Maulana Zameer Haider

Maulana Zameer Haider
 
Age:
Location: Allahabad
Nationality: India

Public QnA

What is the significance of nauchandi jumeraat? We used to perform lots of things in Nauchandi jumeraat.

Islami hukm me nauchandi koi cheez nahi hai. Ab jo alam waghaira hota hai wo acchi cheez hai isliye uske continue hone me koi burai nahi.

Kia ese mehfil me ja saktey he jaha gana bajana dance waghera ho or hum waha pe apney ap ko haraam se bacha saktey he example gaaney or dance ki taraf tawajoh na de or hijab karey. Kia agha sistani ijazat detay he is surat me?

Nahi. Rewayat me hai ki jo tohmat aur ilzam ki jagah jae agar wo badnam ho to khud ko blame kare. Aisi jagah na jana chahiye

Mujhe ye poocha tha k meri mummy ne mere ek cousin ko feed krwaya h to kya merea usse parda krna vajib hoga? Bs ek baar feed krwaya tha

Ek baar se rezai nhi banta

My aunt is an Akhbari (curse our Marjaa Ikram openly) I usually don’t greet and talk to her properly. My mom on the other hand has a soft corner towards her and asks me to greet and talk to her properly. What should I do in this situation?

Aap apni aunty se boliye agar maraje ko nahi manti to koi baat nahi mere samne burai na kijiye. Baqi aap unse taalluqat rakh sakti hain

Bahen ne apne bhai ke bete ko ek din, ek ya do baar dudh pilaya tha jab vo 10 se 20 din ka tha. To kya vo behen ki ladki aur vo ladka jisko dudh pilaya vo mehram hai ya na-mehram?

Aur kya unka nikah ho sakta hai?

15 martaba sheer pilane ke baad wo mahram hota hai ya ek din me itna zyada pilaen ki kaha jae isse gosht bana aur haddi mazboot hui. Ek do baar pilane se kuch nahi hota. Wo shadi ho sakti hai

Islam kehta hai k duniyabki mohabbat mat rakho lekin parents se mohabbat kro, dosto se kro, acha khana kav, ache kapde pehno.

Dusra k har kaam Allah ke liye karo lekin ye acha khana ache kapde shadimaa paap se mohabbat ye to muje bhi pasand hai.

Toye muje pasand hai isliye karu to kya sawab milega?

Har wo dunia ka kaam jiske zariye Allah ki reza hasil ho duniawi kaam nahi hai. Aap ko allah ka hukm malum hai aap ye sab nekiyan karte jaiye aur Allah se dua kijiye ki mere aadhe adhure amal ko qubool kare. Ayada shak shaitan paida karta hai tension mat len

I wanted to ask that what are the farz of ghusl ? As the laws are same for any type of ghusl is it necessary to follow the sequence like 1st we make the niyat then we must wash our hand and rinise the mouth then one should wash the part which has najasat and then one should make the wudhu and then wash his full body and pour water 3 times. Is this sequence is necessary and does doing wadu is necessary too ?

In all kinds of the ghusl 1st you should wash the najasat part and then do your niyyat and wash the head and shoulder then right sight of your body and then left side. Wudhu zaruri nahi or 3 baar dhulna zaruri nahi

Jo rajab wagera me rozy rakhy jaty hain matlb mustahab rozy to me jab job pe jati hun to meri dostain khany ke time pe kehti hain ke chalo khana khaein to kya m jout mout me tal sakti hun k me nhi kha sakti abhi etc kiu k mujy lgta k batany s raya kari na ho jay yo kya ye jout hamara gunnah likha jay ga?

Aapko jhoot bolne ki zarurat nahi h. Aap bol dijiye main roza hun. Reyakari nahi hogi balki ho sakta hai isse unme bhi koi rakhne lage

Mein n ye pochna tha k kuch months pahly m kisi bht bhari problem se guzr rahi the to me ne Allah pak se dua ki us ne qabool bi ki pir jab m us problem se guzr rahi the mein gunnahu se bachti the to mera yakeen iman bohot pukhta tha. Mein har wakt ak lazat mehsoos karti the sakoon k sath means jesy Allah ko bht qareeb mehsoos karna jab s mein n usy mehsoos kea har wakt mjy dunia me kabi is trha ki lazat pahly nhi mili kisi cheez m. But jab se problem solve ho gae us ke bad b mein gunnah nhi karna chahti bs Allah ko wesy he mehsoos karna chahti jesy pahly karti the magr ab mein pahly jesy mehssos nhi kar parhi gunnahun s b bach rhi hn. Sab hai but ab wo cheez nahi hai. Kya kie gunah ho gya hai ? Ya Allah naraz hai? Kuch samjh nahi a rhi

Allah kabhi apne bandon ko khud ke qareeb bulane ke liye masaeb aur pareshani me giraftar karta hai. Ab agar aap waisa mahsus nahi kar rahi hain to raat me jab sab so rahe hon to uthkar namaze shab padhiye ya kam se kam 2 rak'at namaz aur allah se baten kijiye.
Har namaz ke baad 70 baar isteghfar kijiye

Kya roze ki halat me hairs pe mehndi laga sakte h?

Haram nahi hai

1) Sote waqt jo khwaab dekha ho or us khwab ki kaifyat sokr uthne ke baad kayam rahe or dauran e fajr namaz bhi insaan usi kaifyat mei ho lekin zara kam or namaz mei theek tarah tawajjo na de paaye toh kya namaz ho jayegi?

2) Agar surah ikhlas ya uske baad padhi jaane waali surah ki kisi ayat mei ghalti ho jaaye maslan surah kaafiroon padhte waqt wa la ana aabidum ma abadtum ko ghalat padh liya ho ek aat alfaz or mehsoos hua ki aayat ghalat padhi or us aayat ko dohra kr sahi kiya toh kya ese kisi qalam ko sahi karne ke liye dohrane se namaz ho jaati hai?

1) Namaz sahi hai bas darajate namaz aur sawabe namaz me farq aata hai.
2) Aap agar mutawajjeh ho gae ki aayat ghalat padhi hai to sahi padhna zaruri hai na padhenge tab namaz me prblm hogi

Just wanted to know that interest received on provident fund is right and also khums on it will be for the entire amount or excluding the interest?

Actually I dont know that what are the system of provident fund. Kafir bank me interest me koi problem nahi. Agar provident fund ko aap kabhi bhi nikal sakte hain ro entire amount par khums hai nahi to jo aapko mile uspar hai

While reading Quran, is it necessary to stop at some particular aayat only. Example if I am reading Quran and after 2 pages I want to stop and continue later on , then can I stop at any aayat or there are any rules to stop at certain aayat. Please advise .

Waise rule to hai lekin uske liye tarjuma janna zaruri hai. Aap kisi bhi aayat par ruk sakti hain mana nahi hai.

Kia hum perfume use kar sakte hai ya nahi
kiyou ki usme alcohol mila hota hai?

Alcohol paak hai. Uska pina mana h

Ye jo rasulallah ki hadees hai ke
'Agar puri duniya mola Ali a.s ki mohabbat par jama ho jati to khuda jahennum khalk hi na karta'

Kiya ye hadees sunni kitabo mey hai. Agar hai to kaha par mughe bata diyea reference ke saath detail mey



أخبرني شهردار هذا اجازة ، أخبرنا أبي ، حدثنا أبو طالب الحسيني ، حدثنا أحمد بن محمد بن عمر الفقيه الطبري ، حدثني أبو الفضل محمد بن عبد الله الشيباني ، حدثنا ناصر بن الحسين بن علي ، حدثنا محمد بن منصور ، عن يحيى بن طاهر اليربوعي ، حدثنا أبو معاوية ، عن ليث بن أبي سليم ، عن طاوس ، عن ابن عباس قال : قال رسول الله : لو اجتمع الناس على حب علي بن أبي طالب لما خلق الله النار .

لمناقب، تألیف موفق بن احمد خوارزمی، صفحه ۶۷
Almanaqib, Khawarazmi

My question is can a non Syed can give his fitra to a Syed, is it allowed?

Fitra not allowed but other than fitra and zakat, all kind of sadaqah allowed

I wanted to ask what I can do to rid myself self of jealousy. I read Namaaz e Astagfar daily, I pray and keep faith in Allah and the 14 Masoomeen, and keep up with my fasting. Sometimes I find myself envious of others or not as happy as I should be in their joys. It makes me feel bad that I am like this and I try my best to love everyone, but sometimes I feel jealousy within myself. How can I rid myself of this?

Ba wuzu rahen aur auzu billahi minash shaitanir rajeem padhte rahen. Do isteghfar as much as you can

Mera namaz me dil nahi lagrha me wazu kr rhi hun to lagrha hai galat kiya aur wazu sy pehly bht bar puri bismillah parh rhi hun qk mujhy lgrha hai k mene glt parha aur namaz me bhi ase horha hai. Dil bhi nahi lagrha aur lgrha hai galat parha hai to bar bar parh rhi hun. Bataein me kya karun

Ye waswasae shaitani hai. Surae naas aur falaq padhiye. Jab had se zyada waswas ho to aap ek baar wuzu kar ke ek namaz padh lijiye chahe wo kaisi kyun na ho dobara na padhiye

Can we use an alcoholic perfume? if yes, how much percent alcohol should be present in a perfume

3 to 4 % me koi problem nahi hai.

Ayatullah sistani ke according alcohol najis nahi hai lekin uska khana haram hai...jin dawaon me 2%se zyada hai usse parhez karen,ya jitna zyada hai utna pani mix kar den ki 2% se kam ho jae

Kya ham tv serials, movies comedy show and reality show dekh sakte hai?

Waise to dekhne me koi problem nahi hai magar ye ki koi dusri wajah ho jae jaise ehanate mazhab,fuhashiyat, waghaira

Lakum deenukum wal yadeen.' Iska matlab?

Iska matlab ye hai ki agar meri tableegh ke bawajud aap seedhe raste par nahi aa rahe hain to koi baat nahi, is dunia me aap apne deen par ham apne deen par ab wahin decide hoga kaun sahi tha

If I live in a country such as singapore , Thailand or Malaysia where it is impossible to avoid najassat of chinese and indian people. How we do? Do we have to apply the fiqh rule like in China and India?
Because they are everywhere in the society

You should avoid najasat as much as possible. Har time paak rakhna wajib nahi. Namaz paak halat me honi chahiye. Khane me jitna possible ho utna avoid kijiye. Jab problem ho to veg kha sskti hain, nonveg nahi

Abhi 22 Rajab ko imam hasan ka dastarkhaan tha, toh humlogo ne Imam ki nazar karwaye aur aksar nauchndi jumerat ko Maula ali mushkil kusha ki nazar karwate hain. Toh kisi ne pucha ki aaplog nazar q karte, meray paas kisi kitab ka hawala dete huye kuch jawaab na tha. Toh us shaks ne kaha aap kisi kitab ka hawala de ke bataye ya samjha paye ya kahi likha ho to mai bhi zaroor karu. Mai nazar-e-Imam Hussain, nazre Maula Ali mushkil kusha ki ahmiyat kya hawala de k samjhaou?

Hamare yahan jise nazr kahte hain wo wahi fateha hai jo dusre murdon ke liye hota hai. Aur jab murdon ke liye fateha me sawab hai to imam ke liye to badarjae awla sawab hoga. Khane waghaira par is liye karte hain ki ham masumeen se ye izhar karte hain ki apni khushi aur gham me ye nematen jo aapke sadqe me milti hain aapko bhi yaad rakhte hain

I am fasting and my nose bled whilst I was on public transport on my way to work. In the time I tried to find some tissue, I inhaled the blood in which meant it was swallowed. Does this invalidate my fast?

Roza sahi hai

It is Ramadan and I have just visited doctor. She has given me antibiotic and asked to use it immediately. What should I do?
Should I break my fast? It is not yet Zuhr here.

If doctor says immediately, you can break your fast

1) Mera sawal yeh hai ki agar sharaab/alcohol kapde me ya jism me lag jaye toh kya woh hissa najis ho gaya hai or taharat ki zarurat padegi ya nahi?

2) Or kya perfume lagana sahi hai jisme kuch percent alcohol mila hua hota haii

1) Ji najis hai. Use dhulna hoga

2) Alcohol agar bahut kam percentage me hai to sahi hai isliye ki alcohol sharab nahi hai sharab banane me uska use hota hai

Kya tasbeeh e bibi zehra (sa) padhte hue kisi se baat kr sakte hn? Or agar baat kar liye toh tasbeeh fir shuru se padhni padegi ya wahi se continue kr sakte hain.

Tasbeeh ki ahmiyat itni hai ki namaz ke fauran baad bina kuch kiye tasbeeh padhiye aur koshish kijiye ki darmiyan me kuch baat na karen. Agar baat kar lia to usi ke aage padh sakte hain

Locker ya ghar me rakhe hue zewarat (jisme se kuchh ek baar bhi use nahi hue aur kuchh frequently use hote hain) per zakat ke baare me kya hukum hai

69.12 gram ya usse zyada gold agar 11 mahine tak barabar raha tab 40wan hissa zakat wajib hoti hai. Zewarat agar us tarah len den me istemal hote hon jaise pahle zamane me sikke use hote the to uspar zakat wajib hai

If you are travelling for 8 days June can you fast?

salam,no u can't

If I just make niyat of 10 days, but I know its 8 days, can I fast? I will be visiting our Master Imam Reza AS, for the last two days of Shahr Ramadan. It will be sad to miss fasting.

jab yaqeen hai ki 8 din to niyat se kya hoga? aap aisa kar sakte hain ki 8 din ziarat par rahen aur wapsi par 2 din watan na aakar kahin aur chale jaen

My cousin visits her sister from London to Birmingham for 2 to 3 days. Is she supposed to fast because not being in her town she prays qasr but wanted to know about fasting is it same rules (for Ramadhan roza)

Yes she will pray Qasr and not fast. The fast will be paid back after the holy month of Ramadan

Main Mumbai me rahata hu Allahabad mera home town raha hai. Gaon me mera ghar bhi hai lekin ajkal ammi Allahabad shahar me mere chote bhai ke saath rah rahi hain. Main unse milne Allahabd shahar aya hu. Aaj 18.6.2019 ko subah 2.30 am ko pahuncha hu aur 27.6.2019 Ko subah wapas chala jaunga. 10th day ko main chala jaunga. Kya yaha per meri namazen Qasr hongi?

Chunki Allahabad aapka watan nahi hai aur aap ka stay bhi 9 din kuch ghante hai isliye aapki namaz qasr rahegi

I kindly wanted to know the name meaning of my name ' Shamrin'?

Shamrin ki koi meaning nahi hai, iran ke Azerbaijan province me ek village ka name hai

Mujhe azan ke baad ki duaa chahiye. Nahi mil rahi hai jo padhte hai na hum

Allahummaj'al qalbi baarran wa aishi qaarran wa rizqi daarran wa awlaadi abraran waj'al li inda qabri nabbiyika (saww) mustaqarran wa qarara birahmatika ya Arhamar rahimeen

Mene kise shaqs se agar qarz liya ho aur mere khhums ki tarikh bhe nazdeeq ho to kya mujhe un paiso par bhi khums dena hoga?

Jisse qarz lia hai use qist me wapas kar rahe hain ki ek baar me wapas karenge

Agar ek sath wapas kare to kya hukm hoga aur kisto wapas kare to kya?

Qist jitni ada kar chuke hain utni raqam aapki ho chuki hai us par khums nikaliye

Me es saal 14 we ki padaye kar raha tha. Usme se ek paper me fail ho gaya. Ab college k mutabiq jab tak us paper ko dobara se exam de kar clear na kare, 15 me nahi ja sakte. Lekin esme 1 saal badaba ho jaye aur mere 15 me admission 1 saal baad hoga. Lekin agar college walo ko zyada paisa diya jaye, to wo admission kar dete hai. Kya es tarah se admission karana sahi hoga? Ya kahi doosri jagah paise dekr admission karana kaisa hai?

