Maulana Rizwanali Palsania

Maulana Rizwanali Palsania
 
Age:
Location: Mumbai
Nationality: India

Public QnA

Ek sawal tha ek waqiah hai apne suna hoga sheikh Bahai ka ke unho ne Imam Reza ka darwaza construct kia tha or usper in do baaton me se Kia likha tha. Ke halalzadeh ke siwa koi na aye ya phir koi gunehgar na aye. Mera Bhai keh raha hai ke Sheikh Bahai ne likha tha ke koi haramzadah nahi aye or jo maine suna hai usme ye hai ke koi gunehgar na aye. Dono mai se kia sahee hai?

Mere khyal se kuch likha nahi tha aysa construction karna chah rahe the ke koi haramzadah dakhil n ho sake.

Miana Ravi se Kia murad hai or israf kis tarha hota hai?

Apne samaaj me jis chiz ki zarurat ho uoos ko halal se fayda uothaye acjchi cjiz hy. Agar koi zarurat se zyada chizo ko rakge ya barbad kare to israf hy.

ا گھریلو ذمہ داریوں کی وجہ سے میں بری طرح قرضوں مین دبی ہوئی ہوں. شوہر بے روزگار میں اور ذہن انکا بہت برا ہو گیا ہے… ہر وقت شک اور تہمت لگاتے ہین.
ایک تو قرضوں سے نجات کے لیے کوئی عمل بتا دین اور شوہر کو کیسے بدلون؟


شوہر کے ساتھ اچھے اخلاق سے پیش ائیں،
واجب نماز کو اول وقت ادا کرنا اور گھر میں سورہ انا انزلناہ اور واقعہ کو زیادہ پڑھے

Circle 11 ek cricket jisme player predict karke usme paisa lagta hai agar hum jeet te hain to usme paisa milta hai to kya ye jayez hai?

Jayez nahi hy

بچہ گرانے کی دیت کیا ہو گی؟ اگر معاذاللہ بچہ زنا کی پیداوار ہو اور آدمی عورت کی رضامندی سے ہوا ہو؟
دس سال پہلے کیا ہو تو کیا حکم ہو گا؟

2 ماہ مسلسل روزہ
اور 70 گرام سون جس نے سقط کیا ہے دیت دیگا۔
جس وقت قیمت ادا کر رہا ہے اس وقت کی قیمت شمار ہوگی
اور ساتھ میں توبہ استغفار کرے

Main namaz padne jaa rha tha meri t-shirt napak thi maine wuzu karke change karne wala tha lekin wuzu karke namaz padli usi t-shirt mein padli namaz kya namaz sahi hai ya dobara padni hogi?

Najis kapdo me namaz nahi hogi. Namaz ke liye kapde ka paak hona bhi jaruri hy

Mera yeh sawal h agr hum 1 surah fateha 1 insan ko bakshte hain to uska sawab use milega aur agr 10 logon ko 1 hi surah fateh paden to sawab takseem ho jata h ya pura sawab milta hai?

Allah bahut bada rahim hy aap agar lakho ko bhi bakhshoge yo bhi khuda sab ko pura sawab dega, aur sure fateha padhe vale ko bhi sawab zyada dega.

Poore sar par paani dalne se roza nahi batil hoga normal ghusl not obligatory ghusl

Sar pe paani dalne se roza batil nahi hota

میرا سوال ہے کہ کیا حج کے دوران عورت کو صفا و مروہ میں بھاگنے کی اجازت ہے

فقط مردوں کیلئے ہے

Kehte hai toilet mein jane se wuzu batil ho jata hai to agr bina kisi hajat k toilet mein chale jaein to b wuzu batil ho jata hai kya? Ya chhote bachhe ko toilet k lie le jaya jaye to b dobara wuzu krna hoga?

Toilet me jane ka matlab aap peshab kare ya toilet kare to baatil hota hy bachcho ko lene lane se nahi tutta

Kehte hai ki exact 12 baje zawal ka waqt hota hai us waqt koi ibadat nhi krni chahie. Esa kyu hai. Please aap btaenge mujhe

12 baje zawal ke hone ki koi shart nahi hy, zawal ka waqt jab suraj hamare sar pr aa jaye aur saaya hamara km se km rahe tb zawal shuru hota hy, dusri tarah ham samjhe ke zohar ka awwal time zawal ka hota hy, ibadat ki baat aap ne kahi to zohar ki namaz padhne ka hukm hy,
ghalat kahete hy ke koi ibadat zawal ke waqt nahi karni chahiye

Kya nakhun (nails) lambe ho to unme namaz ni hoti or kya kale kapdo m nmz ni hoti?

Agar lambe nails ho aur uoos me gandagi ho jo wazu ya gusl ke pani pah7nchne me rukavat bane to wazu aur gusl sahi nahi hoga,
Kale kapdo me namaz ho sakti hy

ھم ھر واجب نماز کے بعد جو تسبیح کرتے ہیں کیا اس کی نیت کرنا ضروری ہے اگر ضروری ہے تو کیسے اور کیا الفاظ کہے جایئں

جس چیز میں بھی نیت ہے اس میں زبان سے کوئی الفاظ دوہرانے کی ضرورت نہیں
بس اللہ کی رضا کیلئے کام کرنا ہی اس میں کافی ہے

kya Muharram main qasiday sun sakte hain?

Ayyame gham me gham kare, lekin qaside bhi fazayele ahlebaut a. hy to koi haraj nahi, lekin khas aashur ko ghamgin rahe.

Kia washroom main wazu ho sakta hai?

Ha ho sakta hy bs taharat ka khayal rakhna hoga

آپ کے علم میں بھی ہوگا، موبائل کمپنیاں صارفین کو ضرورت پڑنے پر ایڈوانس بیلنس دیتی ہے۔ وہ صارف کو بیس روپے ایڈوانس (Loan)دیتے ہیں، اور جب صارف اپنا اکاؤنٹ ری چارج کرے، تو اس بیس روپے کے بدلے پچیس ( 25) روپے کاٹ لیتے ہیں، کیا یہ اضافی 5 روپے سود کے زمرے میں آتا ہے، ؟ یا محض منافع سمجھا جائے کیونکہ موبائل کمپنیوں کو ہمیں خدمات مہیا کرنے میں کافی اخراجات بھی آتی ہے، جو وہ صارفین سے ملنے والے سرمائے سے پورے کرتے ہیں؟

Mobile aap ko 20 rs ka recharge deti hy aur badle me 25 rs leti hy, is tarah se sud nahi hoga,

क्या हाफ पैंट में नमाज हो सकती है? और अगर नहीं हो सकती तो मै उस सुविचवेसन मे क्या करू जब मै नमाज का वक्त हो और मै घर से दूर हु और घर पहुचते पहुचते नमाज कजा होने का डर हो

Namaz padhte waqt aage aur pichhe sharmgah chhupana vajib hy bs

آپ سے گزارش ہیں آپ مجھے بتائے بیماری سے نجات کا وظیفہ قرآن سے پٹری سے نجات کا وظیفہ

سورہ انشراح اور سورہ بقرہ آیت ۷۴ کسی چیز پر زعفران سے لکھ کر دھو کر پیئے۔ اللہ شفا عطا فرمائے

Jab hamari pehli rakaat ho aur pesh imam ki 2, aur vo qunut pade to hame sath me padhna hai?

Kya hum direct niyat krke qunut me shamil ho sakte hai?

Ji ha shamil ho sakte hy

میرا سوال یہ ہے کہ ایک شخص اپنی بیوی کو کسی غلط فہمی پر ایک طلاق دے دیتا ہے ایک طلاق دینے کے بعد وہ واپس لینا چاہتا ہے مگر تب بیوی نہیں مانتی وہ دوسری دو طلاقیں بھی لے لیتی ہے۔مگر کچھ عرصہ بعد قریب دو سے تین سال کے درمیان دونوں چاہتے ہیں کہ ہم پھر سے میاں بیوی بن جائیں تو اس کے لیے کیا طریقہ کار ہے؟

فقط دوبارہ نکاح کرنا ہوگا

Agar koi insaan namaz me sadja karne se aajiz (uske liye jhuk pana takreeban naamumkin ho) to kya wo sadja utha ke use apne maathe pe Laaga sakta hai? Agar nahi to koi alternative bataye?

Ha, Jitni chize sajdeme anjam dena mumkin ho uotni anjam de to kafi hy majburi me

My boht bar suna hy k Bibi Khadija ki Rasool Allah sy pehly bhe shadiyan thein. Or shayad betiyan yaa bhanjiyan thein. Tu un ki kafalat phr Rasool Allah ny li tu phir Rasool Allah ny kia unki betiyon ya bhanjiyon ki shadi Usman sy q ki?

Janabe Khadija ki betiya nahi thi balke uon ki kifalat me thi

کیسے مستقل طور پر نمازی بنا جائے؟

آپ اللہ کی نعمتوں پر غور فکر کریں کہ اللہ نے کتنی نعمتیں دی ہے،
جب احساس ہوگا تو خود بخود خدا کے سامنے سر جھکانے کا دل ہوگا،
اور حرام چیزوں سے اپنے کو بچائے

Koi aesa amal ya koi aesi dua btaiye k mere rizk o rozi me izafa or main kisiki madad krna chaauu or wo ho jaay?

1) Wazu ke sath hammesha rahe.
2) Sur e inna anzalnah ki zyada tilawat kare.
3) Niyyat saaf rakhe.
4) Kisi ko dhoka na de.
5) Jhut na bole.
6) Maabap ka khyal rakhe uoon ki dua le.
7) Isha ki namaz ke baad sur e waqiya padhe
8) Logo ki khidmat karte rahe
9) 14 masumin se tawassul kare.

