Maulana Sayed Haider Abbas Rizvi

Maulana Sayed Haider Abbas Rizvi
 
Age:
Location:
Nationality:

Public QnA

How much Khake shifa can we give to sick person to eat and what to recite


اللهم انی اسئلک بحق الملک الذی قبضها و اسالک بحق الملک الذی خزنها و اسألک بحق الوصی الذی حلّ فیها ان تصلی علی محمد و آل محمد و ان تجعلها شفاء من کل داء و أمانا من کلّ خوف و حفظا من کلِّ سوء

Qamar dar aqrab kia hota or kab hota hai?

G ha har mahine me 3 din rahta hai. Koyi khas din tarikh nahi hai . jin Dino me hota hai wo calendar me likha rahta hai

Mjhe aapse kuch puchna tha, kyaa hm log other religion ka khana nahi kha skte? Jesee maine kuch logo ko bolte suna ki “nahi hm hindu ka nahi khate” (we as a indian) maine aisa pehli baar suna to thoda ajeeb laga kya ap mjhe kuch btynge is baare mein?


Hindu mushrik hain aur najis hote hain isliye unke hath se tar chizen nahi kha sakte sukhi chizen khane me koyi haraj nahi hai

What should you do when having a runny nose while praying?

Aik hanky hath me rakhe zarorat padne par poch len nose

Can we dry our (wet) clothes in the public dryers which are used by all (including Hindus)? The dryer is a different machine where kafir have previously placed their washed clothes to dry
then we dry our clothes in the same machine (which used by everyone several times) will the najasah remain in our clothes?

Is tarah se libas pak nahi hoga ,

Mai is chiz k mutaliq Ayate deykhna chatha hu quran me
kaha pe hongi mujhe nhi pata par mujhe aisa lagta hai hongi zarur

Jo is chiz ko sabit kare k jo logh is duniya se chale gaye unse abhi bhi taluq ho sakta hai, communication possible hai jaisa k wahabi ka Aqeedah hai k aap unse communicate nhi kar sakte
woh nhi sun sakte un tak baat nhi pauch sakti etc..


Ayet to is sarahat se nahi hai siwaye un ayat ke jinme Shaheed ko zinda kaha gaya hai lekin rewayat hai ki Nabi ne Badr me marne wale kuffar ko khetab kiya to Umar ne pocha ki kia ye sunte hain?
Nabi ne farmaya: tum in se ziada nahi sunte.

Agar shaadi ke baad biwi ke saath humbistari zyada der tak nahi ho pa rahi hai isse biwi shohar se naraz ho ya usse khush na ho, to aisi Surate haal me kya hum zyada der tak apne mani ko rok ke rakne wali tablet ya spray use ker sakte hain? kya ye jaiz hai ya haram?


Shariyat me is tarah ki dawaon par koyi pabandi nahi hai.


1). Larka agr larkay ko honton par kiss kar rha hai aur aage wali ghalat jaga par hath bhi laga rha hai. Kya ye Gunnah hai?
2). Larka agr nanga lait rha hai doosre larkay ke sath. kya ye gunnah hai?

G han haram hai

Hamari ek rishtedar momina hai jo bahut hi parhezgar aur ibadat guzar hai. Unke yahan har mahine ki pehli jumerat ko Maula Abbas (A.S) ke naam se nazr dilayi jati hai.

Haal hi me sunne me aaya hai ki unke upar mahine ki pehli jumerat ko Maula Abbas (A.S) ki haziri hoti hai. Jab aisa hota hai, log unke paas apni haajaat aur pareshaniyan lekar jate hain.

Mujhe samajh nahi aa raha hai ki mai is cheez ke upar yakin karoon ya na karoon. Baraye meherbani mujhe batayen ki kya ye Islami lihaz se sahi hai ya nahi. Kya Maula Abbas (A.S) ya koi bhi Masoom ek mamuli insan par apni haziri de sakte hain? Ayatullah Sistani saheb ka kya hukm hai is baare me?

Ye sari chizen qabile etebar nahi hain.
Maula Abbas a.s apne tamam chahne walon par tawajjoh rakhte hain. lekin hazri aur kisi ke upar ane ka koyi system nahi hota .

Kya zhengaa prawn khana haraam hai?

Jhinga desi wala sahi hai lekin jo bade wale ate hain wo halal nahi hain

WhatsApp me kuch messages aa rahe hain jisme likha rehta hai ki kal ka jo sooraj grahan hai wo bahut kathin hone wala hai aur bahut saari musibaten aane wali hain. Unko taalne ke liye gosht aur hari sabziyon ka sadqa dena chahiye. Iske baare me Ayatullah Sistani saheb ka kya hukm hai?