Ayatullah sistani ke office se clear kijiye. Mere hisab se to sharei hisab se koi bura nahi lekin akhlaqi hisab se sahi nahi lagta

Kya Nasibi shaqs jo Ahlebait a.s dushmani rakhta ho najis hai?
Aur hame kise par shaq ho ke ye dushmane Ahlebait hai wo bhe najis hoga?
Aur shaq ki soorat me us shaqs ki Namaz e Janaza me shirkat kar sakte hai? Uske liye Namaz Wehshat wagera pad sakte hai?

Nasebi jo ahlebait se dushmani ka izhar karte hain wo kafir hain. Unki Namaze Janaza me na jaen. Unki Namaze Wahshat na padhen. Lekin jiske baare me shak ho use nasebi nahi mana jaega

Me janna chahta hy ke kya wajah hai hum kise chiz ko hasil karne ki dua karte hai us ke liye koshish bhe karte hai aur hamare dua qabool nahi hote aur ham qamyab nahi ho paate?

Kahi ye chiz Khuda se doore kii wajah to nahi?

Hadees ke etebar se iske different reasons ho sakte hain. Kabhi wo cheez hamare liye munasib nahi hoti to Allah nahi deta. Kabhi Allah ne usse behtar hamare liye taiyar rakha hota hai. Kabhi ham proper way se nahi jate. 3 baar salawat padhiye, apne gunahon ka eteraf phir isteghfar aur apni duaen

Baaz aurto ki shikayat milte rehte hai k unka shauhar bada zalim hai aur wo un par zulm karta rehta hai aur Islam ka hukm hai k es zulm par bhe sabr kiya jaye aur ye galat hai.

Es chiz ki wazahat chahta hu.

Islam ne kab kaha hai ki shauhar ke zulm par sabr karo? Ye to ghar ki aurten samjhati hain jahan doli gai hai ab arthi hi nikle. Islam ye kahta hai ki choti choti shikayton par talaq na lo balki usko hal karne ki koshish karo. Islam ne talaq isi liye rakha hai ki agar koi rasta na bache to ye rasta hai

Kya hum bina t-shirt ya shirt ke matam kar sakte hain?
Agar nahi toh kyu nahi

Haraam to nahi hai lekin namahram ke samne baher haal ehtiyat kijiye ki body na dikhe. Iske liye kisi daleel ki zarurat nahi hai aap khud bataiye bina lebas ke public place par jana kaisa hai? Room me akele aap bina shirt ke khoob matam kijiye

Jab ek aurat najees hoti hai to kiya uske body pak rheti hai? Agar ha to phir ham zariye mubarak ya tabbot to q nhi touch kar sakte hai?

Ji pak rahti hai aur zarih aur taboot touch karna haram nahi hai. Ye hamare yahan sirf ehteram hai. Wo quran bhi utha sakti hai bas uski likhawat touch nahi kar sakti

Mujhe namaz e shab ka sahi tarika janna hai

Kul 11 rak'at namaz hai
8 rak'at 2/2 kar ke 4 namazen. Namaze shab ki niyat se Namaze subh ki tarah.
2 rak'at Namaze shaf'a bina qunoot. Baqi Namaze subh ki tarah.
1 rak'at Namaze witr jo hamd, tauheed aur qunoot ke sath normal bhi padh sakte hain aur detail me bhi hai ki hamd phir 3 tauheed phir 1 falaq aur 1 surae naas. Phir qunoot me 40 momineen ke liye dua (allahumaghfir le.. Momin ka naam) 70 baar astaghferullah 300 baar alafw. Aur qunoot tamam kar ke puri namaz normal andaz me tamam kar den

Mein bohot pareshan hu. Mere pimples kitne dawa ke baad bhi kuch behtar results nahi aaye. Kya pimples ke liye kuch duwa hai?

Aabe zamzam me thodi si khake shefa mila kar roz subh 1 spoon pi lijiye aur thoda sa face par lagaen

Geebat ki sahi defination kia hai or kis kia tarike se geebat ho sakti hai

Har wo cheez jo ghair maujud insan ke liye kahi jae ki jab wo sune to naraz ho use gheebat kahte hain. Sirf fasiq logon ki ghibat ho sakti hai. Baqi aur bhi kuch jagah hain jaise kisi ghalat insan ka rishta shareef ladki ko jae aur ladki ka baap aapse ladke ke baare me puche to bata dijiye

Mujhe 2 din se nazla zukham aur bukhar ha to koe tarik ya dua isse nijaat paane ka

Doctor se rabta kijiye. Duae noor padhiye

Mai naukri ki umeed mai hoon ek jagah. To roz mai dua to karra hoon us ke sath dua e rizq padhoon ya koe aur dua agar ho to dedie

Namaze isha ke baad roz surae waqea padhen

EK mere cousin brother hai vo unhi ne apne career ke liye acting line select ki ha, to kya ye jaiz hai

Waise to acting me koi burai nahi lekin India me acting line me bahut se najaez kaam karne padenge is liye sahi nahi hai

Masturbation se nijaat paane ka koe tarika ya koe dua hai? Aur night fall se bachne ka bhi koe tarika ya dua?

Masurbation se bachne ke liye insan sabse pahle
1-khud par control karna sikhe
2- Wo koshish kare ki tanha na rahen,
3- Wo nazr kar le ki ab agar ye kaam kia to mere upar wajib hai ki main 3 roza rakhun ga (roza ke dar se wo is kaam se ruk jaega)
4- Sabse Behtreen elaj shadi hai..

night fall se mahfuz hone ki dua:
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
اَللّهُمَّ اِنّى اَعُوذُ بِکَ مِنَ الاِْحْتِلامِ، وَمِنْ شَرِّ الاَْحْلامِ، وَمِنْ اَنْ یَتَلاعَبَ بِىَ الشَّیْطانُ فِى الْیَقْظَةِ وَالْمَنامِ

Is it permissable to perform sajdah on the back of hands if one don't have a turbah?

Nahi aap hath par nahi kar sakte. Ye last option hota hai. agar turbat nahi hai to patte par, nahi to kapde par. Agar kapda bhi nahi hai tab last option hath hai

Kya rozay ki halat may sar may dhai (curd) lagai ja sakti hay ?

Ji laga sakte hain

Marefate khuda aur ahelibayat kayse hasil kare?

Marefat koi ek cheez ka naam nahi hai ye step by step hoti hai. Sabse pahle ye khayal karen ki ham kuch nahi hain. Hamari sari zaruraton ko wo puri karta hai aur jo zaruraton ko puri kare use kaise manna chahiye.

Mera sawal yeh hai ki “Syed pey zakat ka aur khums ka kya tareeqa hai aur kis tarha nikala jaata hai aur Kis ko diya jata hai”

Zakat aur khums nikalne me syed aur ghair syed ka koi farq nahi hai.

Khums ke liye aap agar pahli baar nikal rahe hain to aap pahle ek date select kar lijiye phir apne paison ka hisab kijiye kitna us date me aapke paas hai. Aur wo chizen jo unused hain, ya kam hone wali chizen kitne percent bachi hain jaise soap waghaira. Phir saari qimat ka 20% khums nikle ga. Khums me barabar consult ki zarurat rahegi. Ek local maulana jo samne se samjha sake usse consult kijiye, easy rahega.

Zakat sab par wajib nahi hai. Wo ek had tak pahuchta hai tab wajib hota hai. Zakat 9 chizon par hai gehun, jau, khurma, kishmish, sona, chandi, oont, gae, bakri

Kyaa nawafil namaaz me soorai hamd ke baad doosrah soorah padhna waajib hai?

Nahi

I am three months pregnant and today around midnight we will be having the lunar eclipse here in my country . Are there any precautions or any special amaal that I need to do ?

Kisi precaution ki zarurat nahi hai.
Namaze aayaat padhiye wahi best precaution hai

Aaj maghrib se pehle jo ghusl kiya jaayega, kya uske karnese wuzu ki zarurat saakit ho jaati hai? Aam taur par mustahab ghusl ke baad bhi wuzu karna zaroori hota.

Ye sawal late mujh tak aaya hai iska time guzar chuka. Ayatullah sistani ke nazdeek har wo ghusl jiska tazkera hadison me hai wuzu ke liye kafi hai yani uske baad wuzu ki zarurat nahi hai

Kya condom pahen ke aapne bivi k sath sex kar sakte hay?

No problem, allowed hai

Ladies ko kaisa hijab krna chahiye aur kya half coat pahine sakti hai?

Hijab yani sar ko aur jism ke nashebo faraz chhipana. Agar coat se jism chhipta hai to kafi hai warna agar aisa naqab bhi sahi nahi jisse jism aur samne aa jae

Me apni kaifiyat pesh kar raha hun wo ye ki me namaz se shab daily padta hun aur tauba wa istegfaar bhi karta hun. Jab raat ko akele me ye karta hun to aisa lagta hai ki khuda se karib hua hun aur sukoon milta hai but jab subhe hoti hai aur din me masroof hote hai to apne daily routine ki tarah ho jata hun aur gunah bhi hojate hai but maloom nahi hota to aise me kya karu. Aur ek ye baat pareshan kar ke rakkhi hai ki me jisko pasand krta hun wo collage me sath padti hai aur ham baat karte the daily aur islamic baate kiya karte the aur problem bataya karte the but ab ham ne choud diya hai. But dil us jagah par laga hai aur baat ye hai ki jab dil bechain hota hai to khuda ke samne munajat karne me lutf aata hai. Mene kitni koshish ki bhula ne ki aur dua bhi but nahi bhul pata, aur jaan na ye hai ki khuda mere se razi hai ya nahi aur imam e zamana a.t.f.s ki mulaqaat ki tadap kaise laye

Pahli koshish aap ye kijiye ki jo khaen halal khaen, tanhai me kam rahen, quran ki telawat karen. Aap khud ko perfect rakhne ki koshish kijiye Imam ne chaha to mulaqat ho jaegi

Kia main un ka sath bajammat namaz parh sakta hon specially jumaprayer? As there is no shia masjid nearby my office. Aur kia main hath band ke namaz parh sakta hon as here people are very extremist

Agar aapki izzat ya jaan par khatra ho to taqaiya karte hue unke sath hath bandh kar padh sakte hain lekin namaz me khud hi surah waghaira padhiye

And what about juma prayer? Kia wo bhi parh skta hon in k sath. In ki juma namaz different hai.

Juma ke baad zohr bhi khud se padh lijiye

I am the only shia person among my colleagues at my workplace. And whenever there is a iftaar party, I made excuses to not attend due to time differences in iftar. But sometimes I have to attend So can I break my roza as per sunni sect timing?

Nahi aap bol dijiye abhi mera time nahi hua. Bilkul allowed nahi hai

In what situations does Sajdah Sahw become wajib?

1- Tashahhud bhul jae

2- Shak ho ki 4th rak'at hai ya 5th? Ya shak ho ki 4th hai ya 6th? 4th maan kar namaz tamam kare aur 2 sajdae sahw anjam de

3- Bhul kar us rak'at me salam padhe jisme nahi padhna tha

4- Bhul kar namaz me baat kar le

5- Ye yaad ho ki namaz me kuch kam zyada hua hai lekin kya ye yaad na ho.

6- Mustaheb hai ki namaz me har kami ya ezafa par sajdae sahw kare (wo kami ya ezafa rukn na ho warna namaz batil hai )

I wanted to know that can I pray on broken sajde gah? I bought one from karbala and it was my favourite but unfortunately my brother dropped it

Yes you can

Is it permissible to use mouthwash while fasting

Waise to allowed hai but aapko agar is baat ka dar hai ki andar ja sakta hai aur pani andar chala gaya to roza toot jaega

Is it necessary to perform wudhu after doing ghusl of ziyarat e waritha

Ziarate waresa ka koi ghusl rawayat me nahi hai. Aur chunki rewayat me nahi hai isliye uske baad wuzu ki zarurat hogi

Namaz may aqamat parhney ke bad, agar do bar allahho akbar kehtehay to kya galat namaz ho jati hay. Please samjha kar jawab de

Do allahu akbar me jo dusra allahu akbar hai, agar sirf usko wajib jan kar pahla wala yun hi padhte hain to aapki namaz sahi hai isliye ki namaz me niyat kar ke 1 allahu akbar jise takbiratul ahram kahte hain wo wajib hai uske pahle jitni takbir kahen wo namaz ka juz nahi hai. Waise 7 baar takbir kahna mustaheb hai lekin usme bhi jo last wali takbir hai, uske pahle namaz ki niyat kijiye phir wo takbir(takbiratul ahram) ada kijiye

Mai Geebat ke baare me Puchna chahta hu. agar Kisi ke samne kisi ki Burai kare to wo geebat hai but agar mai apne hi man me kisi ki Burai karta hu ya kisi ke baare me bura kahta hu to kya ye bhi Geebat hai iska bhi gunah hai kya?

man me sochna gunah nahi hai lekin gunah ki taraf le ja sakta hai is liye bachiye

Mai Geebat ke baare me Puchna chahta hu. Agar kisi ke samne kisi ki burai kare to wo geebat hai but agar mai apne hi man me kisi ki burai karta hu ya kisi ke baare me bura kahta hu to kya ye bhi Geebat hai.
Iska bhi gunah hai kya?

Man me agar burai karte hy to voh geebat nahi hoti balke ek tarah se hasad keh sakte hay ke dusre ke bare me dil me nafrat hona aur bura chahana.

Hath bandh kar namz parhana kesa hai??? agar ye galat hai to koi hadess ya rawayaat pesh karen ki wazeh hojaye

Wasaelush shia Vol 4 baab 15 me bahut si hadisen 5th and 6th imam se hain jisme ise kufr kaha gaya hai aur imam ne farmaya hai ye majusi qaum ki harkat h

Hath bandh kar namz parhana kesa hai? Agar ye galat hai to koi hadess ya rawayaat pesh karen ki wazeh hojaye

Hath bandh kar namaz padhne se namaz batil ho jati hy.
Hath bandhna Nabi saww ke zamane me nahi tha. Yeh dusre khalife k zamane me huva

Aagah khums nikalte waqt jo savings amount h uska 5% nikala jayga na?
for eg: 40000rs hai toh uska 5% nikalenge. Toh 2000 khums Hoga na?

Ws, 20% hai 5% nahi. 5wan hissa nikalna hai

It means 8000?

Ji

Kia roze ki halat mey cough gale ke ander liya ja sakta hai?

Agar gale ki had tak hai to nigalne me koi haraj nahi agar muh tak aa gaya to ehtiyate mustaheb hai ki na nigle

Yahan ek maulana ny ek political party ko support kia hai voting k lie. 5 saal phle b yahi hwa th to uss party s bht nuksaan phucha hai sb ko abki phir usi k jeetne k appeal kri hai. kaafi log narz ha is baat sy to kya un k peeche namaz padhna jaiz hai?

Mere view se unko aisa nahi karna chahiye lekin namaz na padhne ke liye adalat ka khatm ho jana shart hai. Yani jo khullam khulla gunah karta ho meri nazar me wo abhi is manzil par nahi pahuche hain. Baqi ye political sawal hai aap Ayatullah Sistani ke office se direct puch sakte hain

Kya rozay ki halat may libas par khushbu maslan itr lagana makhroo hay ?

Nahi. Use naak se laga kar sughna makruh h

Kia rozay ki halat mei injection lagwa saktay hain aur nasal spray use kr sktay hain allergy k liye?