Yaha Australia mai citizens ke liye ye facility hai ke woh apni university karen or uske fees foran na de lekin jab ap job kerne lagen ge tu government ap ki pay mai se thori thori rakam wusul karegi woh bhi tab jab apki income ek average hai tab warna koi paise nahi dene parenge. Mera ye sawal hai ke mai uni khatam kerne ke bad qom ana chahta hon tu kia mai agr qom ata hon without paying the fees kiu ke mai job nahi karta or direct uni ke bad ata hon tu kia ye jaez hai ya haram. Kia mere uper koi haq hai jo meri ruhani taraqi mai rukawat bane?

Aap University k maqruz hy to baherhal qarz ko ada karna hai.

Humharah sawal hai ki, humhare office mai, peon cooler se paani bhr ke laaa ke deta hai, like. Peon Non muslim hai, toh kya hum paani pii sakte hai.

Aur hum paani khudh nai lene jaa sakte islye peon se mangwate hai kyu ki humhe allow nai hai canteen mai jana

Agar najasat ka ehtemal hy to nahi pi sakte. Agar taharat hy to pani pi sakte hy

Kya firoza ki ring pahen ne k liye istekhara nikalna hota hai?

Yeh kam mustahab hy Imam pahena karte the.
Jarurat nahi

Hazrat Ali (a.s) ke liye zulfeqar kis jung mai aayi thi?

Jange ohad

क्या वजू करते वक़्त बोलना नही चाहिये

Dua padhe aur sure inna anzalnaho padhna bahut sawab rakhta hy

Agar hm apne kafan pe khud se pura Quran likhna chahte h to harkaat ke bagair likh sakte h?

Likh sakte hy. Koi haraj nahi

Agar hm ghar me namaz padh rahe h aur daily timings
ka chart h usse dekh ke padhte h awwal waqt to kya jume ke din usi time pe padhe zohar ki namaz? Ya thoda delay karke padha jata h

Awwal waqt padh sakte hy

Mei jahan jahan job ke liye jaata hu kahin na kahin se rukawat aajati hai. Iska koi hal hai toh please bata dijiye

1) Namaz pabandiye waqt se padhe
2) Apne Akhlaq ko sudhare
3) Rishtedaro se husne suluk kare, maa baap ki khidmat kare aur uoon ko razi rakhkhe.
4) Wazu k sath rahe.
5) Raat ko sote waqt Surae waqiya ki tilawat kare.

Agar shaqs teesri rakat me bhe qunoot pad de to uski namaz ka kya hukm hoga

Bhule se hy to 2 sajde sahv anjam de

Kya Imam Bargah me jo parde lagey hote hai unhe kise kafir ko silne diya ja sakta hai?

Aur taboot par jo chadare chadaye jaati hai unka kya?

Najis nahi karna chahiye

Barish me masjid me pani bharne gattar ka pani andar agaya jisse waha k qaleen aur carpet najis hogaye. Kya unhe dhoop sokha le to wo pak ho jaye ge ya pani se he pak karna hoga?

Asl najasat dur karni chahiye aur phir jaise mumkin ho vaise paak kare.

Kya pregnancy me ultra sound karana jaiz hai aur kya uske baad aurat par koe gusl wajib hota hai?

Koi haraj nahi. Koi gusl nahi hy.

1) Agar kise shaqs ki chaut lagne se maut hue hoa aur gusle denay k baad kise bhe azaye badan se khoon aane lage us soorat me mayyat ka kya hukm hoga?

2) Aur usse hath lagane walo ka bhe bata day un par bhe gusl wajib hoga?

1) Kisi tarah uoos k khoon ko bandh kiya jaye aur kafan pe laga ho to saf kiya jaye.

2) Gusle mayyat dene k baad hath lagane me koi haraj nahi.

Kya Ahlesunnat Imam k piche namaz pad sakte hai, wo log jo Makkah ya Madina me hay?

Furada ki niyyat se padh sakte hy

Ek shaqs 2 bacche jo 5 mahine ki umr me khatm ho gaye un baccho ko hospital wale ne wapas nahi diya. Kya un bachko dafnana zaruri tha, aur ab unki kya zimmedari hogi. Kya koe kaffara hoga?

Gusl kafan aur dafan zaruri hy. Koshish kare hasil karne ki,
Kaffara to tauba isteghfar.

Mera sawaal hai k, kya kafiro ka prasad liya ja sakta hai? Uska khana jaiz hai maslan pooja wagera kar k agar koe hame kuch de to usse kha sakte hai?

Nahi kha sakte

Kin janwaro ka bussines karna halal hai ye bhe bata de?

Kutte jo shikari n ho aur suwwar ko bechna haram hy.

Kya chand ya suraj garahan se pehle koe sadqa agera nikalne ka hukm hai?

Aur kya chand ya sooraj grahan ko dekhne me koe harj hai?

Sadka to jab bhi nikalo sawab hy.
Aankhe kharab hone ka dar hy is liye suraj grahan ko nahi dekhte

Kuch libaas aise hote hai jis par jandar ki tasveer wagera bani hoti hai. Kya ayse libaas pehenna sahi hai?

Aur ayse libaas me namaz ka kya hukm hoga jis par sirf halqa logo ho ya pure shaql he banii ho?

Jandar ki tasweer makruh hay halate namaz me

Aqeeqay kisko hilaa ja sakta hai maslan syed ka gayr syed ko ya kise kafir ko ya momien ko?

Aur behtar kya hai matlab kin logo ko khilana zyada behtar hai?

Khana har insan ko khila sakte ho. Bhukha aur momin bhi ho to zyada ajr hy aur agar momin muttaki parhezgar namazi ho to aur bhi zyada sawab hy.

Agar koe mard janabat ki halat me aur koe aurat haiz ki halat me inteqal farma jaye to usse sirf gusl mayyat he dena hoga?

3 gusl diye jate hy voh kafi hy

Agar koe hamela ho uske sath ham bistri karna jaiz hai?

Hamela k sath hambistri kr sakte hy agar kisi tarah ki aazari n ho

Baaz momenin Gusle Janabat wajib na hone k bina par bhe gusle janabat kar lete hai shaq wagera ki soorat me. Aya kya ye sahi hai?

Aur jis tarah gusl k baad wuzu shariyat ka juz samaj kar karna haraam hai kya esme bhe wahi masla ayega agar koe gusl karle?

Apne yakin pr amal kare. Shak ko dur kare.

Hath ki hateli me painting (Marja ki) krwana sahi h ki glt?
Kya nmz padh skte h agr wo painting saaf nhi hui h hath se?

Jis chiz se wazu aur gusl me pani n pahinche sahi nahi hy

Musical instruments estemal karne ka kya hukm hai jaise guitar?

Haram hy guitar

Qur pani aur qalil me agar najasat k elawa koe aur chiz gir jaye aur usse pani rang ya zayka badal jaye to kya wo pani najis hoga aur usse taharat nahi kar sakte. Mene suna hai k agar pani ka rang ya zaika badal jaye to wo najis ho jayega.

Aur kya ye zaruri hai k rang zayka ya bu pani me ho ya sirf ek chiz ajane se wo najis mana jayega ya teeno hona chaiye?


Najasat ki bina pr rang, zayeqa, bu badale to najis ho jayega kur pani. Qalil pani me thodi bhi najasat giri to pani najis hy. Najasat se pani chenge nahi huva to muzaf hy lekin paak hy. Dusro ko pak nahi kr sakta. Example sharbat.

3 me se 1 bhi badal jaye to muzaf hy; rang, zayeqa, bu (smell)

Kya kise bhe niyat se kiya gaya wuzu namaz k liye kaafi hoga?

Maslan agar mustahab ki niyat se wuzu kare, usse namaz pad sakta ya koe apne nazr o qasm ka wuzu kare, usse?

Wudhu qurbatan ilallah hona chahiye

Agar Hindu hame shaadi me bulaaye to kya kiya jaye jab k unka khana jaiz nahi hai?

Aur yaqenan khana banate waqt kise na kise jagah to unka geela hath lagega he.

Jane me koi haraj nahi
Lekin najis khana haram hy uoos ka khayal rakha jaye.

Baaz momemenien jab bhe dargah ya Ahlebait a.s k roze k bahar se guzarte hai to aqsar jaate jaate tazeem k liye sar ko jhuka kar jaate hai.

Kya es tarah ko jhukana Ahlebait a.s k rozo k samne sahi hai?

Bilkul sahi hy aur yeh ahlebayt a. ka ehteram bhi shumar hoga.

Namaz khatm hone k baad agar koe shaq kare k ek rakat zyada padhi to kya hukm hai?

Namaz khatm hone k baad shak ki koi ehmiyat nahi

1) Mene suna hai k jis aurat k sath mard zina kare uske sath kabhi shaadi nahi kar sakta hai.

Ab agar wo mard usse shaadi na kare to koe doosra mard usse shaadi nahi karega aur bichare ek galti ki wajah se zindagi bhar pareshan hogi. Es soorat me kya hukm hoga?

2) Aur agar mard shaadi shuda ho aur aurat kuwari ho ys soorat me kya hukm hoga

1) Aap ne aadha suna hy. Agar koi mard uoos aurat se zina kare jo kisi k nikah me n ho ( shadi shudah aurat n ho) to uoos se nikah ho sakta hy. Koi haraj nahi.

2) Is surat me koi haraj nahi hy. Shadi ho sakti hy

Kia hum patanjali ki medicine kha sakte hai kia?

Agar uoos me koi najis chiz n ho to koi haraj nahi.

