Maulana Zameer Haider

Maulana Zameer Haider
 
Age:
Location: Allahabad
Nationality: India

Public QnA

What is the significance of nauchandi jumeraat? We used to perform lots of things in Nauchandi jumeraat.

Islami hukm me nauchandi koi cheez nahi hai. Ab jo alam waghaira hota hai wo acchi cheez hai isliye uske continue hone me koi burai nahi.

Kia ese mehfil me ja saktey he jaha gana bajana dance waghera ho or hum waha pe apney ap ko haraam se bacha saktey he example gaaney or dance ki taraf tawajoh na de or hijab karey. Kia agha sistani ijazat detay he is surat me?

Nahi. Rewayat me hai ki jo tohmat aur ilzam ki jagah jae agar wo badnam ho to khud ko blame kare. Aisi jagah na jana chahiye

Mujhe ye poocha tha k meri mummy ne mere ek cousin ko feed krwaya h to kya merea usse parda krna vajib hoga? Bs ek baar feed krwaya tha

Ek baar se rezai nhi banta

My aunt is an Akhbari (curse our Marjaa Ikram openly) I usually don’t greet and talk to her properly. My mom on the other hand has a soft corner towards her and asks me to greet and talk to her properly. What should I do in this situation?

Aap apni aunty se boliye agar maraje ko nahi manti to koi baat nahi mere samne burai na kijiye. Baqi aap unse taalluqat rakh sakti hain

Bahen ne apne bhai ke bete ko ek din, ek ya do baar dudh pilaya tha jab vo 10 se 20 din ka tha. To kya vo behen ki ladki aur vo ladka jisko dudh pilaya vo mehram hai ya na-mehram?

Aur kya unka nikah ho sakta hai?

15 martaba sheer pilane ke baad wo mahram hota hai ya ek din me itna zyada pilaen ki kaha jae isse gosht bana aur haddi mazboot hui. Ek do baar pilane se kuch nahi hota. Wo shadi ho sakti hai

Islam kehta hai k duniyabki mohabbat mat rakho lekin parents se mohabbat kro, dosto se kro, acha khana kav, ache kapde pehno.

Dusra k har kaam Allah ke liye karo lekin ye acha khana ache kapde shadimaa paap se mohabbat ye to muje bhi pasand hai.

Toye muje pasand hai isliye karu to kya sawab milega?

Har wo dunia ka kaam jiske zariye Allah ki reza hasil ho duniawi kaam nahi hai. Aap ko allah ka hukm malum hai aap ye sab nekiyan karte jaiye aur Allah se dua kijiye ki mere aadhe adhure amal ko qubool kare. Ayada shak shaitan paida karta hai tension mat len

I wanted to ask that what are the farz of ghusl ? As the laws are same for any type of ghusl is it necessary to follow the sequence like 1st we make the niyat then we must wash our hand and rinise the mouth then one should wash the part which has najasat and then one should make the wudhu and then wash his full body and pour water 3 times. Is this sequence is necessary and does doing wadu is necessary too ?

In all kinds of the ghusl 1st you should wash the najasat part and then do your niyyat and wash the head and shoulder then right sight of your body and then left side. Wudhu zaruri nahi or 3 baar dhulna zaruri nahi

Jo rajab wagera me rozy rakhy jaty hain matlb mustahab rozy to me jab job pe jati hun to meri dostain khany ke time pe kehti hain ke chalo khana khaein to kya m jout mout me tal sakti hun k me nhi kha sakti abhi etc kiu k mujy lgta k batany s raya kari na ho jay yo kya ye jout hamara gunnah likha jay ga?

Aapko jhoot bolne ki zarurat nahi h. Aap bol dijiye main roza hun. Reyakari nahi hogi balki ho sakta hai isse unme bhi koi rakhne lage

Mein n ye pochna tha k kuch months pahly m kisi bht bhari problem se guzr rahi the to me ne Allah pak se dua ki us ne qabool bi ki pir jab m us problem se guzr rahi the mein gunnahu se bachti the to mera yakeen iman bohot pukhta tha. Mein har wakt ak lazat mehsoos karti the sakoon k sath means jesy Allah ko bht qareeb mehsoos karna jab s mein n usy mehsoos kea har wakt mjy dunia me kabi is trha ki lazat pahly nhi mili kisi cheez m. But jab se problem solve ho gae us ke bad b mein gunnah nhi karna chahti bs Allah ko wesy he mehsoos karna chahti jesy pahly karti the magr ab mein pahly jesy mehssos nhi kar parhi gunnahun s b bach rhi hn. Sab hai but ab wo cheez nahi hai. Kya kie gunah ho gya hai ? Ya Allah naraz hai? Kuch samjh nahi a rhi

Allah kabhi apne bandon ko khud ke qareeb bulane ke liye masaeb aur pareshani me giraftar karta hai. Ab agar aap waisa mahsus nahi kar rahi hain to raat me jab sab so rahe hon to uthkar namaze shab padhiye ya kam se kam 2 rak'at namaz aur allah se baten kijiye.
Har namaz ke baad 70 baar isteghfar kijiye

Kya roze ki halat me hairs pe mehndi laga sakte h?