Koi bhi injection roza ko batil nahi karta. Nasal spray me agar koi zarrat andar jate hain to use na kijiye. aankh aur kaan me dawaen dali ja sakti hain chahe wo halq me mahsus hi kyun na ho.

Khums kaise nikala jayenga. Aagr yateem ho toh kya vo khums nikalenge?

Khums har baligh aur aaqil musalman par wajib hai. Aap pahle koi 1 date select kar lijiye jisme har saal khums nikalna hai. Ye date English aur chand dono me koi ek rakh sakte hain.. Aap apne paas maujud saare paise aur aisi cheez Jo kharch hone wali hai uski qeemat nikalye. Phir uska 20% nikal dijiye. Khums ki detail ke liye behtar hai samne se kisi maulana se consult kar lijiye

While fasting, when I wake up after sleep, I seee that there is a white liquid formed in my mouth. Is it allowed to swallow that?

Yes you can

Nafilah Namaz ka waqt kab se kab tak hota hai?

Namaze Subh ki nafilah ka Waqt tulooe fajr ke Baad namaze Subh se pahle , namaze zohr ki nafilah zawal ke Baad zohr se pahle, asr ki asr se pahle, maghrib ki nafilah namaz ke Baad, isha ki bhi uske Baad hai

Agar wajib namaz ka waqt hoya hai, tab bhi hm ise padh sakte hai? Jaise aksar hm subah ki namaz waqt pr nhi padh pate. awwal waqt se thoda der ho jati hai.

Padh sakte hain

Please explain me how many minutes before the exact begin of zuhr or any obligatory prayers are nafl to be offered at? As these days we do not use the shadow indicator and also it’s unpredictable for me to offer nafl prayers.

Time for Nafela e is from awwal e waqt of dhuhr therefore first pray nafela e dhuhr then offer your dhuhr prayer
You can not say nafela e before dhuhr time

If suppose , the time for zuhr starts at 12.02 then am I supposed to offer nafl first? And is it the same for all other prayers that we are supposed to offer the nafl at first except for isha namaz? And I wanted to know if we can offer the nafl for asr prayer after the wajib namaz?

Yes first pray nafela dhuhr then dhuhr prayer then you can offer nafela e Asr followed by Asr prayer

can we take loan on interest?

yes u can

we can take loan on interest agar islamic bank or non islamic bank ho usmey koe shart nahi ?

nahi non islamic bank ka maine bataya

Just wanted to know can we take loan with interest on it?

Agr Ghair Muslim Bank se le rahe hain to le sakte hain lekin Muslim Bank se nahi le sakte.

rizq me izafa k liye koi dua bataeiye filhaal mey namaz e shab bhi paDD raha hoon

Astaghfirullah ki tasbeeh subho sham padhiye

Can you please advice me with a dua to increase rizq!!!?

recite sura e waqea after salatul isha everyday

Eid-e-Ghadeer me Jo Roze Rakhne ka hukm hai agar mai roza rahta hu koi Namaze Zohrain ke baad Roza Khulwaye but mai Namaze Magrabain Ke baad Roza kholna chahta hu to kya aisa kar sakta hu.

Behtar ye hai ki aap roza khol lijiye pura sawab milega, lekin agar aapne nahi khola aur sham ko iftar kia to bhi roza sahi hai

Black shoes pehen sakte hai ya nahi pehen sakte agar nhi pehen sakte hai to kyu…

Black shoes pahenna makruh hai, aankho ki raushni aur mardangi par asar pad sakta hai

در بعضی از محصولات ماده ای به نام carmine استفاده می شود که از نوعی حشره استخراج می شود. ایا استفاده از این محصولات (خوردن) مجاز و حلال است؟

فتوای آیه الله بهجت درباره این مورد موجود نمی باشد، طبق رهبر معظم اگر آن از حشراتی گرفته شده که خون جهنده ندارد و اجزای آن حشره هم توی آن موجود نیست می توانید استفاده کنید ، طبق آقای مکارم شیرازی استفاده جایز نیست،،

Mera sawal ye ha k qurbani kon sy bakre pr jaiz hai andul ya badhiya

Agar hajj ki qurbani hai to zaruri hai ki bakra salim ho badhiya na ho, lekin agar usse hat kar ghar pr baqrid ki qurbani hai to bhi behtar hai ki salim ho lekin agar badhiya par bhi kara di tab bhi qurbani sahi h

Janab suna ha k andul bakra peshab m mu dalta ha pita hai to kaise uka gosh jaiyz hai iske piche kya vjh ha?

Ye betuki baten hain, kya jis bakre ko khassi kar dia jae to Sirf isi base par wo gandagi khana chor dega?

khassi jaiyz hai?

Ji, agar che behtar wahi salim bakra h

"Duniya ki mohabbat shari buraio ki jad hai" ye maula ka kaul kis book me hai? Page no, khutba no

Tohful oqool page 215; Khesale sadooq page 20, isme yahi rawayat imam sadiq se h

My right feet was operated so I can not move my feet, so I pray (furada or with jamat) my namaz on chair it's true or not.
some people say I get half swab.

Inshaallah u will get full sawab, agar possible ho to sajda me pair ke anguthe ko zameen par touch karen

If there is a sign of hindu God in a restaurant, can we eat from there as we don't know who the chefs are. Maybe it only belongs to a hindu person. Thank you

non muslim restaurant me khana sahi nahi hai,isliye ki agar chefs ka pata bhi na ho phir bhi ye alamat aur nishani hi kafi hai ki khane sahi nahi honge

mera sawal yeh hai ke… Allah se apne gunaho ki tauba karne ka behtareen tareeka kya hai ?

apne gunah par sharmindagi aur aainda anjam na dena behtareen tauba hai

it is getting difficult to use office washroom,as it is used by both Hindus and Muslims. while washing hands in sink, the water touches the sink and then the same water drops comes on clothes or hands. or shirt touches the sink and it gets wet. am I najis in this case? because while washing my hands, cheete ud rahe hai, fir Galti se shirt sink ko lag Gaya and wet hogaya. is it najis? because sink is used by both Hindu and Muslim

islam is a not a difficult religon, we r making it difficult, in our shariat there is a usool or qaedah,,every thing is paak until u sure it become najis, jab tak aapko yaqeen yani 100% sure na hon ki ye hindu se touch hua pani hai tab tak wo paak hai

yesterday I have trimmed nails of my feet. so a small wound happened to my thumb. I hv cleaned it. but this morning when I took out shoe for doing wazu for jummah namaz, I saw a yellow coloured dry substance on the nail. so I don't know if it is blood or some curry which might have felt on the thumb while doing breakfast. what to do? bcz if it was blood then my shoe n socks might became najis.

there is no problem your prayer is ok, agar cnfm bhi ho ki blood hai aur thoda(hath ke anguthe ke pahle hisse ke barabar tak) hai to uspar namaz sahi hai

at my office impure water is coming. for istibra I took a bottle of with me in washroom, so after performing istebra, I cleaned my penis with water and after a minute I got a doubt that if I have jerked the penis 3 times or not.so then I have jerked the penis 3 times, but there was no water in bottle. so was the istebra successful. or if any liquid comes after this will it be najis? was my istebra not valid ?

agar aap roz sahi istebra karte the to sirf shak ki wajah se dobara jerk ki zarurat nahi thi,agar aapko yaqeen tha ki jerk nahi kia to aapka istebra abhi pura nahi hua aur after jerk kuch liquid nikla to aap najis hain,phir se wash karna hoga, office me pipe ke pani ko aap impure kyun samajhte hain?agar wo tunki se aata jo ek kur se zyada hai to wo to paak hi hai

office k bazu petrol bunk hai so office water got mixed with petrol n deisel water Color has changed and also smell of deisel is coming and water is chikna

okk,,water is chikna ka jawab nahi

any solution for this? I even have to go to gym. so as per the Islamic laws of sweat moves through najasat whole body has to be wash. so same sweat ll go on feet. so shoes must also be washed?

why whole body,,,u wash only the part that became najis

middle to lower part must be washed. right now the middle part is najis. so in gym while exercising sweat will come. it will go to legs then feet. so because of this I need to wash whole lower body, clothes, shoes

if you do the istebra even not your middle part is najis and if there is some najasat in your body all of the part where the sweat reached that will be najis and u must wash that

yesterday at office my team celebrated by birthday and a non Muslim Hindu rubbed cake on my face which also went inside my nose, later I found dry cake in my nose so while driving I kept my helmet near legs, but I sneezed once or twice I am not aware of that fell on my helmet. do I need to make it paak by washing it 3 times ?

aap aabe jari se ek baar dhul den kafi h

When the period of temporary marriage is over nd the couple wishes to renew it, whether the nikah has to be recited again

when it's over and u want to renew it u should recite the nikah again

Is it ehtiyate wajib or mustahab to eat nonveg once in 40 days?

It is mustahab only

Can we pray in wajib namaz's Tashahud's salwat wa ajjil farjahu

according to ayatullah seestani u can pray wa ajjil farajahum in tashahhud but wa taqabbal shafaatahu warafa darjah is better than this

Can a women help her husband to mastarbute till the time of ejaculation,If he doesnt wants to do actual intercourse.

yes she is can

Waise agar akele me khud kiya jaaye toh yeh amal haraam hai,Sahi keh raha hoon mai?

wo haram hai

Kya agar husband khud wo amal kare aur wife uski help kare,Toh yeh bhi jaayaz hai

Wife kar sakti hai husband nahi, dono sath karen Phir bhi jaez h

i have joined a company where it is mandatory to be clean shaved on the job,What should i do

ayatullah sistani ke according allow nahi hai, agar koi alag situation hai to direct unke office se sawal kijiye

Can we do tayammum for namaz if we dont get time to take bath in state of janabat?

Yes u can, if the remaining time is just enough for tayammum not for ghusl u can do it

Hame ek job lagi hai jiske liye istekhara dekha gaya hai toh hukm aaya hai,Lekin uss company ke baare me kaafi galat reviews hai aur bhi kayi problems hai uss company me,Kya ham istekhara ke against jaa sakte hai,?

istekhara tab hota hai jab samajh me na Aae agar aapko malum tha to istekhara dikhaya kyun? Khair ab agar aap against jana chahte hain to sadqa de dijiye, jitna bhi chahiye

when should surah yaseen and surah Rahman be recited?

waise to ye surah kabhi bhi padh sakte hain lekin kuch special moment bhi hain,,, yasin ke baare me imam ali ki hadees hai,jab bhooke ho,pyase ho,lebas na ho,kunware ho,dar me ho,mareez ho,jail me ho,safar me ho,maut ke waqt,koi cheez kho gai ho talash karna ho to in sab jaghon par surae yasin padho..........surae rahman munafeqat door karta hai,mayyat ko faeda deta hai,jab koi nemat mile etc..

I am travelling to another state….Will be thr in place A for 3/4 days then proceed to another far off place.B…Will be thr for 3 days and return to A for 7 days…what is my obligation for prayers in place A…as total stay is more than 10 but not continuous.

saari namaz qasr hogi

if a person is in janabat and there isn't water at home for ghusl-e-janabat. is it okay to perform tayyamum and perform Namaaz?

Nahi, aap bahar se pani laiye

jab me.apni wife se fon pe bat karta hu to ak rutubat nikalti he ( touch kare bager ) ye kya hai ?? pak hai ? najis hai ?? roze ki halat me he to ?? kya hukam haii ??

paak hai, roza bhi sahi h

Janab namaz e subha aur magrib me kitni minutes Fazilat ka waqt mana jay ?

is ko society aur urf bataega ki awwale Waqt kitna hai, normally 20 to 30 minutes hota hai

agar koi pesh namaz jumma ki namaz padhata he jiske shararet nai hote, jaise 1 farsakh ka distance nai hota dusri jumma masjid se.
Aisi halat me us pesh namaz ki adalat baki rahegi jo janbujh kar khilaf e shara kaam karta he ?

Iska jawab aise nahi dia ja sakta isliye ki aap ne apne etebar se sawal banaya ab wo maulana sb kyun namaz qaem kar rahe hain kuch unki bhi daleelen hongi, warna jan bujh kar kyun haram kaari karenge, ho sakta hai unke etebar se ek farsakh ho,

is halat me muje kya karna chhiye ? kya me jumma ke alava digar namaz inke piche padh sakta hu ? ho sake to javab jaldi dena

agar ye sach hai ki wo jaan bujh kar aisa kaam kar rahe hain to aap unke piche koi namaz nahi padh sakte

Kidney Mai stone Hai uss k liye koi Dua batayeh

اُعیذُ نَفْسى بِرَبِّ الاَْرْضِ وَ رَبِّ السَّماءِ اُعیذُ نَفْسى بِالَّذى لایَضُرُّ مَعَ اِسْمِهِ دآءٌ اُعیذُ نَفْسى بِالَّذِى اسْمُهُ بَرَکَهٌ وَ شِفاءٌ.

ye dua hai lekin dua ke sath dawa aur ilaj bhi zaruri hai

Agar hum pe Guls-e- Janabat Wajib ho.
Liken humne Najasat ko pakk kar liye..liken Guls nai liye..
toh Namaz sai hai?

baghair ghusl ke namaz dusrust nahi,aap janabat ke aalam me masjid me ja bhi nahi sakte haram hai

mai ye janna chahta hu k unmarried man married women se muta kr sakta hai isme dono k marzi shamil ho par dono k paas koi waqeel na ho to

married women se kaise hoga,,,ya to wo divorced ho ya widow ho

Hindustan me sham e ghareeba ki shuruaat kab se hui?

ye to nahi malum ki iski ibteda kab se hui albatta urdu adab me lafze shame ghariban ka istemal sabse pahle shah waliullah ki kitab kulliyate wali me hua hai yani taqriban 1700 iswi me

Maulana kya ham pura (100%) aqeeqah ka gosh gareebo ko de sakteh hai?

ji de sakte hain

sawaal Yeh hai ki Agar doctor ne nahane se mana kiya hai….aur janabat mein mubtla hogaye hai toh pak kaise kiya jaaye khud ko.
hamara operation hua hai shoulder ka

aapko nahane ko to mana na kia hoga bas shoulder par pani na pade, iske liye aap utne hisse ko plastic ya kisi aur cheez se cover kar lijiye aur ghusl ke waqt usi par sirf hath pher dijiye aapka ghusl sahi hoga

I believe in the existence of Jinn (as per Quran and Hadith). Is there any existence of badd-roh ie evil spirits? Is it true that if a guy is killed then his roh can harm or scare people? What about Ham-zaat or witch?

Can Jinn harm people? Can they scare us to eg leave our house (or the house they were living in and we have bought it)?