“Allahumma Swali Allah Muhammed wa aale Muhammed wa Ajjil Farajahu Wa Aashurna Maahum Wa Arzukna Shafaatahum wa la’an Aadahum”

Can be recited in wajib Namaz Ruku and sujud me?

Koi haraj nahi hy padh sakte hy

Christain ke hath ka kahna jaiz hai ki nahi

Voh chize jis ko zabah kiya jata ho misal k taur pr gosht vaghaira to nahi khana chahiye. Dusri chize kha sakte hy. Behtar hy k parhez kare

India ke wo products jis me gosht waighara shamil nahi hota jaise biscuits oil rice aata sweets etc aur dosre products cream shampo saboon etc ye sab ka istemal jaiz hai?
Kia ye sab tahir aur paak shumar honnge ya najis kyunke India ki taqreban sab companies kafir hai aur kaam karne walay bhi kafir hi hai so yaqeenan unke hath lagay honge.

Hamare marajea aur mujtahedin ne packing chizo ko kharidne ki ijazat di hy. Is lehaz se kha pi sakte hy.
Dusri baat k India me 15 se 20 % log musalman rehte hy to yeh bhi guman kiya jasakta hy k kisi musalman ka hath laga hoga. Kyun k compony me kaam karne wale mix hote hy.
Tisri chiz k aaj ki technology me aksar chizo me haath laganeki jarurat hi nahi padti sab machin tayyar karti hy.
Is lehaz se bhi koi mushkil nahi hy.

I just want to ask dua for any type of illness/beemari

Saure hamd 70 martaba har bimari ka ilaj

Muje har baat me imam e zamana as ka mashwara chaiye to?

Agar apne aamal talimate ahlebait k mutabik hy to samjho k Imam ne hi bataye hy.
Apne tamam aamal Imam k kahne k mutabik guzaro khud b khud maloom ho jayega.

Abhi mahe ramdhan chal raha hai aur muje doctor ne mana kiya hai roze rakhne se me iski kaza badme rakhuga to muje fidya dena pade ga ya kaffara?

Aainda Mahe ramzan se pahele faqat qaza karna hy

Rasul e kudha ki parvarish janaba abutalib ne kitne sal ki

Nabi k dada Janab Abdulmuttalib k intekal se Janabe Abu talib ki rehlat tk sath me the.

Humbistari karnay kay baad ya humbistari kay samay jo pasina aaya wo pak hai ki nahi hai? Aur aagar janabat ghusul pay ho to jo pasina aayay wo pak hai ki napak hai

Pasina jab bhi aaye musalman ka paak hy.
Lekin hambustri k bad gusl to wajib hi hy

Nawafil namaaz me surai hamd ke baad kya koi doosra soorah padhna wajib hai? Ya sirf soorai hamd padh sakta hai

Faqat sure hamd padhna kafi hy panjgana namaz k nawafil me.

Mene kasm kha li thi imam Ali ki k ab me yeh kam nh krungi to ab ksm puri nh ho pa rahi. Mujhsy iska koi kaffara hai ya kuch? Kasam wapis ly skty hain? Agr kasam toot jae to?

Sharai qasam allah k nam se ho to Kaffara ada karna hoga

1 gulam azad kare ( yeh aaj k zamane me mumkin nahi)
10 miskino ko khana khilaye ya kapda pahnaye.
Agar uoper vale dono anjam n de sake to 3 roz musalsal roza rakhe.

Mene sadqy ki niyat sy paise nikal k rakhy thy pr aj ghr me kisi ny mangy kuch mangwany k liye to me mana nh kr saki aur woh de diye woh ghr ki zarooriyat me kharch hogaye ab iska koi nuqsan hoga kya? Ab kya krna chahiye?

Sadqe ki raqam jo haqdar ho uoos ko diya jata hy
Agar haqdar ko nahi pahuncha to dobara haqdar tak pahunchaye

Karbala jane k liye koi amal bataein

Maula Abbas se tawassul kare kyun k Maula Abbas Babul Husain hy

Koi aesi dua bata dein jis se susti or kahili door rahay

Gunaho se bache aur isteghfar

Mere studies k gap ki wjah se jab maine dubara continue kia hai tou mere se focus nahi ho reha or na hi kuch yaad horeha hai. Is ke liye kuch bta dain.

Quran ko zyada padhe insha allah sab thik ho jayega.

Kia 'Ailiya' mola Ali a.s ka name hai ?

Ji bahut sari kitabo me eliya se murad Imam Ali a. Ki zate aqdas likha hy.

Qurbani k janvar ki umr kitna honi chahiye, aur qurbani ka waqt kay hai?

Bakra 2 sal, Dunba 6 month
Time subah suraj nikalne se hy

Agar koi aurat ba wudu ho aur use be parda halat me koi na mehram dekh le toh uska wudu kaisa hai? Tuut jayega sahi hai? Kaisa hai?

Wudhu sahi hy

Kon se nabi ko abul ambiya (nabiyo ke father) kaha jata hai

Nabi ibrahim a. ko kehte hy lekin kuch log nabi nooh ko bhi kehte hy.

3 saal ki bachhi ki maut per namaz wehshat padhna zaroori hai ya nahi? Kyunke mere khayal mein bachhi abhi masoom hai aur usper shayad kisi qism ka azaab nahi hogaa

Namaze wahshat wajib nahi hy kisi pr bhi

Qurbani k gosht par fateha dene par kya hukm hai?

Koi haraj nahi

ઢીચણ ના દુઃખાવાનૅ કરણે હું ખુરશી મા બેસી ને નમાજ. પઢુછુ. તેથી તસહુદના.જીકરને બદલે. અલહમદો નો સુરો પઢાઈ જાય છે અને કોઈ વખતે કયી રકાત છે તે ભૂલી જવા થી નમાઝ તોડી નાખી ફરીથી નમાઝ તો તે બરોબર છે?

તશહહુદ મા જ્યારે યાદ આવી જાય ત્યારે તશહહુદ શરૂ કરી દે.
રકાતની ગણતરી મા શક થાય તો શકકિયાતે નમાઝ મુજબ અમલ કરવો.

Kiya ham ramazan ki mubarak baad de sakte hai? Is mah me to maula ali ki shahadat ho ha iske baa wajood bhi?

Mere khyal se koi bhi insan is liye mubarak badi nahi deta k imam ki Shahadat huvi hy. Balke is liye deta hy ke allah k babarkat mahine me dakhal huve aur is me zyada se zyada sahi barkate hasil kr sake.

Su aapne nank ma naukri kare sakiye agar kare sakiye toh aema su masla che?

Bank ma 2 prakarna kamo thata hoy chhe ek vyaj valu ane biju kam vyaj vagar nu. Je department ma vyaj na hoy tya kari shakay.

Mani aur virya me kya farkh hy aur kaise pata chale ga k yeh najis hy yah pak hy jo insaan k sareer mai se nikalta hy?

Mani aur virya ek hi chiz hy aur najis hy gusle janabat wajib hy


એ કઈ કીતાબ છે જેમાં ઇસ્લામીક સેક્સયુઅલ લાઇફ કેવી રીતે વીતાવી તેના વીશે આપેલું છે

Aadabe mujameat
આદાબે મુજામેઅત

1) Shu garo najis che?

2) Varsad banth thai gaya pachi je bhini zamin thai jai te najis che?

1) Garo agar najis zamin no hoy athva tema koi najasat mali gay hoy to najis chhe.

2) Varsad nu pani ane zamin banne paak chhe jo biji koi najis vastu mix n thay tyar shudhi.

Agr me koi crack version software use karu or usse app, website ya kuch bhi baavau baad me us app, ya website se paisa kamavu to kya vo paisa haram hai?

Agar kanoon k lehaz se mamnoa ho to jayez nahi.

Shu namaze shab ma 14 masumin na nam levai?

Qunut ma jetla masumin a. Na namo leva hoy lai shako chho. Tena mate Behtarin dua razito billah chhe. Athva duae tawassul.

Ek ladki ke liye uske mamu (brother of her mother) mehram hai ?

Mehram hy aur aqd haram hy.

Ek ladki ke liye uske mamu(brother of her mother) mehram hai?

Mehram hy aur aqd haram hy.

Humara aqeeda ye hai k 12 imam saaray nabioun se ziada afzal hain. Lekin Hazrat Ibrahim ko bhi tau Allah ne Imam bannaya tau phir unnko 12 Imams se equal kiun nahin samjha jata? Agar Ibrahim aur Muhammad donoo Imam hain, tau humaray 12 Imam Hazrat Ibrahim se kese afzal hain?

Sab se bada ohda Imamat ka hy aur Janabe Ibrahim aur hamare aakhri nabi lo bhi mila hy. 12 Imam ka concept jo hy voh Nabi ki hadis ke mutabik hy k mere baad 12 mere janashin honge. Nabi k baad Faqat 12 hy. Janabe Ibrahim ko yeh mansab imtehanat k baad mila jab k hamare 12 imam bachpan se hi Imam hote hy.

1) Mera swal ye h jo ham tasbeeh Fatema a.s padte h namaz k bad, ye tasbeeh sunnt keh kr padi jaty h ya farz?
2) Har wajibat namaz k bad namaz sunnat padna zarury h ya khali namaz bhi pad sakte he?
3) Qaza nmaz me bhi tasbeeh padi jati h ya nhi? Or jab ham zohr asr ki namaz ek sath pdte h to dono namaz se farig hone k bad tasbeeh Fatema a.s pade ya zohr se farig hone k bad bhi
or asr ki nmaz se farig hone k bad bhi pade….