Haram nahi hai

1) Sote waqt jo khwaab dekha ho or us khwab ki kaifyat sokr uthne ke baad kayam rahe or dauran e fajr namaz bhi insaan usi kaifyat mei ho lekin zara kam or namaz mei theek tarah tawajjo na de paaye toh kya namaz ho jayegi?

2) Agar surah ikhlas ya uske baad padhi jaane waali surah ki kisi ayat mei ghalti ho jaaye maslan surah kaafiroon padhte waqt wa la ana aabidum ma abadtum ko ghalat padh liya ho ek aat alfaz or mehsoos hua ki aayat ghalat padhi or us aayat ko dohra kr sahi kiya toh kya ese kisi qalam ko sahi karne ke liye dohrane se namaz ho jaati hai?

1) Namaz sahi hai bas darajate namaz aur sawabe namaz me farq aata hai.
2) Aap agar mutawajjeh ho gae ki aayat ghalat padhi hai to sahi padhna zaruri hai na padhenge tab namaz me prblm hogi

Just wanted to know that interest received on provident fund is right and also khums on it will be for the entire amount or excluding the interest?

Actually I dont know that what are the system of provident fund. Kafir bank me interest me koi problem nahi. Agar provident fund ko aap kabhi bhi nikal sakte hain ro entire amount par khums hai nahi to jo aapko mile uspar hai

While reading Quran, is it necessary to stop at some particular aayat only. Example if I am reading Quran and after 2 pages I want to stop and continue later on , then can I stop at any aayat or there are any rules to stop at certain aayat. Please advise .

Waise rule to hai lekin uske liye tarjuma janna zaruri hai. Aap kisi bhi aayat par ruk sakti hain mana nahi hai.

Kia hum perfume use kar sakte hai ya nahi
kiyou ki usme alcohol mila hota hai?

Alcohol paak hai. Uska pina mana h

Ye jo rasulallah ki hadees hai ke
'Agar puri duniya mola Ali a.s ki mohabbat par jama ho jati to khuda jahennum khalk hi na karta'

Kiya ye hadees sunni kitabo mey hai. Agar hai to kaha par mughe bata diyea reference ke saath detail mey



أخبرني شهردار هذا اجازة ، أخبرنا أبي ، حدثنا أبو طالب الحسيني ، حدثنا أحمد بن محمد بن عمر الفقيه الطبري ، حدثني أبو الفضل محمد بن عبد الله الشيباني ، حدثنا ناصر بن الحسين بن علي ، حدثنا محمد بن منصور ، عن يحيى بن طاهر اليربوعي ، حدثنا أبو معاوية ، عن ليث بن أبي سليم ، عن طاوس ، عن ابن عباس قال : قال رسول الله : لو اجتمع الناس على حب علي بن أبي طالب لما خلق الله النار .

لمناقب، تألیف موفق بن احمد خوارزمی، صفحه ۶۷
Almanaqib, Khawarazmi

My question is can a non Syed can give his fitra to a Syed, is it allowed?

Fitra not allowed but other than fitra and zakat, all kind of sadaqah allowed

I wanted to ask what I can do to rid myself self of jealousy. I read Namaaz e Astagfar daily, I pray and keep faith in Allah and the 14 Masoomeen, and keep up with my fasting. Sometimes I find myself envious of others or not as happy as I should be in their joys. It makes me feel bad that I am like this and I try my best to love everyone, but sometimes I feel jealousy within myself. How can I rid myself of this?

Ba wuzu rahen aur auzu billahi minash shaitanir rajeem padhte rahen. Do isteghfar as much as you can

Mera namaz me dil nahi lagrha me wazu kr rhi hun to lagrha hai galat kiya aur wazu sy pehly bht bar puri bismillah parh rhi hun qk mujhy lgrha hai k mene glt parha aur namaz me bhi ase horha hai. Dil bhi nahi lagrha aur lgrha hai galat parha hai to bar bar parh rhi hun. Bataein me kya karun

Ye waswasae shaitani hai. Surae naas aur falaq padhiye. Jab had se zyada waswas ho to aap ek baar wuzu kar ke ek namaz padh lijiye chahe wo kaisi kyun na ho dobara na padhiye

Can we use an alcoholic perfume? if yes, how much percent alcohol should be present in a perfume

3 to 4 % me koi problem nahi hai.