This is an important question so please response with some reference from Hadith too.

jinn ke alawa kuch aur nahi hota, jinn hame nuqsan pahucha sakte hain lekin jo insan taharat me rahta hai use nahi,, ek hadees hai ki apne ghar ki chahat 8 hath means 12 foot se unchi na banao nahi to us jagah jinn rahne lagenge

جناب اگر کوئی آدمی کسی کو زیارت بھیجے اور جانے والے کو بھیجنے والے کے پیسے علم نا ھو ؟
جیسے ہندوستان سے کاروان لوگوں کو اٹھارہ ہزار میں زیارات کرا رہا ہے مگر وہ بتانے کو آمادہ نہیں کہ پیسہ کہاں سے آرہا ہے جواب کا منتظر رہوں گا

علیکم السلام.. اگر وہ نہیں بتاتے کہ پیسہ کہاں کا ہے تو احتیاط بہتر ہے

Hikmat ka mat lab kya hai ?

hikmat ka matlab har cheez ke liye uska munasib hukm ya munasib chizen jo samne se kabhi samajh me aati hain kabhi nahi

is hunting is allowed in Islam?

if this is doing only for enjoyment that's not allowed in islam,,agar khane ke liye h to halal gosht ka shikar ho sakta h

I would like to know if a woman can stay permanently alone with no one in Iran or Iraq to take care one of the shrines?

agar haraam me padne ka dar na ho to she can stay there and no problem in this kind of cases

wazu kub tak valid rehta hai?

aapka ek wuzu saari umr ke liye valid hota hai,magar ye ki aap koi aisa kaam karen jisse wuzu toot jaae

salamun alaikum
kya mai upper body pe permanent tattoo (allhe bait k naam or qurani ayiate) banwa Sakta hu

ws,nahi ...kyunki aapka badan hamesha paak na rahega aur isse un namon ki behurmati bhi hogi

agar Ghar mai teen-chaar kalam-e-paak hai toh kya yeh zaruri hai ki subhi ko padha jaye? agar ek kalame-e-paak padhenge to kya yeh kaafi hoga?

ji kafi hoga lekin usi bhi baaz awaqat padh len ye kam se kam saaf kar len

Music Sunana Haram hai par Agar Koi Islamic Qawwali, Manqabat Ya Koi Bhi Islamic Music Sun sakte hai Kya? Islamic Music Sunana Kaisa hai?

har wo music jo khurafat ki mahfil ya unse makhsus hai wo haram hoti hai, music ke مسئله me khud use sunne ke Baad faisla hota hai chunki isko clear karna maashere ka kaam hai, qawwali sunna haram nahi hai magar ye ki usme bhi music bhi ghalat use ho

Namaze Jafare Tayyar kaise Padhte hai iska Tarika kya hai Meharbaani karke Thoda Guide Kar dijiye.

ﭼﺎﺭ ﺭﮐﻌﺖ ﻧﻤﺎﺯ دو ﺳﻼﻡ کے ساتھ (ﯾﻌﻨﯽ ﺩﻭ ﺩﻭ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺭﮐﻌﺖ ﭘﮍﮬﻨﯽ ﮨﮯ ) ﭘﮍﮬﻮ ﺍﻭﺭ ﻧﻤﺎﺯ ﺷﺮﻭﻉ ﮐﺮ ﮐﮯ ﺍﻭﺭ ﺳﻮﺭﮦ ﻓﺎﺗﺤﮧ ﺍﻭﺭ دوسری ﺳﻮﺭۃ ﺳﮯ ﻓﺎﺭﻍ ﮨﻮ ﮐﺮ ﭘﻨﺪﺭﮦ ﺑﺎﺭ ﺗﺴﺒﯿﺤﺎﺕ ﺍﺭﺑﻌﮧ »ﺳﺒﺤﺎﻥ ﺍﻟﻠﻪ
ﻭﺍﻟﺤﻤﺪ ﻟﻠﻪ ﻭﻻ ﺇﻟﻪ ﺇﻻّ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺍﻟﻠﻪ ﺃﻛﺒﺮ « ﭘﮍﮬﻮ ،
ﭘﮭﺮ ﺭﮐﻮﻉ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﯾﮩﯽ ﺗﺴﺒﯿﺤﺎﺕ ﺍﺭﺑﻌﮧ ﭘﮍﮬﻮ ، ﭘﮭﺮ ﺭﮐﻮﻉ ﺳﮯ ﺳﺮ ﺍﭨﮭﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﭘﮍﮬﻮ ﺑﻌﺪ ﺍﺯﺍﮞ ﺳﺠﺪﮦ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﯾﮩﯽ ﺫﮐﺮ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﮐﺮﻭ ،
ﭘﮭﺮ ﺳﺠﺪﮦ ﺳﮯ ﺳﺮ ﺍﭨﮭﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﯾﮩﯽ ﺗﺴﺒﯿﺤﺎﺕ ﭘﮍﮬﻮ ، ﭘﮭﺮ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺳﺠﺪﮦ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﯾﮩﯽ ﺗﺴﺒﯿﺤﺎﺕ ﭘﮍﮬﻮ،
ﺟﺐ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺳﺮ ﺍﭨﮭﺎﺋﻮ ﺗﻮ ﭘﮭﺮ ﺍﭨﮭﻨﮯ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﺩﺱ ﺑﺎﺭ ﭘﮍﮬﻮ ﯾﮩﯽ ﺗﺴﺒﯿﺤﺎﺕ ، ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺍﯾﮏ ﺭﮐﻌﺖ ﻣﯿﮟ 75 ﺗﺴﺒﯿﺤﯿﮟ ﮨﻮﺟﺎﺋﯿﮟ
ﮔﯽ ، ﭘﮭﺮ ﺍﺳﯽ ﻃﺮﺡ ﺩﻭﺳﺮﯼ ، ﺗﯿﺴﺮﯼ ﺍﻭﺭ چوﺗﮭﯽ ﺭﮐﻌﺖ ﻣﯿﮟ ﯾﮩﯽ ﻃﺮﯾﻘﮯ ﺳﮯ ﭘﮍﮬﻮ ، ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﭼﺎﺭ ﺭﮐﻌﺘﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮐﻞ ﺗﯿﻦ ﺳﻮ ﻣﺮﺗﺒﮧ ﺗﺴﺒﯿﺢ ﮨﻮﺟﺎﺋﮯ ﮔﯽ ﺍﻭﺭ ﻣﺠﻤﻮﻋﯽ ﻃﻮﺭ ﮨﺮ ﺑﺎﺭﮦ ﺳﻮ ﻣﺮﺗﺒﮧ ﺗﺴﺒﯿﺢ ،ﺗﺤﻤﯿﺪ ، ﺗﺤﻠﯿﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﮑﺒﯿﺮ ﮨﻮﺟﺎﺋﮯ

1 Doubt hai. ruku me jaane ke baad ruku ka Zikra ke baad tasbihate arba padhna hai ruku se uthne ke baad same allaho ke baad padhna hai sajde me bhi aise karna hai. isko thoda clear kar dijiye.

Kuch nhi padhna Sirf tasbihate arbaa padhna h

Namaze Jafare Tayyar ka afjal Tareen waqt Roze Juma Jawale Aaftab se pahle bataya gaya hai. Jawale Aaftab Means kya hai? Namze Subah ke baad iska Afjal Tareen waqt hai kya? *Jawale Aaftab kya hai?*

zawal means midday, jab insan ka saaya bilkul chhota hokar Phir bada hone lage

Agar Mai Namaz Jo 4 Rakat hai Jaise Zohar, Asra, Isha ki Namaz Padh raha hu usme Mere ko 2 Baar shak hua

1) Pahla to Ye, Jo Rakat Mai padh raha hu 3rd Rakat hai ya 4th.

2) Dusra Ye, Jo Rakat Mai padh raha hu 4th Rakat hai ya 5th.

ye Dono Condition me kya karna hoga.

jab 3 aur 4 me shak ho to 4 rakaat Maan kar khatm kar den aur ek rakaat namaze ehtiyat, jab 4 aur 5 me shak ho to 4 samajh kar khatm karen aur 2 sajdae sahw

Mai Ziyarat par jana chahta hu But Mujhe Leave(Holiday) nahi mil rahi hai To kya Mai Office me "Ammi ka Ilaj Karane jana hai" Bol kar Leave Le sakta hu ye Jhuth hoga is se Meri Ziyarat Kabool hogi ya nahi?

agar ammi bhi sath me ja rahi hain to aap ye bol kar chutti le sakte hain, aap niyat me rakhiye ki ilaj se murad ruhani ilaj hai, shariat me ise tauria bolte hain

why is zakaat not followed amongst us

zakat is wajib for us if nesab is completed,for example we should have atleast 20 misqal gold or 105 misqal silver....after this if we r not following the zakat or other ahkams we r the gunahgar

mei bombay shehar mazgoan mei kaam krta hu wahan aagha sirf hindu ke vada paav ka stall hai aur paas mei hotel hai jahan ka khana sahi nhi hai na mei utna effort kar skta hu meri shop mei subah shaam bahar hindu stall se chai aati hai kya mei majboori mei hindu ka kha per skta hu yaa nhi quki mujhe namz padhna hota hai phr dil hich khichata hai hindu ka kha liyaa pata nhi namaz dua qubool hogi yaa nhi

khane ka matter aisa hai ki koi maulana aapko nahi bata sakta ki kha sakte hain ki nahi,,aap behtar jante hain ki halaat kya hain,waqai agar aap bilkul majburi me khate hain jahan kisi bhi surat me muslim khana available nahi hai to jaez hoga lekin agar kisi bhi tarah se aap muslim khane ka intezam kar sakte hain chahe khud bana kar ya kisi aur surat me to bilkul jaez na hoga

Can masa be done on hair after applying oil on it.

salamun alaikum,it's depend on oil quality,,,agar uska asar khatm ho jae aur wo aisa na ho ki pani ko pahunchne se rok raha ho to mash sahi hai agar rok raha hai to mash sahi nahi

what is the correct way to remove sadqah of our Imam e hujjat ? n what is the benefit or reason for this sadqah ?

aap niyat kijiye ki imame waqt ki salamati ke liye sadqa nikal rahi hun yahi kafi hai isliye ki apne imam ke liye ham sochenge to allah hame salamati ata farmaega. sadqa ka reason socially etebar se maashere ke ghareeb afrad ko madad pahuchana hai,aur dusri wajah qurbani ka jazba paida karna hai ki ham apne maal aur jaan ko apna nahi allah ka samjhen,,iske bahut se faede hain hadees me haiki sadqa sattar pareshani ko door karta hai jisme maut ke waqt ki pareshani bhi hai,sadqa hamari umr ko bhi ba barkat karta hai

i wanted to ask that during our prayers if we stop the passing gas and continue our namaz so is my namaz qubool or will i Have to recite it again?

koi masaala nahi aapki namaz sahi hai

mera sawaal hai ki kya hum apne wajib namaz ka hadya apne marhomin ko hadya kar sakte hai, agar ha to kis tarah ,

jo namaz aap par wajib hai usko kaise hadia karenge,nahi kar sakte

wajib namaz nahi kar sakte hai, or mustahab namaz ka hadya bhej sakte hai

ji

kya game hussain mei nikla hua khoon najis nhi hai?

kisne bola?agar sajda karne me aapki peshani se khoon aa jae to wo najis hai ya nahi?jab us ibadat me nikla khoon paak nahi hota to is ibadat me kaise paak hoga?

namaz e wahshat Kab padhe jati hai…Or kisi ka naam Malum na ho to Ky karna chaheye

namaze wahshat dafn ki pahli shab padhi jati hai,raat me kisi waqt bhi padh sakte hain lekin isha ke baad mustaheb hai,naam janne ki zarurat nahi hai sirf niyat kar lijiye kafi hai

Kya mediclaim or insurance cover ka Lena jaiz h?

bilkul jaez hai,, Haan haq hona chahiye fraud na kare

How to protect paak/jaiyaaz relationships(Family) from evil eye,bad clamaities,etc Protection of bad things for a better and healthy relations.

aap always wuzu se rahne ki koshish kijiye

Ristey kaise bachaye jaiye meh joint family meh rehta hu.. labhi kabhi takraar hoti h boht mere friend bhi ache h boht samjhtey h. meh family aur Freinds se duri naa aye isliye koi(relationship protect kaise karu)

Usi ke liye maine bola wuzu se rahne ki koshish kijiye, shaitan aap par haawi na hoga, gusse par control karna sikhye,

My question to you is regarding the amount of meher e fatimi? Is the amount of meher e fatimi should be given according to todays amount or as it was given 1400 years ago. Also when should be meher given after nikah?

mehre fatmi aajki qimat ke hisab se count hogi, mehr me behtar hai nikah se pahle dia jae albatta baad me bhi de sakte hain

a person gets najis while he's sleeping after praying fajr namaz and he had taken ghusl e janabat in the morning so his fast will get consider or he will have to pay kaza for it ?

namaze fajr ke Baad agar najis hua tha to morning ke ghusl par bhi roza sahi hai

Aaj kal broiler chicken ko jo khana khilatey hai us me bohot si cheezey mix hoti hai shayad najis aur haraam cheezey bhi… Agar un chickens ko teen din paak khana khilaya jaye to kya woh khaney laayak hogi?

Shayad najis ya haram se kuch nahi hota, yaqeen hona chahiye ki wo haram chizen khilate hain

Lekin is se akhlaaq aur eemaan wagaira pe asar hota hai.. Aur agar imkaan hai to mujhe jaanna hai k agar yaqeen ho to haraam hai? Aur agar teen din paak khilaye to kafi hai

Ji 3 din murgh ke liye chahiye uske istebra aur paki ke liye

Is playing UNO allowed. It is very similar to playing cards?

agar society ise cards me hi shumar karti hai to haram hai chahe baghair shartbandi ke ho, agar aam public ise taash me nahi jodti to bina shart bandi khel sakte hain

Khums date has come but there is a Sayyed lady who needs money of sahm e saadaat during the year so can i keep that money with me and give her later in the year

Aap iske baare me ayatullah sistani ke wakeel se ijazat le sakte hain

At what age can goats be slaughtered for eating

goats minimum 7 month ki ho

is it ok to recite full salawat in namaz
aAllahumma salle ala Muhammadiw wa aale Muhammadiv wa ajjil farajahum?
or should we stop at Mohammad

aayatullah seestani ke yahan koi haraj nahi hai aap wa ajjil farajahum kah sakte hain,lekin ise namaz ka hissa na samjha jae

1)meri day shift ki job hai to shaam mai ghar aane ke baad mai dopahar ki namaz qaza padhta hoon , kya ye sahi hai?
2)office mai jagah na hone ki wajah se namaz qaza ho jati hai? kuch aur tariqa hai jisse namaz na qaza ho dopahar ki?

ye tariqa sahi nahi hai,, nmz padhne bhar ki jagah to ho gi hi, aap pocket me sajdagah rakhiye baqi jis jagah khade ho kar namaz padh rahe hain wahan ka paak hona zaruri nahi

Qasid e sughra karbala kis waqt pahuncha tha ?

zakereen se suna hai ki jab aap asghar ko dafn kar chuke the tab

Agar kasar namaz kaza ho toh vatan laut ke kis tarah padhe

qasr hi padhenge

unke saath kaisa suluk kiya jaaye jinhone hamare saath dadtareen suluk kiya yaha tak k hamare kirdaar ko bhi badnaam kiya. Aur woh log hamare se salah maswarah chahte he

agar unko maaf karne se unki islah mumkin ho to maaf karna sunnate masoomeen hai

ek maloomat chahiye aap se k hum shiya namaz e aamal e shab e qadr 23rd k ni8 amal krte he aur sunni musalman bhai 27th ki raat ko krte he
ye diffrent kiyu iska koi wajh ?

asl me ek rawayat hai ki shabe qadr mahe ramzan me fard raat me hai,,,yani 21/23/25 waghaira hamare yahan masoomeen ne teen raton ko bayan kia usme bhi baaz rawayat 23 ko wazeh bayan karti hain,,lekin sunniyon me 27 ko mana gaya,,,asl me maaviya ke zamane me rasul ki hadeeson ke khilaf dusri rawayaten banai gain wahin se ye kharabi hui

jaise k Allah k 99 names he aise Maula Ali (a.s) k kitne name he???

imam ali ke taqriban1000 laqab kitabon me aae hain,jisme yasubuddin,qatilul mushrekeen,imamul muttaqin,amirul momineen,asad,haider,abuturab,siddiq,farooq,nafsur rasul,saiyadul arab,qasimul jannate wannar,habullahil mateen,kalamunnatiq,ainullah,wajhullah,lesanullah,...etc. hain,,ye sare laqab hain aapka naam ali as hai

ye btye k Mai abhi unmarried hu aur apni Bahan k shadi k liye paise jama kiye hu kya ispe khums wajib hai. Mai apni monthly salary k hisab se khums niklu k ya jitna abhi tak jama Kiya hai.

jo paisa jama kar rahe hain uspar khums hai,jo saman khariden agar wo haisiyat ke mutabiq hai to uspar khums nahi h

Huzoor ye bataiye ki Agar koi insaan jo apne maal ka khums nikal raha h.. Aur wo apne zaoja ko per month kharch ke liye paisa Deta h wo paisa apne a/c me jama karrahi ho to kya us paise ka bhi khums nikalna chahiye

nahi

Huzoor ye bataiye ki Agar koi Maa apne bacche ko dudh Pila rahi ho to aesi situation me use Mahe Mubarak e ramazan ke roze rakhna chahiye ya nhi…… Ya baad me uski qaza kar sakti….. Is ka kya hukm h

wo khud behtar samajhti hai ,agar uske liye aur bacche ke liye nuqsan hai to na rakhe

This is a common thing but I would like to ask that after the month of Ramazan , only the Qaza will have to be filled or it will also have to pay a tribute.(kaffara)…..

qaza bhi hai aur 750 gram khana bhi har roze ke badle

kya khade hokar peshab krna jayaz hai. khade hokar agar chiiten na aaye to jayaz hai

khade hokar peshab karna makrooh hai,cheent pade ya na pade,,isse bimariyan hoti hain

muje ladka paida hua h 3 din hue hain. aap batayen khatna k liye kya huqm hai. kitne din k bad krna chahiye or khatna k din kya krna chahiye jaise k nazr wagaira….