Sab se pahele aap yeh samajh le k wajib uoos kaam ko kehte hy jis ka anjam dena zaruri ho. Agar nahi karenge to khuda ki taraf se gunah likha jata Sunnat ka Matlab ke anjam denge to sawab milega. Anjam nahi denge to gunah nahi. Example sunnat namaze, tasbihe Zahra. Padhna behad sawab hy

Kya kabutar ko chhod ke dusri chidiya (birds) palna jayez hai agar jayez hai toh usko paalne ka sawab batayen

Kabutar ka sawab hy

1) Jis jagah mai namaz padhta hu woh jagah yani mera bed bich me fula hua hai matlab aadha inch karib utha hua hai toh ky usme namaz ho skti hai.

2) Jis room me toilet ho waha namaz jayez hai ya nhi?

1) Ji namaz k sahi hone k liye kuch shayet hy uoom se ek yeh hay k jaha khade hy aur sajde ki jagah me 4 uongal se zyada uoonch nich nahi hona chahiye.

2) Toilet to ek taraf hogi. Room me jagah paak hy to namaz ho sakti hy

Perfume (alcohol) laga kr namaz jayez hai?

Ha bilkul namaz ho sakti hai

Toothpaste ki badi badi companya jaise colgate, babool apne toothpaste me alcohol milate hain toh kya uss toothpaste ka istemaal krna jayez hai?

Alkohal khud paak hy jo dava, perfume ya cream me dala jata hy. Lekin uoos ka khane pine me istemal 2% se zyada ho to nahi kr sakte.

Mere saath ek pareshani hai ki jab bhi mai cheekta hu ya khasta hu toh mujhe shak hota hai ki mera zara sa peshab nikal gaya hai or isi shak ke saath mai namaz padh leta hu toh kya meri namaz qabil e qubuliyat hai ? gar nahi hai toh iss chiz ka kuch ilaaj bata dijiye

Shariyat me shak pr kisi ka hukm nahi lagta. Aap ek do martaba uoosi waqt chek kar lijiye taa k aap ka shak dur ho jay.

Hath bandh kar namz parhana kesa hai? Agar ye galat hai to koi hadess ya rawayaat pesh karen ki wazeh hojaye

Hath bandh kr namaz padhne se namaz batil ho jati hy.
Hath bandhna nabi k zamane me nahi tha yeh dusre khalife k zamane me huva

Mera sawal hai ke jab contraceptive pill lete hain (Hayz ko rok ne ke liye ya age piche karne ke liye) to 21 din yeh contraceptive khane ke baad one week break lete Hain jisme yeh contraceptive nahi lete. Is wajah se is break me hayz type ki bleeding hoti hai lekin medically maine parha hai ke yeh exactly hayz nahi hota kyun ke yeh bleeding contraceptive na khane ki wajah se hoti hai. But mai completely sure nahi hoon ke is break ke doran konse rules apply karte Hain , hayz ya istihaza?

Agar khoone haiz ki nishaniya payi jaye to haiz hy warna istehaza ka hukm lage ga

Mere naana buzurg hai to roza nahi rakh paate to unka fidya kitna hoga?

Agar koi pura saal roza n rakh sakta ho to bimari etc ki vajah se to ek roze ke badle 750 gram anaj dena hy.

Namaze Fajr, Zohar aur Maghrib ka awwale waqt kitne waqt tak rehta hai yani Azan hone se kitne waqt tak awwal waqt me gina jayega? Approximately teeno awkat ke awwale waqt ke khatam hone tak ki minutes pata chal sakti hai? (yani takreeban)

Namaze Fajr subah sadik se, zohar ka waqt zawal se, maghrib ka awwale waqt west se surkhi dur ho jaye. Mausam ke etebar se time alag alag hota hy to nahi bata sakte. Awwal waqt namaz padhe.

Jab azan ki shuruat ho gaye ho us waqt pani pikar niyyat karne se roza sahi hoga ya nahi rakh sakte?

Azan uoos waqt ki jati hy jb subah ki namaz ka waqt ho jata hy to azan shuru ho jay to kuchh bhi khaa pi nahi sakte.

Kya Tehzibul Islam ya aisi koi aur kitab me Tuesday ko sir ke baal katwana na mana ho ya makruh ho aisa koi zikra hai? Katvane me koi problem to nahi hai na?

Islam me aadab rakhe hy uoos etebar se jumerat ya juma ko katana achcha hy. Lekin dusre dino me bhi katwa sakte hy.

Tisri aur chothi raka'at me tasbihate araba kitni baar padhna waajib hai kitni baar padhna sunnat hai agar waqt ki kami na bhi ho tab?

1 martaba wajib hy


Maine abhi qurbani ka bakra kharida hua hai, masla ye ho gaya ke bakre bechne walo ne ek kaan me surakh karke sticker ka nishan lagaya hua hai, to ye Qurbani me koi qubuliyat me problem hoga ya koi mushkil nahi hai? Dusri taraf ke kaan par is tarah ka thoda cut hai, to koi ishkal hai?

Koi mushkil nahi hy.

Kya qaza roze k badle 61 logo ko khilaye jaana waala khana , kisi Non-Muslim NGO ko (Cash) de sakte hai ko tamaam Hindu , Muslim ghareeb aur bhooke logo ko khana khilati ho?

1 roze ka Kaffara 60 logo ko khilane ka hy. Momin ko khilana hy.

Kya aurat kya aurat alam e haiz main manat se mutaliq koi cheez kha sakti hai masalan koi laddu ya niyaz waghera?

Koi haraj nahi khane me

Namaz e shab 3 rakat paday ya puri 11 rakat padna wajib hai

Namaze shab mustahab hy
11 rakat hy lekin aakhri 3 bhi padh sakte hy.

Hafte me roza rakhne ke liye kaunse din sabse behter hain.

Mahine me 3 roz roza rakhna mustahab hy.
Jumerat ko kaha gaya hy

Mera beta Australia study ke liye gaya hua hai. Uski class jume ko 12:30 tak hoti hai. Shia jume ki namaz me jane ke liye 2 ghante chahiye. Aur sunni jama’at ke lie bhi taqriban 30 minutes lagenge. Aise me kya hukum hai

Zohrain ki namaz ada kare


Actually ek property hai jo hamari dadi ke naam hai.
Hamare dada ke 1 beta aur 2 betiyan hain. Jo ki hamari phupi huin. Ek phupi ka inteqal hogaya hai Dadi ke inteqal ke bad. Aur phupa ne doosri shadi karli hai jinse koi aulad nahi hai. To mera yeh sawal tha ki marhooma phupi ka hissa sab unki aulad me distribute hoga ya phir kuchh phupa ka bhe hoga. Marhoom phupi ke 2 bete aur do betiyan hain.

Ji aap ki phophi k hisse me se uoon k shawhar ko aathva hissa milega baki uoon ki awlad me taqsim hoga.

Main India mein bank mein job karta hun. Mera kaam bank ki branch me customer service karna jaise unke account kholna account mein cash jama karna hai. Kya ye job karna sharai lehaz se sahi hai jabki in sab accounts mein bank interest deti hai

Sud ka mamla jaha pr ho vaha pr job karna ishkal hy.

Is it permissible for a Muslim to work in a bank?

Yes possible.

Kya islam may rabbit ko ghar may palna jayaz hay ya nahi

Uoos ka gosht khana haram hay lekin palne me koy haraj nahi

Does rabbit fur make namaz void? Are we allowed to have rabbits in islam?

There is no problem in it, one can have rabbit as a pet in his house.
Note: The body and the salive of the cat, rabbit, and hamster is ritually pure (Tahir), yet its urine, feaces, and blood are Najis

Also it will not invalidate your salat if it’s furs are not to much on your clothes.

Kiya hum khusi bakray ki qurbani ker suktay hai

Jis tarike se ahlebait a.s ne farmaya uos tarike se manayi jaye.

Khussi janwar ki qurbani ker suktay hai kai nahe? Janwar ko khussi kerna kiya ussay aibdaar nahe kerta?

Agar aap Ayatullah Sistani sahab k mukallid hay to makruh hay.

Jab me kisi nameharam se chat ya bat karta hu to muje doubt hota he ke mere par gusl wajib hua ya nahi to me kya karu ?

Namehram se aysi chat karna haram hy.
Najasat k bare me to agar uochal kar koy chiz peshab ki jaga se kharij ho to najis hay varna nahi.

Agar koi pesh namaz jumma ki namaz padhata he jiske shararet nai hote, jaise 1 farsakh ka distance nai hota dusri jumma masjid se.
Aisi halat me us pesh namaz ki adalat baki rahegi jo janbujh kar khilaf e shara kaam karta he ?

Aadil uose kehte hay ke jo jaan bujh kar haram kaam na kare.

Aap ne janab aur sawal paida kar diye to is tarha namaz padhana haram he ya halal ?

Mere masayel kulli tarah se bayan kiye jate hay. Uoos ke baad jo hamara problem ho uoos par chek kiya jaye. Baad me uoos masle ke mutabik amal kiya jaye.

Muje kya karna chahiye ?

Agar aap ki nazdik aadil nahi to namaz uoon k piche nahi padh sakte. Aur aap ko yeh bhi haq nahi ke aap jamat ho rahi ho aur alag se akele namaz padhe.

Can we invest in mutual fund as there both Profit and loss in the scheme

Yes

Kya sayed Hakik ka gosh khaa sakte hai?

Haraam nahi lekin na khaye to achcha

Mere bhai ko kidney ke pass stone (patri) hai. Uss k liye koi dua hai toh batayeh.

Sure alamnashrah likh kar pilaye

Imam mehdi ki ghaaibat kay baray main jo riwaayat ha, un main sab say sahih sanaad wali riwaayat kia ha? Aur ye kay jo Sunni brothers ka aqeeda ha kay imam Mehdi ki paaidaaish ho ge, is tarah ki kia koi riwaayat ahle tashiya main milti ha?

