Sayed Payam Haider Rizvi

Sayed Payam Haider Rizvi
 
Age:
Location: Lucknow
Nationality: India

Public QnA

Finance me kaam karna kaisa hai? Mein Waha job nahi karta bus kam karne me kuch commisions mil jata hai. Trucks waghera par finance krte hai. Mera kaam customer se milna hai aur agar unko zarurat hoti hai to unka loan company kar deti hai jaise kisi driver se milte hai aur usey truck chahiye hota hai taqi wo truck chalakar apni rozi hasil kar ske lekin truck lakho rupey ke ate hai to wo kuch raqam ada krke loan pe truck le leta hai aur uske badle mahine me kist ke zariye ada karta hai. Customer ka agar loan ho jata hai to company hume kuch commisions deti hai. Agar kisi gher muslim country ho?

Jayez nahin hai. Non muslim se sirf sood lena jayez hai dena jayez nahin hai

Ladki ke aqiqa Eidul Azha wale din qurbani ke sath kar sakte hain, aur janwar nar hona chahiye ya mada? Aur janwar kitne saal ka hona chahiye? Niyat kya hogi.

Kar sakte hain ladki ke liye mada behtr hai niat aqiqe ki hogi qurabani ki niat kren us bachhi ki taraf se to bhi aqiqa uska saqit ho jayega

Agar kapde me thoda sa blood ho aur machine me dalde to kya wo paak hojaega aur dusre kapde bhi hojaege?
Machine me do time water cycle hoti hai aur kur water se connection hai

Paak ho jayega

Kya islam me Wednesday ya Tuesday ko baal kate per koi pabandi hai?

Nahin

Is covering feet wajib (mandatory for women)?

Ji wajib hai

Agar maa baap har waqt khaandaan walon (apne hi bhai-behen) ki gheebat krein or har insan me burai dhoondein or phr use sbme bayan krein, badikhlaaqi krein to agr aese me hm bache hokr unhe kis trhn mana krein or rokein? Or unke is badikhlaaqi me bacche sath na dein to qa ye maa-baap ki na-farmani hogi?

Gunah me man baap ki itaat lazim nahin hai yani jayez nahin hai. Narmi se samjhayen nahin mane to vahn se uth jayen

Fasting and travelling during ramathan? Will my fast be valid?

Agr 44 kilo meter ana jana milake safr kren to qasr hai zohr bad niklen to us din ka roza sahi hai

Ham har waqt koshish me rehte hai koi gunah na ho. Sab kuch jante hue itna ehtiyat karte hue hamse bhi gunah ho jata ha. Hm apne aap ko aur logo ko gunah se kaise bachae.

Tovba karte rahe aor ainda gunah na krne ka irada rakhen

Meri friend ke father pehle us muamle mei involve thai jisse haram paisa aata hai pr ab shayad nhi krte wo waisa kaam but the whole property and whatsoever they have now yaani unka jo kuch bhi hai wo unhi paiso se develop hua hai.

1) Toh kya unke ghar jaakr unki di hui cheeze kha pi skte hain istemaal kr skte hain?

2) Ya phir kyun ki unka base source of income haram paiso se bana hua hai toh wo hum par bhi haram hoga unka dia hua kuch khana pina istemaal krna ?

1) Aap ke liye jana haraj nahin hai.
2) Ji use kar sakte hain

Kya islam me shadi karna zaruri hai? Agar mai bina shadi k haram kaamon se bache bina rah sakta hun to?

agr gunah me od rhe ho to shadi wajub vgrna mustahab hai

Kya masterbution karna gunah hai?

Ji gunah hai. Allah se daren tanha na rahen

Beemari peecha nai chor rahi pareshanyan musalsal hain. Kya koi wird nai hai jinse ye mushkilat door hon

har namaz ke baad eak tasbih salwat padh len

Agar humbistri karne k liye bahot bechaini ho aur nikah kisi se mumkin na ho na koi mutaah ki sooorat ho to kya karen?

Tanha na rahen aor roza rakhen

Mai ek profesional singer hun to kya mera namaz roza jayez nai hai?

Namaz roza na choren us kam se bhi tovba karte rahe

Agar bacchha gaddey par peshab kar dey aur usko pak karna munasib na ho to kya chadar badal kar namaz padh saktey hai?

Padh sakte hain

Agr ladka sunni ho aur ladki shia toh kiya sunni mulana se nikkah jayaz hai? Fr uski bad shia mulana se bhi nikkah krnge toh chalega?

Ho sakta hai lekin ladki ko gumrah hone ka khowf ho to niakh jayez nahin hai

Surah tauba ki ayat no 4 and 5 jisme Mushriqeen ko qatl krne ko kaha gya hai hamey uska context janna hai

Jab mushrik jang kare us waqt ke liye kaha gaya hai

Kya mein graveyard mein rukh ke dua ya quran pad sakte hai puri raat jis din unka inteqal huwa?

Ruk sakte hain

Bank ai job karna kaisa hai India mai?