7wen din aqeeqah mustahab hai sath me khatna bhi kara dijiye

itne kam din me khatna karane se koi nuksan to ni hoga. bacccha kuch bata bi ni payga taqlif k bare me

bilkul nahi,islam ne agar hukm dia hai to har angle se lehaz rakha hoga

kya wife ko salary ki rakam batana zaruri h.kya iss chiz me jhut chal sakta hai

zaruri nahi hai,aap waqte zarurat use kuch aur bata sakte hain

Kya yeh wajib hai ke Quran ko proper tajweed ke sath padhaa jaay. agar normal reading kare to koi harj to ny.

agar aap tajweed ka ilm rakhte hain to behtar hai uski reaayat karen

Muje mere akhlaq improve karna hai. Abhi aisa hota hai k mai kisi se khul ke baat nii kar pata hun. agar mere saamne koi hai to sharm or fear k maare mera Sir jhuka rehta hai. logo ko avoid krta hun baat krne se. Apne ghar me, sasuraal wagaira me ya kisi bhi relative k yahn jata hun toh chup baitha rehta hun. Iss tarah se toh log muje ghamandi samjhenge or ho sakta h k mere peet piche mera mazaak bhi banayen. Iss chiz se bahar nikalne k liye muje guide kiyega.

mujhe lagta hai ki aapka mizaj hi kam bolna hai,ye koi beemari nahi hai lekin bahut acchi cheez bhi nahi,aap koshish kijiye ki kuch close friends banaiye aur pahle unse baatem kijiye,mood light karne ke liye kabhi kabhi kuch hansi mazaq bhi zaruri hota hai

lekin yeh problem mere liye bimari se badh kar hai jiski wajah se mai office me or life me tarakki ni kar para hun. ek misal ke zariye se mai apni baat samjhana chahunga. abhi kuch tym pehle yeh hua ke sadak p muje ek momin dikhe jo kafi din se imambade me ni aate hain unki tabiyat kharab rehti hai. Toh jab sadaq p dikhe toh maine chaha k unke paas jaun salam karke unka haal puchun lekin mai nazre bachaake wahn se chala aaya. Bus mere dil me jo dar hai logo se baat krne ka usi dar ne muje roka unke paas jane k liye. agar khuda ya ahlebait ne koi tariqa bataya h toh isme meri help kariyega.

zyada se zyada quran ki telawat kijiye

office me khana khate tym kya mai wahn ki plate use kr sakta hun. halake plate dhone wale hindu hi hain, lekin agar plate dhul ke sookh chuki hai toh us plate me khana khaya ja sakta hai. Aur kya coffe machine se coffe pina jayaz hai office me

us plate ko dhule bina use nahi kar sakte isliye ki wo sukhi hai lekin jab khana dalenge to geela ho jaega...coffee machine ki coffee pi sakte hain

okay, coffee ke sawaal ke baare me mai confused hun q ke jo banda coffe vessel change krta hai woh ose pani se saaf krke fir vessel ko usme fit krta hai wo bi hindu hi hai. to agar mujhe shaq h k uska gila hath vessel me touch hota hoga to bi is halat me bi peena jayaz hoga.

shak ki wajah se koi cheez najis nahi hoti, haan agar aap sure hain to phir wo bhi jaez nahi

salam alaikum, kya hum apne bache ko uski maa ka hath chumna sikha sakte hain. jiss tarah se musafa krne ke baad log Aalime deen ka hath chumte hain. sharai taur par yeh jayaz hai

maan baap ka hath chumna mustaheb hai

gents doctor ke hathon aurat ki delivery jayaz hai.

agar lady doctor available hai to gents delivery na karaen,,,

kya sayyed wife apne non sayyed husband ko uska shoes ya chappal utha ke de sakti hai. or kabhi apne husband ke hath pair dabaa sakti hai.

bilkul de sakti hai,balki behtar hai,,,syed ghaire syed se kuch nahi hota,allah ke nazdeek wahi ba fazeelat hai jo bataqwa ho

kya usi tarah se husband bhi uski chappal ya shoes ose utha ke desakta hai. or oske hath ya pair dabaa sakta hai. kya husband k liye bhi yeh behetreen amal hai. kya aisa krne se husband chota toh ni hoga ya wife uska fayda toh ni uthayegi

ab un halat ko aap behtar samajhiye ki kahin wo ghalat faeda na uthae,,aise agar use koi pareshani hai to uski madad karna accha h

meher ki raqam kitne din me wife ko dene ka haq hai. wife ne aisa suna h k meher ki milne k baad wo osd apni maa k paas rakhaati hai or jab ladki chahe toh uski maaa ose de deti hai. waise meher adaa krne k baad kya mera interfere usme hona chahiye k woh un paiso ka kya kregi

jitni jaldi ho mehr use de dijiye,,,wo apne paas rakhe ya kisi ke paas usko haq hai,,,aap mashwera de sakte hain zabardasti nhi kar sakte ki kahan kharch kare

aaj ke daur me office me jo boss ka khaas hota h wo aage badhta hai, jo chaaplusi karta hai oose promotion milti hai. Aise daur me agar ek shia aage badhna chahta h to kya kare. galat technique se aage badh sakta h lekin khuda naraz hoga or wo shia bi gunhegaar hoga

agar apna haq hasil karna chaplusi par depend ho to kar sakte hain

mere sasural k jis room me hukkah piya jata h us room me hukke ki mehfil khalas hone k baad kya meri pregnant wife ka us room me uthna baithna jayaz hai.

koi haraj nahi,ja sakti hain

masalan meri khums ki date january 20 or agar april mahine me muje kuch paise bonus me milte hain. to january 20 k alawa april me bonus k paiso me bhi khums wajib hoga

agar aap barabar khums nikalte hain to ispar wajib nahi hai,lekin agar nxt jan tak ye paisa baqi rah jae tab wajib hoga

mere ofice k kuch friends jisme ladke or ladkiyan dono hain. yeh log mujse meri shadi ki album dikhane kehte rehte hain. kafi baar maine bahana bana dia. lekin agar mai unhe shadi ki album dikhaun to sahi h?

ladkiyon ko dikha dijiye, ladkon se bol dijiye mere yahan mana hai

ye bat to samaj me aai k aurten is tarah k kapde pehne jisme unka badab chupa rahe or itne loose pehne jisse badan ka shape bhi na dikhe. Lekin sar k baal dhakne q kaha gaya h. jahan tak k mai janta hun sar ko dekhke koi shehwat ny hoti. gardan se pair tak ko dekh ke hi shehwat hoti h. or kya meri wife p wajib h k jab woh aurton k beech rahe us waqt bi sar dhak k rakkhe?

baalon ko sirf shahwat nahi balki zeenat aur khubsurti ki wajah se chipane ka hukm hai,use tarah tarah se change aur design kia ja sakta hai,waise kyun wajib hai asl wajah to allah hi janta hai, aurton se baal chipana wajib nahi

aksar wife ko meri ammi ki koi bat buri lagti h to wo mujse share krti h. ab agar mai ammi se saamna karaun to unhe laga k wife ne mere kaan bhare hain. agar wife ko mana kardun k meri ammi ki koi burai mujse na kare to use lagaega k muje koi farak ny padta k use koi bat buri lagti h to. aise halaat me husband ka reaction kya hona chahiye or ise kaise handle karen.

aap wife ki baat suniye lekin maan ke samne aise rahiye jaise usne kuch kaha hi nahi,jaisi situation ho waise handel kijiye,ye har family ka common masaala h

in mustahab Namaz can male and female pray side by side.

Nahi, ehtiyate wajib hai ki wo zara gap par ya back me ho

mujhe ek bahot badi mushkil aa ladi hai aur usse najaat chahti hu. kya pls koi amal bataiye jisse meri mushkil hal ho

aap aadhi raat me uth kar namaze shab padhiye aur astaghfirullah ki tasbeeh padhiye Phir allah se dua kijiye inshallah qabool hogi

Dhilhijjah ke koi khusoos aamal aur namaz bataiye Aur kya koi namaz ya aamal hamare haajat aur financial problems door hone ke liye bata sakte hai

do rakaat namaze hazrate fatema padhiye dono rakaat me hamd ke baad 50 times surae tauheed aur namaz tamam karne ke baad ye duaسبحان ذی العزّ الشامِخِ المُنیف، سبحانَ ذِی الجَلالِ الباذِخِ العظیم، سبحانَ ذی المُلکِ الفاخِرِ القدیم، سُبحانَ مَن یری اَثَرَ النَملَةِ فی الصَّفا ، سُبحانَ مَن یری وَقعَ الطَّیرِ فی الهَواءِ، سُبحانَ مَن هُوَ هکَذا وَلا هکذا غیره.”

Mere sawal hai Ruhaniyat kaise haasil hoti hai aur uske liye kya karna padta hai. Isteghfaar ke kya tareekhe hai aur hame kaise yaqeen hoga ke Allah (s.a) ne hame bakhsh diya hai. Kya music sunne se hamari ibaadat aur haajat puri nahi hoti?

ruhaniyat step by step hai,haram se parhez aur wajibat par amal karna start kijiye dhire dhire mahsus hone lage ga,,aap namaze shab aur ziarate aashura padhna start kijiye

Mujhe Allah(s.t.a) Isteghfaar karna hai aur mujhe yaqeen kaise hoga ke Allah ne mere isteghfaar ko qubool kiya hai. aur mujhe isteghfaar ka sabse behtareen tareekha bataye. Mere do masle bahot zyada hai mai namaz ki paband nahi hu aur kabhi long drive karte waqt music lagati hu ke mujhe neend na lagjaye aur mai bahot lazy feel karti hu.

isteghfar ke bahut se tariqe hain,,,aap tanhai me allah se lau lagaiye aur feel kijiye ki allah ke samne hain aur maafi maang rahi hain inshaallah kuch der baad aap khud halka mahsus karengi,,,music jo aapki aadat ban chuki hai wo ek baar me khatm na hogi use aap dhire dhire kam kijiye phir aap quran sunne ki aadat daliye agar tarjume wali audio ho to aur behtar hai

Agar hum raat me sar par oil lagaye to kya subah us par masa nahi karte hai? kya usko poora dhona padega?

agar subh ko itna oil sar par hai jo pani nahi pahuchne dega to dhulna hoga

Kya maut ka waqt fix hai ya Situation par depend hai?

Example: Ek shaks ki bimari se maut huwi. kya agar uski sahi time par dawa mil jati to wo shaks nahi marta?

Please explain the answer with example also quite quranic aayat if any.

Quran me hai ki jab maut aati hai to na ek lamha aage na piche tal nahi sakti,,, har insan ki zindagi me ek maut hatmi hai jisko taala nahi ja sakta, kuch ghair hatmi mauten bhi hoti hain jinko taala ja sakta hai, jaise sadqa dekar wa selae rahem karke

1.kya Jinnat ko bhi Mout aati hai? Agar aati hai to kya we bhi usi kaifiyat se guzarte hai jaise ki insaam (fishare qabr, sawal jawab…) 2. Kya Qayamat me Jinn ke saath bhi hisab kitab hoga? 3. Kya Jinn bhi Ummate Mohammadi me shumar hote hai?

ji wo bhi marte hain bas unki umren zyada hoti hain, wo bhi tamam kaifiyaton se guzarte hain, unka hisabo kitab bhi hoga, jinn me shayad sunni maujood nahi hain ya to kafir ya shia hain

Marne wale ko qabr me punishment ya rewards ki buniyad kya hogi? yani marne wale ka Aqeeda ya Amal? Agar Amal ki wajah se Reward / Punishment hogi to Qayamat ke din kis baat ka hisab hoga?

aqeeda aur amal dono ka hisab qabr me hoga,aur mahshar me bhi,,,dono me bas waisa hi farq hai jaise monthly test aur annually exam me hota hai

humari namaz Qasr hogae thi lekin galti se puri namaz padh li to kya abhi wapas se Qasr ki niyata se namaz padhna padhegi. agar wapas padhna hai to qaza ki niyyat se ya normal

agar bhool kar puri padhi hai to jab tak namaz ka time bacha hai agar yaad aajae to namaz ko dobara qasr padhna wajib hai aur agar us namaz ka waqt guzarne ke baad yaad aae to qaza zaruri nahi agarche ehtiyat ki bena par behtar hai ki qaza ki niyat se padh le

agar galti se tashahud ke baad salam padh de aur takbeer b to namaz baatil hogae ya continue kar sakte hai
takbeer kehte waqt yaad aagaya ke yeh last rakat nahi thi.

ws,agar takbeer ke waqt yaad aa jae to fauran khada ho kar apni namaz aage padhega aur namaz tamam karne ke baad 2 sajde sahw anjam dega

I forgot my date of khums and have lost last year data of my khums amount. Now how should I proceed..?

kuch to date ka andaza hoga, month malum hoga?

Yes, 90 % 15 Shaban ke age piche he.. Yeh date likha huwa or hisab dudhe mera last khums nikalne Ka baki he.. Ab me Kya Karu..?

Aap 15 shaban ko hi nikal dijiye, kuch to andaza hoga ki last year ki saving is saal kitni bank me hai use minus kar dijiye

We have a family of 4 Brothers and 2 sister. We brought a property in name of 1 Brother. The surplus amount other than loan was put together by other brothers. This brother died without marriage and has no heritage. In this would sisters have share in property and if yes how much would be distribution..?