Ye sab massage fuzool hain, namaz ayat wajib hai wo ada karen aur nikah, ham bistari waghairah se parhez karen us wqt

Khulfa e salasa ka Hazrat Muhammad saw ki tadfeen aur namaz e janaza main kia hissa tha?


مصنف ابن ابی شیبہ میں روایت ہیکہ وہ دونوں نبی کی تدفین کے وقت انصار کے پاس تھے ، یعنی حاضر نہیں تھے

Sometimes some people, friends and family, tell me a secret and say keep it to yourself. I believe when they say this I should keep their information a secret and not tell anyone including my wife and parents. Is this a valid belief or should I tell these 3 people if they ask?

Nahi kisi ko bhi nahi bol sakte

آیتولہ خامنائی کے مطابق شاور کے ذریعے غسل کا طریقہ کیا ہے ؟


شاور سے غسل ترتیبی کر سکتے ہیں
پہلے سر و گردن دھوئیں پھر کندھے سے پاؤں تک داہنا حصہ اور پھر اسی طرح بایاں حصہ دھو لیں

غسلِ جنابت واجب ہونے کے دوران کون کون سے کام کرنا جائز نہیں ہے ؟
اور اگر ہم اس حالت میں کسی جگہ بیٹھے تو کیا وہ جگہ بھی نجس ہو جاتی ہے؟

جن چیزوں کے لئے وضو و غسل شرط ہے ان کو انجام نہیں دے سکتے۔
اور مسجد میں ٹھہرنا، آیات سجدہ کی تلاوت کرنا، جائز نہیں ہے

جہاں آپ بیٹھیں گے اگر اس جگہ نجاست سرایت کر جائے تو نجس ہوگی اور اگر نجاست خشک ہو چکی ہو تو نجس نہیں ہوگی

Is the reward and effect of listening to ziyarat ashura the same as reading it?

Sawab tawajjo aur niyat ki bena par hai. Agar tawajjoh hai to sawab milega

Agr kisi khwahr ko pocket money milti hai
to kya uska khums dena pdega?

G han jo paise sal bhar kharch karne ke bad bachte hain us par khums hai

Karbala me dushman ke lashkar ki tadaat kitni thi?

Kya 9 lakh tadaad jo zakireen padte hai apni majliso me wakei me 9 lakh tadaad thi?

Ye kuch ulma ke nam hain jisme unhon ne ye tadad zikr kiya hai.

1. Shaikh sadooq, r.a - 30000
2. Masuoodi, 28000
3.Tabari 14000
4. Ibne shahre ashoob 35000
5. Sibte ibne joozi 6000
6. Ibne anba 31000
7. Mulla kashefi, 32000
8. Khaseebi 56000



After doing the sajda sahw and reciting the tashahud, is permissible to recite the three salaams or is just permissible the salaam which is wajib?

The 3 salam like wajib namaz

I am suffering from an illness related male sexual health and getting treatment since long. I want to get cure and get married. Please suggest me any dua or special amal to get cure of my illness alongside medication.


Qamari mahine ki 13,14,15 tarikh ko roza rakhen aur har rat is ayet , sura furqan 74 ko tarjuma ki taraf tawajjoh ke sath telawat kare , sone se pahle .
وَالَّذِینَ یَقُولُونَ رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّیَّاتِنَا قُرَّهَ أَعْیُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِینَ إِمَامًا
سوره فرقان، آیت ۷۴


Isi tarah namaz ke qunoot me is ayet ko shadi ki niyat se padha karen.
.«رَبَّنا آتِنا فِی الدُّنْیا حَسَنَهً وَ فِی الْآخِرَهِ حَسَنَهً وَ قِنا عَذابَ النَّارِ»
Sura baqra, ayet 201

Kya billi palna sawab hai?

Billi palna jayez hai lekin chonki najis janwar hai uska peshab pakhana najis hai isliye ihtiyat zaroori hai

Nani abi zinda hai unho ne gift kia hai ghr apne nawasay ko jo ke usoolan unho ne apne beti ko krna tha per nawasay ko kia. Ab jo unki 2 nawasia hai wo b hisa mang rahai hai.
Kia hukum hai?

Agar unhon ne is bache ki Maan ko diya hota to dosre bache hisse dar hote.
lekin direct nawase ko diya hai to dosron ka koyi haq nahi hai

Attending the invitation of a person or relative whose source of income is by way of both halal and haram means?

G han kar sakte hain jab tak aap ko ye yaqeen na ho ki jo khana hai wo haraam mal se laya gaya hai, khane me koyi haraj nahi

Mera ye sawal hai ke kya hum apne marhoom walidain ke liye daily sure re mulk padh sakte hai ?

G han padh sakte hain

Agar ladki ke baap aur dada dono ni h aur ladki kuwari h to ladki ko nikaah karne ke lie ijazat lena paregi?