Hamara bhi aqida hay ke imam Mehdi aj. paida ho chuke hay aur voh ghaybat me hay.

Mein 9 months pregnant hu aur meri due date in dino mein kabhi bhi ho sakti hai toh kya mein roza rakh sakti hu?

Agar roza rakhna aap ko aur bachche ke liye nuksan na deh to rakh sakte hy. Warna baad me faqat qaza karna hogi.

اگر کوئی آدمی کسی کو زیارت بھیجے اور جانے والے کو بھیجنے والے کے پیسے علم نا ھو ؟
جیسے ہندوستان سے کاروان لوگوں کو اٹھارہ ہزار میں
زیارات کرا رہا ہے مگر وہ بتانے کو آمادہ نہیں کہ پیسہ کہاں سے آرہا ہے


جا سکتے ہیں

Mai jagah job karta hu waha ka time 10 to 7 hai. Zuhar ki namaz padne ki koi jagah nahi hai or nahi aas pass koi masjid hai to iske kya sarayet hai?

Namaze zohar ke liye kayse bhi waqt nikaliye aur ada kare.

Mera sawaal ye h ke chaand grahan ke dauraan khaana peena kaisa hai?

Koy haraj nahi.

Agar kise shaqs ki chaut lagne se maut hue ho, aur gusl denay ke baad kise bhe azaye badan se khoo aane lage, us soorat me mayyat ka kya hukm hoga? Aur usse hath lagane walo ka bhe bata day un par bhe gusl wajib hoga?

Kisi tarah uoos ka khoon ko bandh kiya jaye aur kafan pe laga ho to saf kiya jaye.
Gusle mayyat dene ke baad hath lagane me koi haraj nahi.

Ye Janna chahta hu khatoon par gusle janabat kab wajib hoga. Unke liye kya hukm hai

Jab hambistri kare to

Bina Hambistri ke koe rutnat kharij ho to kya gusl wajib hoga?

Agar voh rutubat k baad jism sust ho jaye.
Mardo ki tarah to.

Kya Ahle sunnat Imam ke piche namaz pad sakte hai? Wo log jo Makkah ya Madina me hay kya unke piche namaz pad sakte hai?

Furada ki niyyat se padh sakte hy

Ek shaqs ke do bacche jo 5 mahine ki umar me khatam ho gaye, un baccho ko hospital wale ne wapas nahi diya. Kya un bacho ko dafnana zaruri tha aur ab unki kya zimmedari hogi?

Gusl kafan aur dafan zaruri hy.

Lekin hospital walo be baccha nahi diya aur unho ne dafan wagera bhe nahi kiya. Kya koe kaffara hoga?

Koshish kare hasil karne ki,
Kaffara to tauba isteghfar.

Kya qafiro ka prasad liya ja sakta hai? Uska khana jaiz hai maslan pooja kar ke agar koe hame kuch de to usse kha sakte hai?
Aur baaz qafir jaise sikh raste me logo ko sharbat pilate hai jab unka kuch tewar hota hai kya unse sharbat lekar piya ja sakta hai?

Nahi kha sakte

Es baat ko madde nazar rakhte hue ke khargosh ka ghoosht khana haram hai, to kya unke farming bhe haram hogi? Aur kin janwaro ka business karna halal hai ye bhe bata de

Kutte jo shikari na ho aur suwwar ko bechna haram hay.

Kya chand ya suraj grahan se pehle koe sadqa nikalne ka hukm hai?
Aur kya chand ta suraj grahan ko dekhne me koe haraj hai?

Sadka to jab bhi nikalo sawab hay.
Aankhe kharab hone ka dar hy is liye suraj grahan ko nahi dekhte

Kuch libaas aise hote hai jis par jandar ki tasveer bani hoti hai. Kya aise libaas pehenna sahi hai?

Aur ayse libaas me namaz ka kya hukm hoga jis par sir halqa logo ho ya pure shaql he banii ho?

Jandar ki tasweer makruh hay halate namaz me.

Aqeeqay kisko khilaa ja sakta hai maslan syed ya gayr syed ko ya kise qafir ko ya momin ko? Aur behtar kya hai matlab kin logo ko khilana zyada behtar hai?

Khana har insan ko khila sakte ho.
Bhukha aur momin bhi ho to zyada ajar hay aur agar momin muttaki parhezgar namazi ho to aur bhi zyada sawab hay.

Agar koe mard janabat ki halat me aur koe aurat haiz ki halat me inteqal farma jaye to usse sirf gusl mayyit dena hoga?

3 gusl diye jate hy voh kafi hay

Agar koe hamela ho uske sath ham bistri karna jaiz hai?

Hamela ke sath hambistri kar sakte hay agar kisi tarah ki aazari na ho.

Baaz momenin gusl e janabat wajib na hone ke bina par bhe gusl e janabat kar lete hai shaq ki soorat me. Aya kya ye sahi hai?

Aur jis tarah gusl ke baad wuzu shariyat ka juz samaj karna haraam hai kya esme bhe wahi masla ayega agar koe gusl karle?

Apne yakin par amal kare.
Shak ko dur kare.

Permanent tatoo to jaiz hai to kya kise jandar ka bhe bana sakte hai?

Jaruri nahi ke har jayez chiz ki jaye.
Lekin Aysi taswir painting se koi fayda nahi.

Hath ki hateli me painting (Marja ki) karwana sahi hai ki galat?
Kya namaz padh sakte hai agar wo painting saaf nahi hui he hath se?

Jis chiz se wazu aur gusl me pani na pahinche sahi nahi hy

Musical instruments esstemal karne ka kya hukm hai jaise guitar?

Haram hay guitar

Ayse film jisme gana wagera na ho kya wo dekhna jaiz hai? Aur kis tarah ki film ya pictures dekh sakte hai?

Har vo film ya koi chiz jis se aqida aur Akhlaq kharab hone ka andesha ho nahi dekhni chahiye.

Apne bataya ke pani muzaaf ho to wo doosre chiz ko pak nahi karega. Mere ghar me lohe ka drum hai. Usme se rang nikal raha hai jiske wajah se pani ka kuch rang ya zayka badal gaya hai. Kya wo pani muzaaf kehlayega zara wazeh kare?

3 me se 1 bhi badal jaye to muzaf hay.
Rang
Zayeqa
Bu ( smell)

Me ye puchna chah raha hu ke tanki me rang hai aur usme pani dalne se rang ki kuch bu phe pani me aani lagi hai jo aam taur par aati hai. Kya ye pani ab bhe mutlaq hoya ye puchna tha?

Agar pani me yeh 3 badlav aate hay to muzaf hay. Jo uoper likha

Qur pani aur qalil me agar najasat ke elawa koe aur chiz gir jaye aur usse pani rang ya zayka badal jaye to kya wo pani najis hoga aur usse taharat nahi kar sakte? Mene suna hai ke agar pani ka rang ya zaika badal jaye to wo najis ho jayega.

Aur kya ye zaruri hai ke rang ya bu pani me ho ya sirf ek chiz ajane se wo najis mana jayega ya teeno hona chahiye?

Najasat ki bina par rang, zayeqa, bu badale to najis ho jayega kur pani,
Qalil pani me thodi bhi najasat giri to pani najis hay.
Najasat se pani change nahi huva to muzaf hay lekin paak hay. Dusro ko pak nahi kar sakta. Example sharbat

Abhi ek game launch kiya gaya tha, Pubg, Jisko kaafi log khelte hai aur kaafi log es tarah game khelne se mentally aur physically nuqsan bhe hota hai? Es tarah ke game wagera khelnay ka kya hukm hoga zara bataye?

Agar kisi bhi tarah ka nuksan ho to jayez nahi.

Ye qarz e hasane kya hai? Aur kya es par khums hoga?

Qarz hay
Khums salana bachat par hay.

Kya kise bhe niyat se kiya gaya wuzu namaz ke liye kaafi hoga? Maslan agar mustahab ki niyyat se wuzu kare, usse namaz padsakte ya koe apne nazr o qasm ka wuzu kare, usee wagera wagera?

Wuzu qurbatan ilallah hona chahiye

Agar Hindu hame shaadi me bulaaye to kya kiya jaye jab ke unka khana jaiz nahi hai?

Aur yaqenan khana banate waqt kise na kise jagah to unka geela hath lagega he.

Jane me koi haraj nahi
Lekin najis khana haram hay uoos ka khayal rakha jaye.

Baaz momineen jab bhe darghah ya Ahlebait a.s ke roze ki bahar se guzarte hai to aqsar jaate jaate tazeem ke liye sar ko jhuka kar jaate hai. Kya es tarah ko jhukana Ahlebait a.s ki roze ke samne sahi hai?

Bilkul sahi hay aur yeh Ahlebayt a.s ka ehteram bhi shumar hoga.

Hindustan me bahoot sare frachise company hai jaise McDonal Kfc en sab k ghost ka halal hone ke bare me hame elm nahi hai.

Es soorat me waha pizza burger wagera khane ke kya hukm hai?

Agar halal hone ka yaqin ho to kha sakte hay.

Namaz khatm hone k baad agar koe shaq kare ke ek rakat zyada padhi to kya hukm hai

Namaz khatm hone k baad shak ki koi ehmiyat nahi

Agar koe shaqs samne so raha ho, to uske samne namaz padne ka kya hukm hai. Aur agar koe hamare daye baye so rahe ho aur ham namaz pad rahe to kya hukm hai?