Yes they have their share and will be distributed by this method,, 25% for three brothers each,, 12.5% for 2 sisters each

Maulana the parents (father and mother) are not alive of brothers and sisters. THE PROPERTY IS IN NAME OF 1 BROTHER (not alive, not married so no heritage) .As it was joint family surplus cash amount was contributed to best level in property by other brothers. My question is that what will be the share of brothers and sisters…? Our confusion is as Under : As all brothers contributed in property, brothers divide property into 4 parts, the 4 th share of mahroom brother to be divided in respect that brothers get 2 part and sister get 1 part OR it would be Division from full property in ratio that brothers get 2 part and sister get 1 part.

farz kijiye wo property 500 rs ki thi to 4 brothers ko 100 rs each aur 2 sisters ko 50 rs each to pahle hi mil chuka jab wo bhai bhi alive tha ab jab wo bhai nahi hai to uska jo 100 rs hai usko us method se divide karenge jo maine bataya ki brothers 25 and sisters 12.5

Kia roze ki halat mey cough(balgam) andar le sakte hai kia nahi
or
agar hame sehti khatam hone ke baad yaad aya ke humne brush nahi kia hai or muh se badbu aa sakti hai to kia hum baad mey brush nahi kar sakte hai ya nahi

Halaq se cough andar kar sakte hain,.... Brush bhi kar sakte hain lekin agar ye khatra hai ki kuch andar chala jaega to na kariye

Kia 27 Rajab ka roza rakhne ki bhot zada fazilate hai

Ji, saal ke 4 azeem dinon me hai jisme roza rakhna ahmiyat rakhta hai, rawayat me hai ki 60 saal ke roze ka sawab hai. 25 zilqadah,, 18 zilhijjah, 17 rabiul awwal, 27 rajab

I want to know that our Agha's had stopped to use patanjali baba ramdev company product or not

agar gaumutra mila hai to khane wala material na lijiye, waise koshish ye kijiye ki khane pine ka product lene me ehtiyat kijiye baqi aur goods use kar sakte hain

Ayatollah sistani ke yaha kia gusul e jumha agar karte hai to wazu karna zaruri nahi hai kia

Ji, zaruri nahi hai

aaj k daur me koi zahari hujjat q nahi hai ?

har matter me ek cheez hoti hai important ek most important,imam ya hujjat ka zahiri taur par rahna important zarur hai lekin agar usse zyada ahem masaala aajae to is zarurat ko chorna padta hai,,imam hamare darmiyan hi hain wo ham par nazar rakhte hain bas ham direct contact nahi kar sakte,,,ghaibat ke bahut se reasons hain,aap aakhri hujjat hain is liye most important ye tha ki aapki jaan ki hifazat ki jaae aur ye hifazat mojize se nahi karni thi is liye ghaibat sabse behtreen hal tha ki jab kam se kam kuch sathi ho jaen jo iron se zyada mazboot aqeeda rakhte hon to imam fauran zuhoor farmaenge,,imam khud ghaibat me khush nahi hain wo chahte hain ki hamare darmiyan rahen,ham hi hain jo wo ground making nahi kar rahe hain taki imam aaen

I have received the following message from one of my friends please advice

آخر موعد لقص الأظافر وأخذ شيء من الشعر لمن لديه نية الأُضحية
الثلاثاء الموافق 22/8/2017
ذكر بِه غيرك
تقبل الله منا ومنكم

Last day to cut your hair and nails will be 22/8/2017 if you are planning to do qurbani for Eid Aladha.

aisi koi cheez ya hukm nhi h

Can we keep a hindu maid for house work like cleaning the house washing utensils and cutting vegetables

its not haram but u can't eat in those plates,u can't pray namaz in those clothes,and places

Can we give zam.zam water to.non Muslims

yes u can

Kindly ye batayen k Zulaykha kee Touba kab aur kese qubool hui..?

jab janabe yusuf hakim ban gae aur zulaikha jo ki budhi aur andhi ho chuki thi aur bheek mangti thi to logon ne usse kaha ki yusuf se kuch talab karo lekin dusre logon ne mana kia ki kahin yusuf ko tera zulm yaad Aa jae to wo badla na le lekin zulaikha ne kaha ki jis yusuf ko main janti hun wo aisa nahi hai wo kareem hai, ek din yusuf ki sawari guzar rahi thi to zulaikha aai aur kaha us khuda ki hamd jisne gunah ke sabab shahzadi ko zaleel aur itaat ki wajah se Ghulam ko badshah banaya,,.... Phir yusuf ko pahchanwaya aapne pucha kya abhi bhi mujhse Ishq hai usne kaha Haan aapne kaha agar aakhri nabi ko dekh lo to tumhara kya haal hoga usne kaha aapne Sirf naam lia dil me mohabbat aagai,,, Phir allah ne kaha Ae yusuf iske dil me mere mohammad ki mohabbat aai hai to ab tum shadi karo Phir tauba hui aur shadi..........

ma ye janna chahte hoon k imam ali a.s k sawari kya th maine jgh jgh suna ha k maula ghode k bajae gadhe p sawari krte th q k gadha kabhi jang s bhagta nae th to aaga sahi sawari kya ha imam ki

imam ne kabhi sawari li hi nahi aap paidal hi jang karte the

mujhe salam ka sahi tarik janna hai log trh trh k salam krte hai lkin sahi tarika kya hai.

salam yani salamti chahna, ye arabi grammer ke hisab se kai tarah se ho sakta hai,,,, salamun alaikum,,, assalamu alaikum,,, ye dono sahi hain,, in dono ke aage warahmatul lahi wa barakatuh bhi sahi h

kya hmare phle imam ali a. s 4th aasman kaabe p paida hue th

4th aasman par kaba nahi baitul mamur hai. aap makke wale kaabe me paida hue hain

kya qamazani ya khooni pursa jaiz ha?

ws,ayatullah sistani ne iska koi jawab nahi dia . agar aapk ayatullah khamenai ke muqallid hain to sahi nahi hai

kya shia hindu ka pakaya hwakhana kha skte hai?

agar uska hath khane ki kisi cheez me touch ho raha hai to nahi

mera sawal hai k namaje fajra k bad humbistari kar sakte hai?

subh hone ke baad se suraj nikalne ke pahle tak makruh hai,haram nahi hai,

can a female read kaza namaz for a man who has passed away ?

yes she can

من میخواستم بدونم اگر ماسومین کامل در زیبایی بودن. مسلن توی عکسهای ال بیت علیهم السلام همیشه سوراتهاشون کامل ان. هیچ وقت ندیدم یک مشکلی توی ظاهرشون ندیدم. میتونی به من بگی لتفن اگر ظاهر ماسومین علیهم السلام همین تری بودن

ببخشید نفهمیدم چه می خواستید بگید...آنطور که من فهمیدم می خواهی بپرسی آیا معصومین قیافه اشون عین همین عکسهای موجود است؟جواب. خیر....این فقط عکسهای خیالی است ولی این حتمیست که همه آنها از عیوب جسمانی و روحانی پاک بودند و خوشگل و زیبا هم بودند

تقریبا 14 سال پہلے ایک NGO نے ایک گائوں میں یتیموں کے لئے مجھے کچھ پیسے دیئے. ان میں سے 3 یا 4 یتیم اپنے گھر نہیں تھے اور ان کے پیسے میں نے استعمال کر لئے. اور NGO سے کہا کے سب بچوں میں پیسے تقسیم کر دیئے ہیں. وہ رقم مجھے یاد ہے 5000 روپے تھی. مگر اس NGO کا ابھی معلوم نہیں کہ کہاں ہے؟ کوئ رابطہ نمبر بھی معلوم نہیں. میں وہ رقم اب لوٹانا چاہتا ہوں. تاکہ قبر میں اس رقم کی وجہ سے مشکل میں نہ پھنس جائوں. مجھے کیا کرنا چاہئے؟ کسی مدرسے میں وہ رقم دے سکتا ہوں؟

ابھی اگر وہ یتیم وہیں ہیں تو رقم ان تک پہنچا دیجئے اگر وہ نہیں ہیں تو گاؤں میں دوسرے مستحق یتیموں کو دے دیجئے.. چونکہ یہ رقم شرعی نہیں ہے لہذا آپ کو گاؤں میں جو بھی مستحق یتیم ملے اس پر صرف کریں

Agar quran Majid galti se gir Jaye

To Kaffara Kya hona chahiye
Kitna hona chahiye
Kisko dene chahiye

aap use utha kar choom lijiye koi kaffara nahi hai

Agar Juloos may Hindu anjuman koi geeli cheez takseem kar rahi Hai toh Kya kha sakte Hai?

nahi

But the Hindus are coming together for the love of IMAM HUSSAIN and IMAM HUSSAIN sacrificed for all of Humanity and only for Muslims so taking that spirit of Humanity, we are still not allowed to eat from a Hindu Sabeel ?

I try and not eat from any qafir hotel

Agar kabhi situation change hoti hai to condition ke hisab se sirf us mauqe par utna halal hota hai jitne me Kaam ho jaae, lekin is hukm ka misuse na ho

Sistani sahab k masle k mutabik kya hum beach,swiming pool etc me kya hum naha sakte hai(jae hai)?

nahane me koi problem nahi hai bas alag se koi gunah na ho

Me apne city se itna durr gya tha k jaha namaz ko kasrr padni hai lakeen kuch bato k tahet me awwal waqt pe namaz nahi pad saka or me kaza hone se pehle apne city me pohuch gya par jab tak me paak saaf gusl karta tab tak namaz kaza ho gai thi .

to ab muje namaz ki kaza karni hai to me kaza e kasrr padu ya puri namaz?

aap qaza puri padhen ge,,isliye ki jab namaz qaza hui hai us waqt puri qaza hui hai,,qaza me aakhri waqt dekha jata hai ki aakhri waqt kahan the

Mera sawal ye hai k jab mola ali as k gale me rasi ka fanda dala or aap ka darr jalaya to mola ne koi defence nahi kiya? Or us waqt aap ka koi chane wala nahj tha? Or aap ne nabi s.a.w.s se jo wada kiya tha k ab me talwar nahi uthunga wo wazeh kijiye?

aapse rasul ne wada lia tha ki islam ki khatir sabr karna,,aapke kai sathi maujood the salman ibne abbas waghaira lekin aapne unhe bhi mana kar dia tha,,,aapne action lia lekin dusre tariqe se,aapne apne khaas afrad ke zariye unke batil hone ko ujagar kia

Matlab kya action liya?

sabse bada action to yahi tha ki janabe fatema ko dafn kar dia aur unko bulaya bhi nahi,,agar un logon se itna hi pyar tha to ye kis dunia me hota hai ki apne pyaron ko apne ghar ke janaze me bhi na bulao

jab aap k gale me rassi daali us waqt ki baat kar rha hun?

us waqt koi action nahi lia balki zubair aur salman ne talwar par hath rakha to mana kar dia

I have doubt the matami Juloos of Ashura has to be take after Namaz e Zohar ASR right then we have to break Faqa shikasthani or after breaking Faqa we have to take juloos kindly update me

Faqa behtar hai 4 baje ke aaspaas toda jae

When I have slept at night due to heat or I don't know how my little sperm(mani)has come out What is the option of ghusul do I have to take ghusul janabath or what

aapko ghusle janabat karna h

My father is ill, he is a heart patient and he is suffering from hickups since the past two days continuously, we will be visiting the doctor today inshallah but before that I need to know if you could please help me with any Amal or dua which I may perform so that he may get rid of this problem

aap astaghfirullah ki tasbeeh padhiye

kya chalti train me namaz padhi ja sakti hai ?

agar train rukne ka imkan na ho ya station par itna waqt na ho ki namaz padh saken to train par namaz padh sakte hain lekin jahan tak possible ho tamam sharaet ka lehaz rakhen,jaise qiblah rukh waghaira

what's the difference between Umrah Tamatuh and Umrah Mufridah?

dono umra hain bas zara sa farq hai, tamattuh Sirf shawwal zilqadah zilhijjah me hota jab ki mufredah kabhi bhi...... Tamattuh ka ahram 5 khaas jagah se bandhte hain lekin mufredah me haram ke qareeb se bandh sakte h,,,,, tamattuh me sar nahi Munda sakte mufredah me akhtiyar h,,, tamattuh me tawafe nisa nahi hai mufredah me hai,,,, isliye ki umrae tamattuh hajje tamattuh se qabl hota h

agar paish namaaz acha insan na ho adil na ho , to aise haal mai , jummah namaaz na padde.
kya jummah namaz tarq karay

dusri jagah padhiye, mumkin na ho to furada padhiye

Name the Person who prayed (NAMAZ) behind Prophet MUHAMMAD (SAWA) before 2 years when NAMAZ was made Obligatory ?

imam ali

Ayatollah Khomeini ka zanjeeer zani par kya fatwa hai

Aisi zanjeer jisme chaqu na ho usse zanjeer karne me koi haraj nahi bas itna zarar na ho jise bada zarar kaha jae

agar koi aurat(women) matam karay, noha padhe, to kya uski awaaz sunna gunha hai. masalan tv par , imam bargah mai , wagairah. aur kya unka chehra dekhna haraam hai agar hijaab mai ho……

ji nahi gunah nahi hai, bas halaat ka lehaz kare, mardon ke majme me na ho waghaira

imam ali a.s kay kul kitnay children's theh , unke naam kya theh

shekh mufeed ne 18 aur masoodi ne 25 batae hain lekin 18 zyada mashhoor hai

kya filmay dekhna guna hai
kya yeh islam me manha hai mera bhai din mai eek martaba eek film to dekhta he hai mai usko manha karta hoo
lekin wo kehta hai ki mujay kisi maulana ne kaha agr film theek kism ki ho to jayaz hai, jese jasoosi film., jungi film, etc jayaz hai

waise to film dekhna gunah nahi hai lekin conditions ke hisab se haraam hoti hai aur ye hukm sirf film nahi balki har programme ke liye hai,,, agar wo programme ghair akhlaqi film hai ya usse hame gunah me padne ka dar hai to haram hogi, ya kabhi society ke hisab se hukm badalta hai jaise jaise agar hamare yahan ehteraman muharram me nahi dekhi jati to na dekhen

i heard in a lecture that one of our twelve imam's said. there will be two types of scholars , ulma e su and ulma e haqqa .
can you explain.

jo haq ki taraf dawat de wo olamae haq aur jo apne ilm ka misuse kare wo olamae suu me hai,

I'm from Syyed Family. I'm helping my Mamu by monthly providing food items and my chacha monthly cash. as per my knowledge khums should be given 50% to needy and other half to Ayatullah Sistani. My question is the payment which I'm giving to my chacha and mama can be considered as khums. This is paid monthly to them.

agar saal me jo khums nikalta hai us me se aap sahme sadat ke hisse se madad karte hain to thk hai ye khums me hi shamil hai lekin agar ye paise aap alag se kharch karte hain to isko khums ka hissa nahi mana jaega. isliye agar saal me aapka khums 40/50 hazar nikalta hai to jaise hi nikalen usi waqt usme se madad kar dia kijiye

Asal me mera ek ghar kiraye per diyagaya hai. Uska pura kiraya my apne Chacha ko dedeta hoon ye my khums ki niyat se desakta hoon.

aise nahi de sakte,aap us kirae ko jama kijiye, saal me jab khums nikalen to ab us paise ko chacha ko de sakte hain khums ki niyat se,monthly de kar khums me kaise shamil kar sakte h

Sure Tawba mai Bismillah ke badle kya padha jata hai..??

Auzu billahi min ghazabil jabbar

Mai ye janna chahta hu ki Rasul aur aimmah iftar kab karte the – magrib ki azan ke baad? Namaze magrib padhke? Ya namaze isha padhke? Aur iftar kahan karte the – masjid me ya apne ghar pe?

aimma as aksar namaz padh ke iftar karte the, ,kai rawayat hai jisme haiki ghar par ya ashab ki dawat par wahan jakar iftar karte the,,,behtar yahi haiki pahle namaz padh li jae,,lekin agar kuch afrad aapka intezar kar rahe hain to unke liye aap iftar pahle kar ke namaz padhen

Ye bhi wazeh kare ki namaze magrib k baad iftar karte the ya namaze isha k baad? Aur agar namaze isha ke baad iftar karte the to kya namaze magrib ke baad makhsus doa aur mustahab wa nafela namaz padhte the ya fouran namaze isha padhte the?

jab dono namaz sath padhte the to uske baad,jab dono namaz alag alag padhte the to maghrib ke baad

Agar gift aya hai aur ek saal nahi hua hai Aur khums ki date aa gae h to kya uspar khums hai?

ayatullah seestani ki nazar me khums wajib hai

gifts ke upar khums lagta hai?

