nahin hai haram hai aor bhot bada gunah

Kya koi kafir jo dimagi pagal ho to wo bhi jannat mai jai ga kyuo ki wo to pagal hain?

Allah unhe aql deke phir se imtehan lega agr kamyab huye to jannat me jayenge

Kya fighter banna or bodybuilder bana jaiz he Islam me?

Kyonke haram kamo me pdne ka sabab hai is liye jayez nhin hai

Kya khatna karne ka hukum quran me hai?

Ye sunnate paigamber aor ibrahim hai quran me nahin hai

Kya agr fajr ki namaz me dua or tamam taqiabat phadte waqt Suraj nikal ay (sun rise) ho jai to kya meri Fajr ki namaz qaza ho jai gi?

Qaza nahin hogi namaa waqt me padh lia ho kafi hai

Is it allowed to use elecric bat which kills mosquito and flies with electric current?

Haraj nahin hai

Kia roze ki halat m ya saheri kha kr sote waqt boroline ya bodylotion lagaya ja skta h haat pair me?

Laga sakte hain