Koi haraj nahi

Mene suna hai k jis aurat k sath mard zina kare uske sath kabhi shaadi nahi kar sakta hai. Ab agar wo mard usse shaadi na kare to koe doosra mard usse shaadi nahi karega aur bichare ek galti ki wajah se zindagi bhar pareshan hogi. Es soorat me kya hukm hoga zara bataye.

Aap ne aadha suna hy. Agar koi mard uoos aurat se zina kare jo kisi ke nikah me na ho ( shadi shudah aurat na ho) to uoos se nikah ho sakta hy. Koi haraj nahi.

Agar mard shaadi shuda ho aur aurat kuwari ho us soorat me kya hukm hoga?

Is surat me koi haraj nahi hay. Shadi ho sakti hay

Baaz aurto kii bahoot shikayat milte hai k unko shauhar bada zalim hai aur un par zulm karta rehta hai aur Islaam ne ye hukm diya hai k shohar k zulm par sabr kare

Kya Ye Sahi Hai.?

Zulm har tarah ka mazammat ke kabil hay lekin agar sabr karne se apne ghar ko barbad hone se bachaya jaye to behtarin sabr aur ajr bhi milta hay.

Hamne medical store ki dukaan kholi hain. 3 mahine huye hai kaam bilkul nahi chal raha hai. Karze me aa gaye bohot pareshan hai. Bataeye kya kare

Dua sab se bada hathiyar hy. Dua kare. Sadka nikale. Baa wazu rahe. Namaz waqt se ada kare. Imamo se tawassul kare. Khuda par bharosa kare. InshaAllah khuda aap ke karobar me barkat dega.

Hum safar pe ja rahe hain Allahabad. Safar mai namaz ke ahkaam ke baare mai janna tha. Hum 5 din ke liye ja rahe hain?

Agar aap ka watan Allahbad hay to vaha namaz puri padhenge. Varna qasr.
Dusri baat ke halate safar me aap ho jayse ke train vaghairame, to apne shahar se niklne k baad namaz qasr padhenge.

Mai apne biwi ke sharm gah pe apna muh laga sakte hai aur biwi ke muh apni panis desakte hai?

Najasat muh me na pahonche to koy masla nahi. Phir bhi dusre olma se puch le.

Mai abhi unmarried hu aur maine apni bahen ki shadi ke liye kuch paise jama kiye hai. Kya paise ka khums nikalu ya jo meri monthly salary hai uske hisab se khums nikalu?

Ladki ki shadi ke liye jo rakam ya maal jama kiya jaye aur voh zarurat se zyada ( israf) na kaha jaye to uoos pr khums nahi hay.

Agar koi insaan namaz e subh ke baad roze ki halat me najis ho jaye aur jab uski ankh khuli to zohor ka time nikal chuka tha. Aesi surat me uska roza sahi hai ya nahi?

Roza bilkul sahi hy jab uoothe to faqat gusl anjam de.

Meri wife bohot ziddi hay. Wo muje ungliyon pe nachana chahti hay. Kisi masle ki wajah se wo apne ghar chali gai hay. Mera sawaal yeh hai ke aap muje koi aisa surah bataiye jisse wife ko mujse bepanah mohbat hojay aur ose zidd se zyada shauhar pyara hojay. Aur kya aisa bhi koi surah ya dua hay jisse mujpe jadu ka asar na ho. Qyu ke mere sasural wale ek baba ke paas aate jate rehte hain taake woh log muje bas me karke apni ungliyon pe nachayen.

Sab se badi chiz apna akhlaq hay.
Jo apne liye pasand karte ho voh biwi ke liye bhi.
Raha sura ka masla to 4 qul aur ayatul kursi zyada padhe. Har namaz ke baad khas taur se.
Compromise se zindagi mithi hogi zidd se bigadti hay.

Kya talaq ke baad usi aurat se fir se shadi kar skte hain. Agar haan, toh kya shart hai.

Talaq khud ek bahut hi bura kaam hai jisae khuda naaraz hota hay. Agar kisi vajah se kisi ne talak de kar Allah, Rasul aur Ahlebayt a.s ko naraz diya hay to Iddat ke dawran ruju kar sakta hay. Is me dobara nikah ki zarurat nahi. Iddat ke baad dobara nikah kiya jana chahiye

Maine apni wife ko shadi ke kuch din baad hi meher adaa kar dia. Ab pata chala ke usne woh sare paise apni maa ko de diye or woh chahti he ke woh paise uski maa hi rakh len. Kya yeh sahi hai? Muje khushi jab hogi jab woh paise wife apne par lagae ya uska koi apne liye acha samaan le aaye. Mai jald isliye adaa ni kiye ke woh paise kisi teesre ko pohochen. Please advise

Aap ne ada kar diya, aap wajebat ada kar chuke.
Uoos ki marzi jaha par kharch kare.
Uoos ka maal hai.
Uoos ki maa ko diya voh bhi behtarin rasta hai kharch ka, jis me bahut sawab hai. Achcha momin neki kar ke khush hota hy. Aap samjhe ke bahut hi badi ibadat aap ke paise se huvi hai, chize lekar barbad nahi huve.

Jab se muje baccha paida hua hai, meri biwi muje time ni de paari hai. Muje lag raha hai ke baccha paida kar ke maine apne khud ko pairo pai kulhadi maar li. Baccha paida kar ke maine khud apni biwi ko khud se duur kar dia. Araam se shadi ko ek do saal baad baccha paida karta taake muje wife ke sath private time to mil pata. Please advise

Aap khuda ka shukr ke bajaye na shukri kar rahe hy. Jin ke pas awlad nahi uoon se puche. Pure india ke pir baba ki dargah ko chhan dala hoga.
Aap aur bibi dono sath me time nikaliye aur bibi bachcho ke sath reh kar shukre khuda kare.

Kya shauhar kabhi apni wife pe hath utha sakta he? Ose maar sakta hai?

Nahi, agar ijazat bhi hy to Itna ke surkh ya nila na pade.
Kul mila kar mana kiya gaya hay.

Agar koiRamazan me quran padhna shuru kare to kya uss par wajib hojata hai ke Ramazan me hi pura quran khalaas kare?

Aysi koy baat nahi

Agar saatve din khatna na kara payen toh fir kab karai jaay

Jab chahe karva sakte hy, saatve din sunnat hay.

Kya yeh baat sahi hai jab insan ke paas zada paisa hota to Allah ose badi badi bimariyan de deta hai?

Bada aadmi ka matlab zyada paisa nahi hy achcha kirdar aur taqwa hona chahiye. Aur agar yeh khwahish hay ke zyada paisa ho to uoos me koy kharabi nahi hay agar halal tarike se ho aur jayez uoos se istefada kiya jaye to. Lekin agar khud khwahi aur takabbur karne ke liye yeh khwahish hay to kharab hay.

Agar shadi k baad behen ka shauhar usko western kapde allow kare to kya iss surat bhai ka behen ko aise kapde pehenne se rokna sahi hoga. Kya bhai ka haq hai rokne ka?

Amrbil maroof karna zaruri hay jo sharayat mawjud ho to.

Agar mera saala ya sasur apni family photo ko whatsap dp rakhen jisme meri biwi bhi photo me ho, to kya muje haq hai ke mai unse bolun ke aap apne dp me meri biwi ka photo na rakha kare?

Namehramo se chhupaya jaye chahe kisi bhi tarh ho

Kya paiso ke mamle me mai apni wife se jhut keh sakta hun? Masalan salary ke bare me usse jhut keh dun. Agar 20 hai to 10 bataun?

Jhut bolna haram hay sivay ke jhut se momino me saleh karana mumkin ho vaghayra.
Bivi se aap kyun Jhut bole? Apni Bivi ko aap par bharosa ho jaye aysa kaam kare aur mohabbat me izafa bhi ho

Ka Islam me anniversary manana jayaz hai. Agar hai, to kis tarah se manai jaaye. Cake wagaira kaat ke sabki dawat kar sakte hain

Jo chiz shariyat me haram na ho voh kaam karne me koy qabahat nahi. Sivay ke kisi amal se Islam ki ahanat ho rahi ho.
Koy cake katataa hay to koy kisi ko khana khilata hay. To koy sadka o khairat karta hay to koy aakherat ke liye aamada hota hy

Muje kal hi ek ladka paida hua hai. Mai humesha se sunta aya hun ke maa baap apni aulad ko hadd se zada pyar karte hain aur yeh mohobat qudrati hoti hai. Lekin mere sath ekdum ajeeb chiz hui he. Muje apne bete ki taraf koi attachment nahi hora he. Mai ye ni kehra ke muje usse nafrat mehsus hori hai. Lekin aulad ki mohobbat mere dil me ni aari. Agar isska jawab ye he ke istegfaar kariye , to mai ye kahunga ke ek sharabi juwari jo bhot gunhegar he jab usko apne baccho se mohobat rehti he to muje qyu nhi. Kya aisa hai ke jaise jaise bacha bada hoga mere dil me uske liye pyar dhire dhire ata rahega? Please advise

Aap ne jawab de diya hy jayse jayse voh bada hoga uoos ka andaj aur bilakna vaghayra hoga to aap ke dil me ehsas zyada badhega.

Janabat ki halat me agar koi jaan ke 3 shaban ki nazr chakh le to ye guna kaise maaf hoga?

Nazr ek mubarak amal jarur hay lekin agar koy yeh amal kare to gunah shumar nahi kiya gaya hy.

Wife ne pehle mannat maani thi ke ladke hoga to hyder abbas naam rakhenge, toh agar ab hum kuch aur naam rakhna chahen to kya gunhegar honge. kya iss halat me Hyder naam hi rakhna padega?