Agar khums ki date par wo baqi hai to khums dena hoga

kya in Dino me Kisi ki shadi me Jaya ha sakhta h kya,in Dino me Kisi ki shadi me Jana kysa h humare ek Office or khasss frnd ne Hume specially aane KO kaha h mi Karu & your se vo ek non Muslim b h? plz mujhe kuch tarkib bataye kis se mi use mna kr saku n shadi me na jau

Islam me waise to aajkal shadi me jana mana nahi hai lekin hamari society me chunki ehteraman nahi jaya jata is liye na jana behtar hai, agar wo close friend hai to use samjha dijiye ki 2 mahina 8 din ham khushi me nahi jate,

کیا ہم غریب مومنین کے بچو کی تعلیم پر سہم امام خرچ کر سکتے ہیں ؟؟

بغیر اجازت مرجع تقلید یا وکیل خرچ نہیں کر سکتے

سات دن کے بچے کے لئے کا حکم

غسل کفن و دفن ہوگا، صرف نماز نہ ہوگی

If I am in state of janabath, and have no time to perform ghusl and no time to do tayamum. And the time of namaz is getting over. What should I do?
Can I read namaz without tayamum.?

namaz baghair taharat nahi ho sakti aap tayammum kijiye aur namaz ki agar ek rakaat bhi time par ho gai to wo namaz ada mani jaegi qaza nahi

how many sunat namaz are there with five times namaz?
how it do.

2 rakaat before namaze fajr, 8 /8 rakaat before namaze zohr and asr, 4 rakaat after maghrib, 2 rakaat after isha(isha wali baith kar)

how many sunnt namaz with five times wajib namaz

23 rakaat

how many sunat namaz are there with fajar namaz? And is it compulsory to do this namaz ?

2 rakaat nafela namaz is mustahab before namaze Subh,, mustahab means it's not compulsory

agar koi zakhm sokh raha hu aur naha ne ke baad us zakhm Ko saaf kia jae and use jis chiz se saaf kia gaya hai usme khoon dikhae de par zakhm par nahi toh kya zakhm ko paak karna wajib hai ya aise zakhm ke namaz ho sakhti hai bima paak kie (zakhm ko paak karne ke liye phir nahana hoga)

wo paak hai

agar koi najis jis ka ek drop badan par aya aur ko humne sirf hath thoke 3 baar pani se saaf kia (wipe) toh kya woh hissa paak hai

agar 3 baar wipe karne se najasat aur uske asarat khatm ho jaen to paak h

agha agar kisi chiz pe khoon ka daag rahgaya ho khoon puri tarha se nikalne ke baad toh kya us chiz ko paak consider kar sakhte hain

agar aapne dhula hai aur najasat khatm hogai hai sirf daagh hai to wo paak hoga

agar beshab me semin (mani) jaisi chiknahat ho toh kya beshab ke baad bhi ghusl lena hoga, par semen (mani) ki aur koi nishani nahi hoti hai jaise kamzori ana ya larza wagaira

agar semen nikalne ke baad aapne peshab kia tha phir ghusl kia to ab ye semen ke hukm me nahi aata,aur agar peshab nahi kia tha aur ghusl kar lia to, ye dikhne ke baad phir ghusl karna hoga. agar aise hi koi chiknahat kharij ho jisme semen ki nishani na ho to wo semen nahi hai

Agar semen kharij na hoi ho aur peshab me semen jaisi chilnahat ho toh kya ghusl lena hogaya ya nahi

agar usme semen ki nishaniyan jaise uchhal ka nikalna, susti aana etc. nahi hai to semen nahi hai,,ghusl zaruri nahi

agha kya azan e fajr tak pani pee sakhte hain ya sehr ke waqt tak hi jo diya gaya hai

saher ka waqt azane fajr tak rahta hai,ehtiyat ki bina par timing zara pahle likh dete hain,aap azan tak saher kar sakte hain lekin agar kisi din dhoka hua to aapka roza batil hoga,isliye kam se kam 5 minute pahle tark kar den

kya aisi gym me ja sakhte hain jaha na mahram bhi ati hai same time pe (unisex gym)

har wo jagah jahan jane par gunah ka khatra ho wahan na jana behtar hai aur agar yaqeen ho ki gunah me giraftar honge to haram hai

– kya leather ko paak kiya ja sakhta jo peshab ya kisi aur chiz se najis hogaya ho?
-us jagha ka khana kha sakhte hain jaha pehele hindu khana banata tha par ab Muslim banata hai?

leather par pani dalne se wo paak ho jaega,(agar ye paak leather ho aur koi duari najasat ispar lag gai ho)
jis jagah abhi muslim khana banate hain wahan kha sakte hain

agar zamin najis hai aur uspe paak pani gire tob uski chiit najis hai ya paak?

agar aabe jari ya aabe kur zameen par gira to uski cheent paak hai,agar aabe qaleel gira to najis hai

agar galti se namaz e ihtiyat me surah e alhamd ke baad koi surah jaise surah e ikhlaas padhe toh kya namaz batil hai ya sahi rahegi

namaz sahi hai

My question is fox and other animals of dogs species are also impure(najis) to touch or only dogs are impure.

only dog is impure to touch not other species of that

I am suffering from some disease because of it when I urinate some semen discharge take place almost every time should I have to do ghusl to go in mosque or pray namaz ans recite quran after every time i urinate

ye aapka wahem hai urine ke sath jo chiz aati hai wo semen nahi kuch aur hai,isliye ki semen uchal kar aata hai,uski khaas surat hoti hai,badan sust hojata hai etc.aap doctor se mashwera kijie wo khud bataega ki semen nahi hai, semen ke alawa jo bhi nikle ghusl wajib nahi h

agha ye malom Krna Tha k ye Jo hum qabar le ulte hath krke mitti daalte hn seedha hath krke q NH daalte ..ksi riwayat ki roshni me islah kren

rawayat to mujhe nahi mili lekin ayatullah seestani ke masaala nmbr 618 me is amal ko mustahab kaha hai,aur mustahab usi ko kahte hain jahan rawayat maujood ho

ye pochna Tha k naade Ali ki sanad milti he ya NH? kehte HN kheybr me Rasool Allah saww ne hazrat Ali a.s ko pukara Tha tou naade Ali kaha tha…iski mustanad kitab me koi daleel

allama majlisi ne behar vol 20 page 73 par isko likha hai lekin puri sanad zikr nahi kia phir bhi tamam maraje ka ye kahna hai ki jin duaon ki sanad nahi bhi hai to use sawab ki ummid se padha ja sakta hai

hozoor Akram saww ki rizayat k mutaliq sawal he. k ayaa hozoor me dai halima ka doodh piya tha? qk agr piya Tha tou phr hzrat mosa ne Bibi aasiya k muamle me q NH piya Tha
..jbke Kuch ulmah ka kehna he k huzoor be faqat Bibi Amna s.a ka hee doodh piya Tha…rehnumai farmaen aur ksi mustanand kitab ka hawala den Taa k me bhi parh sakon

ji aapne haleema sadiya ka doodh taqriban 2 saal tak pia tha,hazrate moosa ko allah ne is liye mana kia tha ki wahan haqeeqi maa ko pareshani se najat deni thi aur ek bahane se bete ko maa se qareeb karna tha baqi jo chizen zakiri ke nukte bayan hote hain wo tarikh me nahi hai,haan rawayat me ye zarur hai ki daya use banao jo behtreen family aur acche kirdar ki ho jo haleema thin aur nabi fakhria kahte the main tum me sabse behtreen arab hun quraish se hun aur bani saad ke yahan doodh pia hai,aap kitabe safinatul behar vol 1 reza word me kai rawayat dekh sakte hain iske alawa kitabe istebsar vol 3 page 322 aur kitabe tahzeeb vol 2 page 279 par bhi in chizon ko padh sakte hain

I want to ask about insurance policy is this permissible or not? because in insurance policies there will a interest rate included

insurance policy yani wo company aap se monthly ya daily...kuch rupees leti hai aur uske badle me agar aapko koi loss ho to aapke nuqsan ko khatm kare aur mature hone ke baad ek fix amount aur kuch extra dia jata hai,,,jo aapka asl paisa hai use lene me koi problem nahi jo company extra deti hai agar aapne policy ki starting me is extra ki shart nahi rakhi thi aur wo copmany khud se apni policy ki wajah se deti hai to ise bhi le sakte hain lekin policy ki starting me agar aapne extra ki shart lagai thi ki main extra lunga to ye jaez nahi hai

A person is mujnib and if he performs ghusal then fajar prayer would get qaza due to shortage of time. would it be ok to offer prayer with tayammum

agar time short hai to asl najasat saaf kar ke tayammum anjam denge, lekin ye tayammum sirf usi namaz ke liye kafi hoga

Kia Namaz sahi hai ya dobara parhni hogi

wo namaz sahi hai use dobara nahi padhni

jann bujke mutth marna kya islam mai jaizz hai yah nahi

Haram hai

rat mya wazu kar nya kya kitna sawab hai

saari raat ebadat ka sawab milta hai

بوری کے ہاتھ سے کھانا کیا ہے

جی جائز ہے

Agar Kalima me Ali un wali ullah kah sakte hai, to phir Namaz me Ali un wali ullah kahna kyo sahi nhi hai?

agar aap muqallid hain aur imam ko bhi mante hain to isme kyun kaise nahi hota,, hamare kisi imam ne nahi padha is liye ham nahi padhte

Namaz padhte Te waqt zehan me bhoot se khayal aane lagte hai. isse kaise bacha jaye? Jisse pori Namaz me hi sewaye Allah ke kisi ka bhi khayal na aaye.

ws,agar aap namaz ka translation seekh len to ye kaam aasan hoga,,,dusra kaam aap ye kar sakte hain ki starting me puri namaz na sahi kisi ek halat me aap sirf allah ko yaad kijiye baad me ise dhire dhire aage badhaen,,,jaise aap tae kar lijiye ki ruku ya sajde me allah ke baare me sochenge bas

2 Rakat Namaz padh kr Masoomeen A.S. ya gair e Masoomeen ko Hadiya karna sahi hai?

ji kar sakte hain, hadia yani us namaz ka sawab dena

plz farzand hone ki dua baataye

Farzand me beta beti dono aate hain, aap roz namaze Subh aur namaze maghrib ke baad ek tasbeeh padhiye 70 baar astaghfirullah 10 baar subhanallah 9 baar astaghfirullah 1 baar subhanallah

Is it allowed to donate blood while fasting?

yes u can, its only makrooh

kya gali dene se wazu tutt jata h ya nahi

nahi

Can we distribute the share of sacrificed animals to non muslim people neighbours soceity friends ???

ji aap unhe bhi de sakte h

1 safar se 13 safar tak k din humare rasool a.s per bhari the isliye in dino ko tera tezi kaha jata hai.kehte hai k in dino naye libas na pehno, bahut si nayi shadi shuda ladkiyan mayke bhej di jati hai taki wo apne shohar k saath na reh sake. Mera sawaal hai k kya islam k hisaab se sach me ye din humare rasool a.s per bhari the isliye ye din hum per bhi bhari hai?Iski wazahat kare.

ye hamari khud ki banai shariaat hai iska Islam se koi taalluq nahi

While making wuzu should one splash water several times on its face and then do the masa? or one should directly take a handful of water and then do masa?

1st one is right, face wash kar ke usi water se masah hoga

Reciting Quran, salwat or namaz for the dead people so that they get the benefit of it will benefit us too? will we also get the reward of reciting it though we aren't reciting it for ourselves but for the dead people

aapko bhi reward milta hai

I am living in india..I hav joined hostel run by non muslims..I have many doubts and face many problems as i hav never living among non muslim community before..1)They change the bed sheet daily and clean the room..should i allow it..?? 2) can i use the common washing machine or will my clothes will become najis as hindus also use the same 3) can i give my clothes to laundry ?? 4) can i give my clothes for dry wash  5 ) i recently gave some clothes to laundry and then when they gave me back i kept them under tap water to make them taahir..Can i do the same as i dont want to wash my clothes ?? 6 ) after giving my clothes to laundry and for dry wash if i put them under sun will they become taahir ?? 7) sun makes all things pure so if i allow non muslims to wash bed sheet and cook food  and then keep under sun.is it ok ?? Will sunlight make food snd sheet pure ??

There is no problem for u in all of above written questions,, the bedsheets and and the rooms became najis when it wash by Hindus,, but if u r dry then there is no problem, u can do your prayer in dry situation on that bedsheets, only your sajdagah must be paak,, when u r using the semi automatic washing machine first u should wash it then u can wash your clothes,,,, najis clothes never became paak by sun,, only non removeble things such a wall became paak by sun

In market one lady asked me to fill a form..i filled it..next day she called me…she said that i have one voucher gift…can i take it ..or is it haram

no it's not haram, u can take it

jamat namaz me imam e jamat kunoot pada rahe ho to kya hum dusri koi dua pad sakte he..? imam e jamat jo pada rahe ho wo dua hame nai aati ho to kya karna chahiye ? sirf sunna chahiye ya koi dusri dua padni chahiye ?

aap koi bhi dua padh sakte hain

I was in kazmein iraq before 2 days and haram k bahar check post k bahar kahi se paani ubhar aya tha jo green jaise colour ka tha kharab pani lag raha tha.. kya wo pani najis gina jayega ?

me slipper pehen k chala uske upar and baad me 20 km walk kiya tha samrrah to kya slipper itna road pe chalne se paak ho gaya hoga ??

because me wo slipper se room me chala jaha wetness thi

to mere question yahi hi k wo pani najis mana jayega ? and if yes to wo slipper chalne se paak ho jata he road pe?

sirf shak ki bina par wo najis na hoga aur agar najis hoga bhi to wo ab itna chal kar yaqinan paak hai

Is it allowed to keep kitten or cats as a pet in one’s house.


Are their excretion najis
Their urine and stools are najis?

What are the rules regarding making oneself and the floor/place paak if touched by their excretions?

cats ko paalna allowed hai cat paak hoti hai but uska urine & stools najis hai, during namaz cats ke hair agar kapde par hain to namaz sahi nahi hai is liye ki wo haraam gosht pet hai,,, (agar Sirf 1 ya 2 baal agar hain to namaz sahi rahegi)

kya ladke log platinum ki anghuti phm skte hai kya?

Haan pahen sakte hain

pehli bar k alava baki har wakht qabr pr pani dalna kaisa h?

ws,pahli baar ka mustaheb hona sabit hai uske baad ka mustaheb hona rawayat se sabit nahi hai,sirf ek rawayat 6th imam ki hai aapne apne sahabi yunus ibne yaqoob ki qabr par 40 din tak hukm dia tha pani dalne ko,lekin shayad ye hukm khaas wahin ke liye tha phir bhi agar pani dalna chahen to koi burai nahi hai

I wanted to ask about waseela that what is it's need and importance, how is it proved from Quran and hadees? Furthermore hazir o nazir is only ALLAH so how can we seek help from Ali even if he is still alive but not present here in this room?