Agar bap Ya Dada faut ho chuke hon aur larki baligh aqil ho to khud shadi kar sakti hai

10 Moharram ka Roza Rakhna Kya Rasul Allah s.aw ne mustahab qarar diya hai?
Ahle sunnat k bhai log reference bhi dete hain Mishqat sharif book name

Ahle sunnat ki kitaben hamare liye motabar nahi hain. Unke yahan rewayat hongi


Kia egg khana makruh hai?

Nahi

Kya ladies log razor se armpit aur naaf se neeche k baal ko bana sakti hain?

G bana sakti hain koyi haraj nahi

Aghr me jo dua ya ziyaarat chla di jati tv pr or sb ane apne kaam me lge rehte kya ye sai hai?

Dua aur ziyarat tawajjo k sath padhna aur sunna chahiye

Kya hum apni middle wali finger me anghooti pahen sakate?

G pahen sakte hain

Khums kin kin cheezo pe ko kaise nikalta hai saving ke alawa? Kia saal mey jo naye kapde kharide, gahu etc in pr bhi khums niklega? Daal, chawal, atte ka khums inhi ki foam mey niklega ya aise ki foam mey nikal sakte hai? Or kia jaise humne naya ghar kharida us par khums niklega?

Dal chawal ki qimat de sakte hain. Naya ghar agar sal ki bachat se kharida hai aur usme rahne lage usi sal to nahi dena hai. lekin agar pichle salon ki bachat se kharida hai aur jo paise the unka khums nahi diya hoga to khums dena padega

Please koi aisa amaal bataye joh koi prison qaid mei ho uske liye, kaunsi dua,amaal karo woh begunaah hai

يَا كَبِيرَ كُلِ‏ كَبِيرٍ يَا مَنْ لَا شَرِيكَ لَهُ وَ لَا وَزِيرَ يَا خَالِقَ الشَّمْسِ وَ الْقَمَرِ الْمُنِيرِ يَا عِصْمَةَ الْمُضْطَرِّ الضَّرِيرِ يَا قَاصِمَ

كُلِّ جَبَّارٍ عَنِيدٍ يَا مُغْنِيَ الْبَائِسِ الْفَقِيرِ يَا جَابِرَ الْعَظْمِ الْكَسِيرِ يَا مُطْلِقَ الْمُكَبَّلِ‏ الْأَسِيرِ أَسْأَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَ آلِ

مُحَمَّدٍ أَنْ تَجْعَلَ لِي مِنْ أَمْرِي فَرَجاً وَ مَخْرَجاً وَ تَرْزُقَنِي مِنْ حَيْثُ أَحْتَسِبُ وَ مِنْ حَيْثُ لَا أَحْتَسِبُ

Ham apni qaza namaz puri karna chahta hai likin hame nafila namaze bhi padna hai. Ham dono qaza or nafila nahi padsakte hai to please hame batae ke hame qaza namaz padni chahiye ya nafila pade?

Aap apni qaza namaz pahle mukammal karen

"Wa Khalifatahu Belafasal" ka manae kiya hai?

Ali a.s Nabi ke janasheen hain baghair kisi fasle ke yani nabi ke fauran bad, sahaba ki khelafat ko nahi mante



ہسبنڈ کے دل میں پیار پیدا کرنے کا وظیفہ بتائے جو ہسبنڈ کے دل میں بس ویفِ کے لیے پیار ہو


یا مُقَلِّبَ القلوب قَلِّب قَلبَها و روحَها و جَسدَها علیٰ مَحبَّتی و عشقی و اُنْسی و اُلفَتی و مَوَدَّتی و قبولِ قَوْلی بِحَقِّ یا بَدوح و یا وَدود اَجِب دَعوتی یا وَصْلائیل

ise 444 bar misri par padh kar shohar ko khilayen


رمضان المبارک میں شادی یا مگني صحیح رہے گا
اگر رہے گا تو کوں سا تاریخ پے


شادی اور منگنی میں کوئی حرج نہیں ہے
ماہ رمضان کی ۱۰ کو جناب خدیجہ ع کی وفات ہے اور ۱۹ سے ۲۱ تک شہادت ہے
باقی ساری تاریخ اچھی ہے قمر در عقرب دیکھ لیں کب ہے

Please muje koi acha sa amaal ya wazifa batadey jis se mera financial masla haal hojaye or meri job lag jaye or mein agey parhai karsaku.


یا اللهُ یا رَبِّ یا حَیُّ یا قَیّوم یا ذَالجَلالِ وَالاکرام اَسئَلُکَ بِاسمِکَ اَلعَظیم اَلاَعظَم اَن تَرزُقَنی رَزقاً حَلالاً طَیِّباً بِرَحمَتِکَ الواسِعَه یا اَرحَمَ الرّاحِمِین

Can you please tell me that how many times we read Allahu Akbar, Alhumdulillah and Subhanallah in tasbeeh after namaz?