Mannat pura karna jaruri hy, warna uos ka jo bhi kaffara ho voh ada kare. Lekin aap ne jo nam choice kiya hy Voh behtarin hay

Wife ko jo gehna shadi me humlogo ne diya hai kya woh gehna meri ammi wife se bina puche koi kaam ke liye girwi rakh ke paise utha sakti hain?

Malik ki ijazat k baghair nahi le sakte.

Maine ek treatment chalu karne se pehle istekhara dikhaya. Istekhara behtar aaya or maine dawa chalu kardi. Fir baad me muje pata chala ke uss treatment se muje ek dusri bimari hojaygi. Ab mai confused hun ke istekhara par bharosa karke wo dawa chalu rakhun ya band kardun. Kya istekhara ka behtar aana matlab yeh ke muje wo treatment se koi or dusri bimari ni hogi isliye khuda ne istekhara ka jawab behtar diya hai?

Khuda behtar janta hy aur uoos p bharosa rakhe.

Agar mera intention saaf hai toh kya iss halat me bhi mai kisi namehram ki taraf nahi dekh sakta? Office wagaira me roz log hi hello kehte hain qyu ke sath me kaam karte hain or same team me hote hain toh kya iss halat me jab wo hi hello kahen to kya unko smile dena ghalat hoga? Ya woh agar hand shake karne ke liye hath badhaye to hum apna hath nahi badha sakte? Or jab kisi ladki ke sath kaam se related koi meeting ho to kya hum sir jhuka ke meeting me baat karen?

Aga ka saf masala hay ke Taqwa e ilahi ikhteyar karo. Rizq dene wala khuda hay

Kabi kabi aisa hota he ke office me khana khate time mere kuch kafir friends kuch apna khana offer karte hain chakhne ke liye kehte hain. Ab iss waqt mai agar inkaar karunga to unko bura lagega. Kabi kabi inkar kar bhi doon lekin agar everytime manaa karunga to unko bura bi lagega or shaq bhi hoga unko. Kya aisi situation me najis khana khaana jayiz hoga?

Najis khana jayez nahi sivay ke koy sakht majrburi ho. Yani jaan ka khatra ho ya bahut bada nuksan ho. To mumkin hay jayez ho sake.

Pichle kuch saal se mai sehme Imam kii raqam mere nazdeeq ek madressa me deta hun. Ab iss baar wahan ke maulana muje baar baar message karke meri tabiyat puchte hain. Woh kabi message nay karte lekin ab jab khums ki tariq qareeb hai to muje baar baar khairiyat puch rahe hain. Kabi unhone aise muje yaad nay kiya. Unka muje matlab pe yaad karne se mera dil aage piche hora hai or mai soch raha hun ke iss baar mai khums kahin or de dun. Mujhe unpar doubt araha hai ke woh mere paison ka sahi istemaal nay karenge. Please help

Aap ko jaha par itmenan ho aur shariyat ke mutabik ho to vaha par aap de sakte hay.
Jis ko bhi de uoos ke paas aga sistani saheb ka ijaza ho.
Sehme sadat ke liye jo gharib sayed ho aur nek ho uoos ko de sakte hy.
Is ke alawa agar aap bombay rahete ho to Ayatullah al uozma aga sistani saheb ke wakil Hujjatul Islam Ahmed Ali Abedi tak bhi pahocha sakte hay.
Is sab me aap jaha munasib samjhe.

Mai kuch saal se khums nikaal ra hun. Iss baar ki taariq aane se pehle yeh hua k maine 20 hazaar ek shaqs ko udhar k taur pe de diye.
1) Toh in paiso pe bhi khums nikaalna hoga ya agar khums nikaalne ke kuch din baad agar wo shaqs muje paise lautay to kya us waqt nikaalna hoga?
2) Har mahine mai kuch paise apni wife ko deta hun. Kya khums ki tariq ke din wife ke paas jo paise jama honge jo mere hi diye hue hain unpar bhi khums wajib h?

1) Jab aap ke pas aayenge tab nikalna hoga.
2) Ji ha wife ke paas bhi raqam bachat shumar hogi. Uoos par bhi khums hoga.

Meri wife kafi achi he or woh mere ghar ki zimmedari bhi nibhati hai. Muje shadi ko X mahine hue hain. Bus ek p mai pichle X mahino se us pe gussa karta hun woh rone bhi lagti hai. Baat yeh hai ki wo har teesre ya chauthe din apne mayke jati hai aadhe din ke liye. Is bat pe mai rok lagata hun. Har baar mai use jane deta hun qyu ki agar mana karunga toh woh zada din tak mera farman nay man paygi or shayad meri marzi ke khilaf ghar chali jaye. Iske alawa roz apne ghar pe fone pe bat bi krti hai. Khuda janta ha mai ladki or parents ke milne ki khilaf ny hun. Agar 10 din me ek bar jaye to thik h, agar 2 se 3 din me ek bar fone aye to bi mai razi hun. Lekin agar mai is chiz se khush rhunga to yeh silsila humesha yunhi chalega or woh is chiz ko kam nay kregi. Agar woh mere faisle pe khush rhegi to mai use khush rakhunga lekin agar muje koi kaam nay pasand or wife wohi kare to mere liye mushkil hoga use har chiz dena or shayad nafarmani ki wajah se mai use chod bhi dun. Please koi hal batayen.

Aap apni wife se bahut mohabbat karte hay. Aur aap ki biwi bhi isi tarah se.
Aap uoos mohabbat ko istemal kar k diplomatic tarike se samjhaye aur apni mohabbat ka uoos k samne izhar bhi kare. Problem solve ho jayega.

Agar moharam ke baad navi ke din naya kapda pehenna chahe to uski shopping ayyame azaa me kar sakte hain?

Haraam nahi hay lekin gham ke dino me zaruri ho jaye kharidna to koy haraj nahi hay

Mujhe ek bahot badi mushkil aa ladi hai aur usse najaat chahti hu. Lya please koi amal bataiye jisse meri mushkil hal ho.

Hamare pas 14 masumin a.s behtarin wasila hy.
Uoos ke liye bahut se aamal hay.
Namaz ki awwale time ki pabandi.
Namaze shab
Ziarate ashura
Hadise kisa.
Zyada se zyada durud padhe
Zyada se zyada qatilane ahlebait a. s. Pr lanat bheje.
Khuda ko 14 masumin a.s ka wasta de duao me. Aur sajde me dua kare. Aankh me aansu aaye.

Kya music sunna haraam hai. Agar kabhi drive karte waqt neend ke wajah se sunna agar chaahe to. Aur kya Music sunne se hamari namaz qubool nahi hoti hai aur kya hamari haajat puri nahi hoti hai?

Music haram hay. Insan jab haram kaam karta hy to khuda uoos ki dua qabul nahi karta.

Mai jab subah namaz ke liye utha to mujhe yaqeen tha ke azaan nahi huvi to maine paani piya aur khazaaye umri ke roze ki neeyat bandli. Uske baad mai jo waqt ke namaz ke pahucha aur waha ke mauzin se waqt pata kiya to time azaan ka 4 bajke 11 min tha aur aur mai paani 4:12 ko piya tha. Kya mera roza sahi hai?

Agar tehqiq nahi ki aur aap ne aysa kiya hay to faqat roze ki qaza karna hogi.

Aksar log sote waqt sar par hair oil lagate hai to kya subah (fajr) ki Namaz ke liye wuzu kar sakte hai ya sar ko dhona zaruri hai?

Agar wuzu karte waqt tel ki itni chiknai ho ke pani pahonchaneme rukavat bane to chiknai dur karni chahiye.

Kya maut ka waqt fix hai ya situation par depend hai?

Example: Ek shaks ki bimari se maut huwi. Kya agar uski sahi time par dawa mil jati to wo shaks nahi marta?

Please explain the answer with example, also quite quranic aayat if any.

Maut 2 tarah ki hy:
Hatmi maut means khuda k vaha ek shakhs ki zindagi likhi hy.
Aur dusri maut haalat ke etebar se. Exp. Hadis me hay ke agar koy sadka deta hay to uoos ki maut dur ho jato hay. Aur suara exp. Agar koy rishtedaro se rishta tod de to maut ka agar waqt nahi huva tab bhi insan mar jata hy.
Mukhtasar k hatmi maut se kam log marte hay. Apne bure amal ke zariye zyada maute hoti hay.

Q1. Namaz me Topi pahenne se mutallik koi Hadis ya Riwayat?

Q2. Namaz me topi pahenna kya hai ( mustahab / makruh / mubah / wajib / …)?

Kuch nahi

Mey ye janna chata hu ki eid e zoha mey hamare yaha qurbani zyadatar vazir ke bad qyu hoti hai. Iska jawab please Quran se de

Aapne vazir likha hy shayad aap fajar likhna chah rahe hy.
Qurbani Quran se sabit hay. Timing ahadis va rivayat se hay jayse namaz aur uoos ki rakate.
Qurbani ka time behtarin suraj niklne ke baad hi hy.

Abhi mai auto rickshaw se travel kar raha tha aur bike wale ne kichad uda diya. Kya mai is kapde me Namaz pad sakta hu. Mai office jaa raha hu jaha kapde badalne ki gunjaish nahi hai. Us waqt baarish nahi ho rahi thi.

Jo aap ko yakin ho ke kichad najis hay to taharat kar ke namaz padh sakte hy.

Alam e Mubarak ko sajda karna jaez hai? Kis niyyat se jayez hai aur kis niyyat se galat hai?

Allah ke alawa kisi ko bhi sajda karna jayez nahi. Allah ke shukr ka sajda kare to jayez hy.

Kya red bull drink halal hai?

Uoos me agar voh chize shamil ho jis ko pina shariyat me haram hy to nahi pi sakte. Varna koy haraj nahi.