Ayatullah sistani ke according alcohol najis nahi hai lekin uska khana haram hai...jin dawaon me 2%se zyada hai usse parhez karen,ya jitna zyada hai utna pani mix kar den ki 2% se kam ho jae

Kya ham tv serials, movies comedy show and reality show dekh sakte hai?

Waise to dekhne me koi problem nahi hai magar ye ki koi dusri wajah ho jae jaise ehanate mazhab,fuhashiyat, waghaira

Lakum deenukum wal yadeen.' Iska matlab?

Iska matlab ye hai ki agar meri tableegh ke bawajud aap seedhe raste par nahi aa rahe hain to koi baat nahi, is dunia me aap apne deen par ham apne deen par ab wahin decide hoga kaun sahi tha

If I live in a country such as singapore , Thailand or Malaysia where it is impossible to avoid najassat of chinese and indian people. How we do? Do we have to apply the fiqh rule like in China and India?
Because they are everywhere in the society

You should avoid najasat as much as possible. Har time paak rakhna wajib nahi. Namaz paak halat me honi chahiye. Khane me jitna possible ho utna avoid kijiye. Jab problem ho to veg kha sskti hain, nonveg nahi

Abhi 22 Rajab ko imam hasan ka dastarkhaan tha, toh humlogo ne Imam ki nazar karwaye aur aksar nauchndi jumerat ko Maula ali mushkil kusha ki nazar karwate hain. Toh kisi ne pucha ki aaplog nazar q karte, meray paas kisi kitab ka hawala dete huye kuch jawaab na tha. Toh us shaks ne kaha aap kisi kitab ka hawala de ke bataye ya samjha paye ya kahi likha ho to mai bhi zaroor karu. Mai nazar-e-Imam Hussain, nazre Maula Ali mushkil kusha ki ahmiyat kya hawala de k samjhaou?

Hamare yahan jise nazr kahte hain wo wahi fateha hai jo dusre murdon ke liye hota hai. Aur jab murdon ke liye fateha me sawab hai to imam ke liye to badarjae awla sawab hoga. Khane waghaira par is liye karte hain ki ham masumeen se ye izhar karte hain ki apni khushi aur gham me ye nematen jo aapke sadqe me milti hain aapko bhi yaad rakhte hain

I am fasting and my nose bled whilst I was on public transport on my way to work. In the time I tried to find some tissue, I inhaled the blood in which meant it was swallowed. Does this invalidate my fast?

Roza sahi hai

It is Ramadan and I have just visited doctor. She has given me antibiotic and asked to use it immediately. What should I do?
Should I break my fast? It is not yet Zuhr here.

If doctor says immediately, you can break your fast

1) Mera sawal yeh hai ki agar sharaab/alcohol kapde me ya jism me lag jaye toh kya woh hissa najis ho gaya hai or taharat ki zarurat padegi ya nahi?

2) Or kya perfume lagana sahi hai jisme kuch percent alcohol mila hua hota haii

1) Ji najis hai. Use dhulna hoga

2) Alcohol agar bahut kam percentage me hai to sahi hai isliye ki alcohol sharab nahi hai sharab banane me uska use hota hai

Kya tasbeeh e bibi zehra (sa) padhte hue kisi se baat kr sakte hn? Or agar baat kar liye toh tasbeeh fir shuru se padhni padegi ya wahi se continue kr sakte hain.

Tasbeeh ki ahmiyat itni hai ki namaz ke fauran baad bina kuch kiye tasbeeh padhiye aur koshish kijiye ki darmiyan me kuch baat na karen. Agar baat kar lia to usi ke aage padh sakte hain

Locker ya ghar me rakhe hue zewarat (jisme se kuchh ek baar bhi use nahi hue aur kuchh frequently use hote hain) per zakat ke baare me kya hukum hai

69.12 gram ya usse zyada gold agar 11 mahine tak barabar raha tab 40wan hissa zakat wajib hoti hai. Zewarat agar us tarah len den me istemal hote hon jaise pahle zamane me sikke use hote the to uspar zakat wajib hai

Main Mumbai me rahata hu Allahabad mera home town raha hai. Gaon me mera ghar bhi hai lekin ajkal ammi Allahabad shahar me mere chote bhai ke saath rah rahi hain. Main unse milne Allahabd shahar aya hu. Aaj 18.6.2019 ko subah 2.30 am ko pahuncha hu aur 27.6.2019 Ko subah wapas chala jaunga. 10th day ko main chala jaunga. Kya yaha per meri namazen Qasr hongi?

Chunki Allahabad aapka watan nahi hai aur aap ka stay bhi 9 din kuch ghante hai isliye aapki namaz qasr rahegi

I kindly wanted to know the name meaning of my name ' Shamrin'?

Shamrin ki koi meaning nahi hai, iran ke Azerbaijan province me ek village ka name hai