Allaho akbar 34 time
Alhamdulillah 33 time
Subhanallah 33 time

Hamne padha wadi ek pak chez hai, iski kya pehchan hai? Isme aur urine me kya fark kiya ja sakta hai? Aksar kafi sahi se istebra karne ke baad bhi kuch mehsus hota hai, hamne padha hai ki is halat me use pak samjh sakte hain lekin kya koi tarika hai kya jisse pata chal jaye ki ye wadi hai?

Wadi white color ki hoti hai.
Istebra ke bad jo bhi rutoobat nikalti hai wo pak hai.

Mera sawal ye h ke jab wife ke sath hasi mazak krne se jo liquid nikalta hai jise shayad mazi kehte hn, kya ye paak hai? Or kabhi kabhi mere sath aisa hota ke namaz pdhne ke baad mjhe malum padta hai ki mazi mere kapde me laga hua tha toh kya mjhe kapde badal ke fir se namaz ada krni padegi?

Mazi pak hai is se wuzu batil nahi hota

Kya Roze ki halat me thup (loab-e-dhan) or balgam ko nigal sakte he ?

Thuk aur balgham nigalne se roza batil nahi hota

Agar kisi ka paisa khai par phas jaaye yani koi agar na de raha ho to kya karna chahiye

Har namaz ke bad 3 bar ye dua padhen
InshaAllah qarz wapas mil jayega


اللَّهُمَّ إِنِّی أَسْأَلُکَ یَا لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ بِحَقِّ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ أَنْ تَرْحَمَنِی بِلَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ اللَّهُمَّ إِنِّی أَسْأَلُکَ یَا لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ بِحَقِّ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ أَنْ تَرْضِیَ عَنِّی بِلَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ اللَّهُمَّ إِنِّی أَسْأَلُکَ یَا لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ بِحَقِّ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ أَنْ تَغْفِرَ لِی بِلَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ

Agar men apni beti ki shadi k liye raw gold lekar rakhun tou kya us par khums dena hoga?

Khums dena wajib hai lekin aik bar jab aap khums nikal denge to dobara aapko khums nahi dena hoga

Sunni mulana se nikkah jayaz hai kiya

G agar segha padha hai to sahi hai

Mustahab roze mey agar koi roza kholne se phele hamare samne kuch khane ya pine ke liyea pesh kare to hum roza khol kar us samey kha sakte hai?

Agar momin dawat de to roza khol len, aapko roze ka pura sawab milega aur momin ko iftaari karane ka sawab milega

Haazri, nazr, aur fateha karne ka kya tareeqa hai? Koi bhi imam a.s. ke naam se

aik baar sura fateha aur teen baar sura qul huwallah padh ke jis masum ki nazr karna ho usko hadiya kar den

What finger can we wear rings on. Does it matter what hand?

You can wear ring in little finger and ring finger
Imam Hassan Askari a.s ne farmaya : shia momin ki pahchan hai ki wo right hand me ring pahenta hai

Me Akbari Aur usooli ki larai se tang agya hon.
Me Kis ka sath don kiya karon?
Akbari ka sath don to kafi mushkil ajati hai.
Taqleed karna shuru karoon to ye bola jata hai ke usooli shia to mukasir hote hen. Ab Akbari ke pas jao wo apni tableekh karta hai Usooli ke pas jao wo apni tableekh karta hai.

Usooli aur akhbari ka jhagda jo awami satah par hai wo beja masayel me hai isliye is ka faisala na mumkin hai.
Insan ke andar Allah ne aql ki qowwat rakhi hai jis se insan samajh sakta hai ki kaun log deen se qarib hain kaun door hain

Aur ye ki agar humari koi namaaz qaza hui ho aur hum hamesha se dua e qunoot padhte hain to kya uski ada me qunoot ki dua padhni hoga ki nahi?

Qunoot namaz me wajib nahi hai lekin iski bahut takeed ki gayi hai isliye namaz qaza me bhi padhen

Arabic lafz "SAFINE" ke kya mane hai

Safina kashti ko kahte hain

Agar parda laga ho, aur koi aurat aage namaz padh rahi ho to kya namaz ho jaegi ya fir diwar ya darwaze ka hona zaruri hai?

Agar parda ho to bhi kafi hai

Kya kisi bachche k sayyad hone k liye ye zaroori hai ki uski maa or baap dono sayyad ho. Agar maa ya baap main se ek sayyad ho to kya vo sayyad nahi hota?

Bap ka sayyad hona zaroori hai man sayyad ho ya na ho

Mein ye puchna chahta hu k khana khanay se pehlay bismillah hirrahmanirraheem pura parhna chahiye ya sirf bismillah kehna kafi hai?

Bismillah.... Raheem pura padhna chahiye