Surae maeda aayat 35 me hai allah tak pahuchne ko wasila talash karo, quran me janabe yaqub ke beton ka zikr hai ki baba ke paas aakar kahte hain aap mere liye allah se isteghfar kijiye,, aise hi bahut si hadeesen hain jisme nabi ne farmaya shohadae badr ko dafn karne ke baad ki inse hajat mango ye hamari sunte hain,,, shirk ye nahi hai ki kisi ko wasila banaen shirk ye haiki aisa samjha jae ki wo allah se hatkar bhi khud hamara kaam kar sakta hai,, saare musalman khanae kaaba me jakar udhar hath utha kar dua karte hain, hajare aswad ko pakad kar dua karte hain kya ye sab bhi shirk hai?

mujhe wo hadees ka reference bata dijiye k jisme rasul e khuda ne ghazwa e badr k shohoda k baray mein ye farmaya k inse mango…

Mustadrak hakim nishabouri vol 2 page 271, Nailul awtar, shaukani vol 3 page 348

aur jo ye baat hai k Mai apne kamray se beth kar mola Ali ko pukarun tu wo mujhe kese sunte hain kiunke hazir o nazir sirf ALLAH hai

Jab sath me rahne wale farishte sab dekh sun sakte hain to allah ne jinke tufail me kaenat banai unke sunne me kya problem hai,,, pahle itna samajh lijiye ki allah superior hai uske sare kamal khud ke hain baqi sab ki qudrat allah ki di hui hai, problem yahin se hoti hai jab shia Ali ko allah ke barabar samajhne lagte hain

janab ye baat sabit kese hogi k ALLAH ne mola Ali ko mushkil kushayi ki qudrat ataa ki hai?

Agar imam ki wilayat sabit ho to ye bhi aasani se sabit ho jaegi,, jo wilayat nahi manta use pahle wilayat ka matter samjhana hoga

I just want to know that can we pray in those clothes on which animal pictures are made

You can pray in those clothes,its only makrooh not haram

what is the best way to take away nazar ?

recite surae qalam,aayt 51...و ان یکاد الذین

syed Ka fitra non Syed ko De sakte hein?

ws,ji de sakte hain lekin iska ulta nahi ho sakta

me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?

Ws, contact kahan tak? Sirf Baat karna jo haram ki taraf na le jata ho wo mana nahi hai,,, har wo kaam jo haram ki taraf Jane ki wajah bane wo bhi haram hota hai ispar aayat aur hadisen maujood hain

agha "1 larki aur larky ka baymaqsad baat cheet karna jo unhy haram ki taraf lay jaye"
is tarha k contact k baary hadith o farameen jo hain aur jo b hawaly hain shariat me k kiya ye haram hai ya nahi wo sary hadith o farameen aur hawaly bata dain gy mujy?

mustadrakul wasael, vol 14 page 273 baab 83,,,imam Ali ne farmaya:namhram aurton se guftugu nuzoole bala ka sabab banti hai, dilon ko munharif karti hai, unki taraf ghurna dil ke noor ko khatm karti hai aur kan ankhiyon se dekhna heelae shaitan hai.
Nabie karim saww ne farmaya, jab do namhram Baat karte hain to tisra shaitan bhi hazir rahta hai, daaemul Islam vol 2 page 314
Rasule akram ne ghaire shauhar aur namhram se 5 kalemat se zyada Baat karne se mana kia hai,, man la yahzurhul faqih, vol 4 P 3 hadis 4968
Iske alawa bhi bahut zyada rawayat hain

Is fitra wajib upon. me for a person/persons whom I invite for iftar at my home, they are my friends and not my dependents.

nahi jo sirf iftar ke liye aae hain unka fitra aap par nahi hai

to whom we can give khums?

Khums ke 2 part karen, 50% sahme imam jo ayatullah sistani ko direct dijiye ya unhe jinko ayatullah ne sahme imam lene ki ijazat di hai,,, 50%sahme sadaat jo ghareeb aur zarurat mand syed ko dia jata hai use aap khud de sakte hain

zarurat mand koi bhi ho sayad ya normal shia kisi ko bhi de sakte hai ya sirf sayad ko hi dena hai?

Dusra jo 50% hai sahme sadaat wo Sirf aisa shia syed jo zarurat mand ho

my son is 10 yrs old, he is fasting, but suddenly he got 101fever now, is it ok to give him medicine ,n discontinue the fast.?

if continuing the roza is harmful for him u should give him the medicine,and if situation is very bad it is wajib to give him medicine

Janab aise kapde jinhe kisi non muslim ne iron kiya ho aur iss baat ka pata na ho ki usne iron kartey waqt kapdo pe pani lagaya hai ya nahin kya aise kapdey pahen ke namaz padhi ja sakti hai

agar najis hone ka yaqeen na ho to wo paak hai

main India mein Bank mein job karta hun mera kaam bank ki branch me Customer service karna jaise unke account kholna , account mein cash jama karna hai kya ye job karna sharai lehaz se sahi hai jabki in sab accounts mein bank interest deti hai

india ke bank me kaam karna jaez hai chahe bank ka koi bhi sector ho

Agha mera sawal ye hai ki western toilet hai agar kahi jaha hum job kar rhe office me aur ghar me bhi, to is toilet ke ke liye kya hukm hai ?
Kya jitni martaba peshab ya pakahana karenge, utni martaba nahana padega, bina nahahye paak mana jayega ya nahi ?
Bahot zada dushwari pesh aa rahi hai is masle me, wazahat ke sath jawab diye ki hum kya kare, aur kya na kare ?

baat indian ya western toilet ki nahi hai,,agar aap par najasat ki cheent nahi padti to aap paak hain,,,agar cheent padti hai to jahan par hai use dhulne se paak ho jaenge nahana zaruri nahi

Agha kya ek hindu bhai nazr ka khana kha sakte hai ?

koi haraj nahi hai,aur agar isse unke dil me islam ki izzat me izafa ho to behtar bhi hai

مولانا میں تبیعض کا پوچھنا چاہتا ہوں

jbaaz masael me kisi ek marja ki aur baaz me deegar maraje ki taqleed karna,,,isme bhi do suraton me aisa ho sakta hai pahli surat ye hai ki taqleed kisi ek hi marja ki hogi agar wo marja apne masaale me ejazat deta hai ki baaz masael me dusre ki taqleed kar sakte hain to is marja ke is masaale par amal karte hue aap dusre ki taqleed kar sakte hain(dar haqeeqat ye bhi usi pahle marja ki taqleed hui),,dusri surat ye hai ki jin masael me aapke marja ne ehtiyate wajib likha hai un masael me dusre marja ki taraf rujoo kia ja sakta hai

I have been working somewhere where there is no place for namaZ withing 2kms what should I do?

you need only less than one meter place for namaz anywhere in the world,,pray your salat anywhere, if there is no jamaat u can't do anything

میں اپنے بھائی کے ساتھ رہتا ہوں لہذا طعام وقیام کا خرچ وہی برداشت کرتے ہیں، میں ایک کورس کرنا چاہتا ہوں اور اس کیلئے میں ایک جاب کرتا ہوں. اس کورس کی جتنی فیس ہے میں نے اس کا آدھا پیسہ جمع کر لیا ہے جبکہ مجھے آدھی فیس اور انتظام کرنا باقی ہے تو کیا مجھے جمع کئے گئے پیسہ پر خمس نکالنا پڑے گا؟

علیکم السلام.آقا کی نگاہ اس رقم پر خمس واجب ہوگا

ایک نوجوان لڑکا جس کی آمدنی قلیل ہے اور وہ اپنی شادی کے لئے رقم اکٹھا کرتا ہے تاکہ گناہ سے بچ جائے تو کیا اس رقم پہ بھی خمس ادا کرنا ہوگا؟

جی خمس ادا کرنا ہوگا

When ever i go to poop in washroom and use water to make my self paak, i always end up making my other body parts najis because of najis water as per law. I have read that cloth also can be used to make anus paak. I read the law but did not get it about how to use cloth to make anus paak. can u please explain the total method?

Ayatullah sistani ke fatwe ke hisab se kapda mitti se bhi paak ho jaega shart ye haiki bilkul saaf hojae, Haan agar had se zyada area ganda hai ya bahar ki najasat jaise khoon laga hai to wo paak na hoga, kapde me behtar hai 3 baar saaf karen

If while doing wuzu, for wiping the 1st hand, i open the tap with one hand, take water on other hand's fist and close the tap with first hand, and then for wiping 2nd hand, I open the tap with one hand, take water on other hand's fist and close the tap with other hand and then complete the wuzu by doing necessary thing. my question is that, is this way wrong or anything important point is to be noted because while opening and closing the tap again and again, the water tap also come on fist?

problem Sirf masah ke liye hoti hai ja aap left hand par pani dalen aur pani band karen to uska pani aapke hath par laga hai isliye dobara aap left hand par right hand chala len taki ye extra pani bhi wuzu ka hojae

Is there anything like I have to perform wuzu before performing wajib ghusl? or i can directly perform wajib ghusl?

u can directly perform ur ghusl

agar me 18 years ke pehle bina licence ke, car ya bike chalata hu, toh kya vo gunaah hoga?

ghair islami mumalik me bhi qanoon ko follow karna wajib hai

Yani Matlab agar abhi me 17years ki age me bike ya car chalau toh vo haram and gunah hoga?

Ayatullah sistani ke fatwa ke hisab se to allow nahi hai

Will be wuzu be correct if I have applied oil on my face, hand and hair and I do wuzu over it?

agar wo oil aisa hai ki water aapki skin tak na pahuche to wuzu sahi nahi hai

Salam agar galti se namaz e ihtiyat me surah e alhamd ke baad koi surah jaise surah e ikhlaas padhe toh kya namaz batil hai ya sahi rahegi

ws,namaz sahi hai

Kya ek aurat na mehram mard ke just piche namaz padh sakhti hai ?

padh sakti hai

Maine yeh masla padha tha ke agar istibra me yeh shak ho ke istibra kia hai ke nai toh use phir se istibra karna chahiye, par agar yeh shak bar bar har waqt ho toh?

agar aapki aadat hai istebra karna to shak ke waqt aap yaqeen kijiye ki kia h

Salam agha kya behtar hai ghar pe awwal e waqt namaz ya masjid me late namaz jaise zuhr ki 5 baje ke darmian

ws,namaze awwale waqt behtar hai

Agar dog ne kapda ya pair chu liya hai to usse kaise paak karna chahiye? Ye baat nahi pata hai k ghila touch hua hai ya nahi?

badan hai to dhulne se paak hojaega lebas hai to dhul ke nichod dijiye,,waise jab tak najis hone ka yaqeen na ho har cheez paak h

Salamun Alaikum Ladki ko uski mummy ke mamu mehram hai? Matlab nani ke bhai?

ws,ji maan ke mamu mahram hain

Kya non Muslim k waha se baalo me ya body massage k liye tel (oil) use kar sakte hai? Eg badam ka tel hai wagaira

agar packed hai to le sakte hain,khule oil ko lene se parhez karen

assalam o alaikum aaqa aap se ek baat poochna chahatahoon jaise k Allah k 99 names he aise Maula Ali (a.s) k kitne name he???

wa alaikumussalam,imam ali ke taqriban1000 laqab kitabon me aae hain,jisme yasubuddin,qatilul mushrekeen,imamul muttaqin,amirul momineen,asad,haider,abuturab,siddiq,farooq,nafsur rasul,saiyadul arab,qasimul jannate wannar,habullahil mateen,kalamunnatiq,ainullah,wajhullah,lesanullah,...etc. hain,,ye sare laqab hain aapka naam ali as hai

Salaam Alaikum, muje samanah ka matlab Janna tha, aur jo maine spelling likhi he woh sahi he yeh bhi puchna tha

ws,samanah aapne sahi likha hai,ye wk parinda hai jise english me quail kahte hain,iski dusri meaning ye haiki ye aasmanah ka short lafz hai jiska matlab hai unchai aur azmat wala

salam bar sipahi e imam (as) mein khumus ka hisab lag ra hn. mein pkr 32000 apni begum ko dy di aur phir us se lay k udhar dy dia aur us ko kha k wapys kar dn ga. ab us per mein khumas ka hisab karn ga ya ni ?

ws,qarz dia hua paisa agar khums ki date par wapas lena aapke bas me hai to wapas le kar khums dijiye, agar abhi wapas na mile to jab bhi milega usi time us paise par khums dena hoga

Assalaamu-aliakum when should these surahs be recited?

ws,waise to ye surah kabhi bhi padh sakte hain lekin kuch special moment bhi hain,,, yasin ke baare me imam ali ki hadees hai,jab bhooke ho,pyase ho,lebas na ho,kunware ho,dar me ho,mareez ho,jail me ho,safar me ho,maut ke waqt,koi cheez kho gai ho talash karna ho to in sab jaghon par surae yasin padho..........surae rahman munafeqat door karta hai,mayyat ko faeda deta hai,jab koi nemat mile etc..

Agha Salamun Alaikum. Nazre Bad ke door hone ke liye kaun si Dua padhe.

ws,surae qalam ki 51 aur 52 aayat kasrat se padhen

Agar ghar ki ya kisi jagah ki zameen/tiles najis ho gayi hai to usko pak karne ka tareekha kya hai? Agar paani kur na ho to kaise pak karege?

ws,kur ki shart nahi hai aap wahan pani daal dijiye najasat khatm hote hi paak hojaega
agar aisi jagah hai jahan dhoop padti hai to wo aise hi paak ho jaega

Paani daal kar kapde se poch na zaruri hai?

nahi

assalamo alaikum humari namaz Qasr hogae thi lekin galti se puri namaz padh li to kya abhi wapas se Qasr ki niyata se namaz padhna padhegi. agar wapas padhna hai to qaza ki niyyat se ya normal. mohtaje dua. jazakallah

ws,agar bhool kar puri padhi hai to jab tak namaz ka time bacha hai agar yaad aajae to namaz ko dobara qasr padhna wajib hai aur agar us namaz ka waqt guzarne ke baad yaad aae to qaza zaruri nahi agarche ehtiyat ki bena par behtar hai ki qaza ki niyat se padh le

Assalamo Alaikum agar galti se tashahud ke baad salam padh de aur takbeer b to namaz baatil hogae ya continue kar sakte hai takbeer kehte waqt yaad aagaya ke yeh last rakat nahi thi. iltemas dua

ws,agar takbeer ke waqt yaad aa jae to fauran khada ho kar apni namaz aage padhega aur namaz tamam karne ke baad 2 sajde sahw anjam dega

assalamo alalikum hindu Brahman kaun hai ek movie ban rahi jis mein yeh kaha gaya hai janabe sheharbano (Imam e hussain (as) ki wife) ki behan hidustan mein shaadi hoke aaye hi jisse hindu brahman ki nasl hai. jo karbala ke waqiya ke baad karbala rawana hue the. Is ki tareekh mein kahi zikr hai kya? iska koi reference kitaabo ke andar? pls bataye. mohtaje dua Khuda Hafiz

ws,jahan tak maine is baare me mutalea ki koi cheez kitabon me nahi mili,aur shaher bano ki bahen maher bano jiska zikr isme hai wo kunwari hi inteqal kar gai thin aur iran me hi dafn hai

SalamunAlaikum Janab main India mein Bank mein job karta hun mera kaam bank ki branch me Customer service karna jaise unke account kholna , account mein cash jama karna hai kya ye job karna sharai lehaz se sahi hai jabki in sab accounts mein bank interest deti hai

ws,india ke bank me kaam karna jaez hai chahe bank ka koi bhi sector ho

If I am in state of janabath, and have no time to perform ghusl and no time to do tayamum. And the time of namaz is getting over. What should I do? Can I read namaz without tayamum.?

salamun alaikum,namaz baghair taharat nahi ho sakti aap tayammum kijiye aur namaz ki agar ek rakaat bhi time par ho gai to wo namaz ada mani jaegi qaza nahi