Bank ke muamelat do tarah ke hain,

1- Haram mumelat masaln sood lena dena uspar gavah banna aor uske lean dean  ka jo bhi kam ho anjam dena ya un cumpanyeo ke muamelat anjam dena jo suud lete dete hain ya sharab kharido forokht karte hain aise chezon me kam karna jayez nahi hai aor tankhah ka bhi mustahaqq nahi hai


2- Jayez muamelat upar jo bayan kiya gaya unke alavah baqiya jayez hai

Namardii ka ilaaj kya hai Ahlebait ki hadeeso ki roshni mai?

Gajar, khjoor, peyaz, anda aor dry food ka isteml kren

1) Jis ladki pe mutaah k liye baap ki ijazat lena zaruri h agar uski maa apne shohar yani ladki k walid se ijazat lele to kya wo kaafi h?

2) Mutaah ki iddat kabh khatam hoti h? For example agar 13 rajab 1441 ko ek saal k liye pada ho to fir agle saal 13 Rajab aakhri din hoga ya 12 Rajab?

1) Kafi hai
2) 12 rajab

1) Birthday cakes jo hum log online book krte hain wo mostly hindu company se bnaye jate hain to wo cake khana jaayaz hai??

2) Or kya hum log ghr ki zameen hindu didi se saaf krwa skte hain?

1) Agr yaqeen na ho ke hindu ka hath darect usme laga hai ya nahin to kha sakte hain

2) Jhadu dilwa sakte hain pocha lagayenge to ghr nahis ho jayega

Agar kisi shaks ne istekhara dekha or istekhara mana aaya or wo shaks bhul gaya kaam anjam diya to uska kaffara kya hoga

Agr koie gunah vala kaam nhin tha to kaffara nahin hai

Can I buy stocks with loans from bank and Stock broker and make profit from stocks and pay monthly installment for loans.
Once I will make enough profit of my own then I will not use loans

https://youtu.be/PCEVkeC3WGA

Mein فحاشی اور مشت زنی کا عادی ban gaya hun lekin mein nein wada kia tha apnein app se ke yeh gunna mein nhi karun ga lekin 58 din ke baad mujse ye guna phirse hogaya. Mein baar baar khudha se maafi mangta hun aur waada karta hun ke yeh gunna nhi karun ga lekin phir bhi yeh gunna jaata he. Kia app mujhe bataein ge ke mein kaise tawassul karun Ahlulbayt se ke wo meri maadad karein aur mein iss gunnah se kese bachun

1- Namaze shab padhen

2- Duaye tawssul zeyadh padhen

3- Zeyarte ashura aor uske bad ki dua padhen

4- Namaze jafare tayyar  padhen

5- Sadqa den 

6- Dua se pahle aor dua ke bad salwat padhen

Hum imam mahdi (a.s) ko areeza kaise lekhein kia humhein wo areeza kisi dariya mein phekna zaroori he yahan apnein pass rakhein

Bahte pani me dalne ki koshish kren

Hum Ahlulbayt (a.s) se kese tawassul karein dua e tawassul ke ilawa koi aur amal he kia?

Dua se pahle khuda ki hamd vo sana kare aur mohammad va aale mohammad per salwat bheje uske bad dua kare aur uske bad bhi salwat bheje. Hadees me aaya h agar dua se pahle aur bad me salwat bheje to darhaqeeqat 3 dua kiya h qki salwat bhi dua h aur yaqinan mustajab hoti h aur khuda vande kareem isse kareem h ki shuru aur aakhir ki dua ko qabool kare aur darmiyan ki dua ko mustajab na kare.

Albatta khuda vand ne vada kiya h ki dua ko mustajab karega ادعونی استجب لکم lekin jimn me farmaya h  اوفو بعهدی اوف بعهدکم  mere ahd ki wafa karo taki mai bhi apne ahad ki wafa karun is bina per dua ki qabooliyat ke liye zaruri h dua krne vala gunahon se pak ho aur vajibat ko anjam diya  ho  taki khoda ke ahed ki wafa kiya h aur uske awaz me  khoda bhi apne vade ke

Does songs, especially the sufi songs, fall into haram category especially the sufi songs

Gaane bajane ki mafilo ke munasib jo bhi songs hai jayez nahin hai

Share bazar me ek tarika hota hai jiske pehle ham company ke share ko 100 rupaye me bech kar baad me daam gir jaane par 90 rupaye me kharid kar 10 rupaye munafa kar sakte hai but mera dost kehta hai ye najayaz hai, bina kharide hum bech nahi sakte, jab ke ye sahulat hume khud company de rahi h. Pehle bech ke fir kharidna hota hai, chahe faayde me ho ya nuksaan me, aakhir me kharidne ke baad hi sauda pura hoga

Haraj nahin hai

Jab kisi ka pant ka ek part bhigi(najis) hue ho ta hain agar kisi aur ne woh pant apni hath se pakar leta hain leken uska hath najis se bhigta nehi hain toh fer kya uska hath najis ho gaya?

Woh jab pant ko pakra tab uska hath dry tha

Agr itna gila na raha ho ke rotubat hath me serayt kre to najis nahin hoga