In case the sajdagah is not available, on what can sajdah be performed?

Mitti, farsh, lakdi ya jo uoos se nani ho chiz jayse kaghaz, uoos darakht ka patta jo khaya na jaye. Agar kuch na ho to rumal ya kapda, aakhir me kuch bhi n ho to hath par.

Mera sawal hai keelection me paise lekar voting karna kaisa hai? Jayaz, najayaz, haram, etc.

Agar kisi ka haq nahi mara ja raha hay to koy problem nahi.

Christain ke hath ka kahna jaiz hai ki nahi

Voh chize jis ko zabah kiya jata ho misal ke taur par gosht vaghaira to nahi khana chahiye. Dusri chize kha sakte hay. Behtar hy k parhez kare

Nazr e bad ke door hone ke liye kaun si dua padhe.

Sure qalam ki aakhri ayat zyada padhe aur ayatul kursi aur 4 qool bhi padhe

Kya permanent tattoo karwa sakte hay? Permanent tattoo me koi bhi ghuls hoga?

Aap ke jism par gusl ya wazu ki jagah par paani na pahonche voh kaam nahi karna chahiye.

Agar Quran Majid galti se gir jaye to kaffara kya hona chahiye?
Kitna hona chahiye? Kisko dene chahiye?

Tawba kare khuda se is beehterami ki maafi talab kare.

Muje har baat me imam e zamana as ka mashwara chaiye to?

Agar apne aamal talimate ahlebait a. s ke mutabik hay to samjho ke Imam ne hi bataye hay.
Apne tamam aamal Imam ke kahne ke mutabik guzaro khud bi khud maloom ho jayega.

Rasulullah s.a.w ki wafat huwi thi ya shahadat?

Riwayat me ikhtelaf hay.
Zyada tar log wafat kahete hay.

Abhi mahe ramdhan chal raha hai aur muje doctor ne mana kiya hai roze rakhne se. Me iski kaza badme rakhuga to muje fidya dena pade ga ya kaffara?

Aainda Mahe ramzan se pahele faqat qaza karna hy

Fidya aur kaffare me kya fark hai?

Fidya 750 gram anaj dena hota hay mustahak ko. Agar koi sal bhar bimar rahe aur roza na rakh sake to uoos ko dena hoga.
Kaffara 1 roze ke badle 60 roze rakhna ya 1 gulam ko Azad karana ya 60 garibo ko khana khilana hy.
Agar koi koi bhi majburi na ho aur roza na rakhe ya roza tod de uoos ko dena hoga.

If Peshab and mani are both najis, if we go for toilet for peshab and only need to take taharath but if mani come, why do we do ghusl janabat? Can you please explain the same aand give any book reference I will check.

Peshab ki jagah se 5 chize mard k niklti hy
1- peshab
2- mani
Yeh dono najis hy.
Baki 3 chize jo paak hy.
Voh kabhi bimari me to kabhi bivi se chhed chhad se ya kabhi peshab k baad niklti hy.

Mere valid aleel hai. Dil ki bimari hai aur unhe 2 din se musalsil hichki arahi hai. Aj inshallah Doctor k paas jana hai par ussey pahle me apse darkhwast karta hu agar aap muje kisi dua ya amal bataya sakay jissay padhne se unki takhleef me kami hogi.

Quran mukammal shifa hy
Sure hamd ko 7 martaba padho khuda chahega to jald shifa milegi.

બીમારી ના કારણે રોઝા ના રાખી શકે તો શું કરવું જોઈયે?

Agar aavata mahe ramzan darmiyan Shafa mali jay to qaza kare kaafi che.
Ane jo teni bimari musalsal aavta varas sudhi pan jari rahe to 1 roza na badle 750 gram anaj aape.

Gusl krne ka sahi tareeka kya hai?

Jism ko dhone k baad is tarike se anjam de.

Niyyat
Sar aur gardan dhoye
Sidha hissa
Left hissa


Yeh sab chize is tarike se dhoye k yakin ho jaye hr jagah paani pahonch jaye.

Rasul e kudha ki parvarish janaba abutalib ne kitne sal ki

Nabi k dada ji Abdulmuttalib k intekal se Abu talib a.s ki rehlat tak sath me the.

Humbistari karnay kay baad ya humbistari kay samay jo pasina aaya wo pak hai ki nahi hai aur aagar jinabat ghusul pay ho to jo pasina aayay wo pak hai ki napak hai?

Pasina jab bhi aaye musalman ka paak hy.
Lekin hambustri k bad gusl to wajib hi hy

Jamaat ki namaaz mai niyat kya karna chahiyay khass kar friday ki namaz kay liyay aur baqi wajib namazon kay liyay?

Niyyat ka matlab samjhe ke dil se kam ka irada karna.
Masjid me kis liye gaye hay? Allah ki reza ke liye Namaz padhne. Isi ka naam Niyayt hay. Zaban se zor se bolna zaruri nahi. Ha namaz ko moayyan karna padega ke zohar ke liye ya juma ke liye

Nawafil namaaz me Sura Hamd ke baad kya koi doosra soorah padhna wajib hai? Ya sirf soorai hamd padh sakta hai

Faqat Sure Hamd padhna kafi hay panjgana namaz ke nawafil me.

Jo allah ne Hazrat Ibraheem a.s ki qurbani keliyeh dumba beeja uskay baray mai quran mai kis jagah zikr hai


و فدیناہ بذبح عظیم
Sure saffat me ye aayat dekhe.

Agar Imam Hussain a.s ki zari mubarak se masah kiya hua daagha apni kalaie mai pehanna jayaz hai

Koy haraj nahi.

Kya Ali un waliullah azaan ka juzz hai? Agar koi na paday to kya jayaz hai?
Mery uncle ne bola ye azaan ka juzz nahi hai.

Juz e azan bhale na ho lekin Juz e Iman zarur hay. Aur imaan ki ahmiyat zyada hy.

Sajdagah sirf khak e karbala se he kyu banaye jatay hai? Un par sajda itna afzal kyu? Khanna kabba ki khaak ya degar muqadas jagahu ki khak pe sajda kyu nahi? Unse sajdagah kyu nahi banaye jatay hai? Answer with reference


تربت کربلا پر سجده کرنا، خاک پر سجده کرنے کا ایک نمونه هے اور خاک پر سجده کرنے کے صحیح هونے پر مسلمانوں کا بصورت اجماع اتفاق هے، لهٰزه خاک کربلا کو  زمین اور خاک سے الگ کرنے کے لئے کوئی وجه باقی نهیں رهتی هے، تاکه یه کها جائے که شیعه کیوں تربت امام حسین علیه السلام پر سجده کرنے کی بهت تاکید کرتے هیں-  حضرت امام سجاد علیه السلام پهلے امام تھے، جنھوں نے تربت امام حسین۴ پر سجده کیا- تمام ائمه اطهار علیهم السلام تربت امام حسین۴ پر سجده کرتے تھے اور اس کے مستحب هونے کی تاکید فرماتے تھے- چناچه امام جعفر صادق علیه السلام فرماتے هیں : " سید الشهدا ۴ کی تربت پر سجده کرنا ، سات پردوں کو هٹاتا هے
Wasaelushshia vo. 6 p. 23

Qurbani ke janvar ki umar kitna honi chahiye, aur qurbani ka waqt kay hai?

Bakra 2 sal
Dunba 6 month
Time subah suraj nikalne se hay

Mere pass khums ka ek hissa jo sahme Imam ka hota hai mere pass hai. Kya my yeh pisa ek Ashoorkhane ki tameer ke liye use karsakta hoon

Jaha aap kharch karna chah rahe hay agar uoon k pas aap ke marja ( Ayatullah sistani saheb ya dusra koy) ka ijaza ho to de sakte hay varna nahi.

Isha ki namaz qazaa kab hoti hai?
Suna hai ke roz padhne wala kisi majburi me Isha ki namaz fajr se pahle padh sakta hai, amuan ya aaadatan nahi – sirf majburi me.
Aur kuch log kahte hai ki 12 baje ya ek baje qazaa hoti hai.
Sahi time batayen please

Isha ki namaz ka waqt aadhi rat tak hy. Aadhi rat matlab maghrib ke waqt se subah ki azan tak ka hisab lagaye. Uoos ka adha waqt jab aa jaye vohi qaza ka waqt hy.
Majrburi me azane subah tak hay.

Kya 10 baar Alhamd padhne se murde aadmi ko zinda kiya jaa sakta hai?

Or agar zuban mai utni taakat honi chaiye toh fir Sistaani Sahab murde ko zinda kar sakte hai kyaaa?

Murde ko zinda karna moajiza kahelata hy. Moajiza nabi ya imam ke hath se sadir hota hay.
Rivayato me hay ke qurane majid me aur duao me bahut zyada kashish hy. Khuda chahe to ho sakta hy.

Mai ye janna chahta hu ki Rasul aur aimmah iftar kab karte the – magrib ki azan ke baad? Namaze magrib padhke? Ya namaze isha padhke? Aur iftar kahan karte the – masjid me ya apne ghar pe?

Roza iftar ke aadab me maghreb ke baad iftar Mustahab qarar diya hay aur nabi s.a aur Aimmae taherin a.s Mustahab ko tark nahi karte.
Kaha karte the voh aham nahi hay

Kuch ulema keh rahe hai ki mustahab hai ki namaze isha ke baad iftar kare.
To kya ye bhi sahi hai?

Azane maghrebayn k baad jab bhi chahe iftar kare.
Aap par hay

Mera sawal ye hai ki mai REMOVED me rahti hoon but yahan restaurant me workers muslim nahi hote zadatar. But gloves istemal karte hain har customer par to ab ye batayen ki in restaurants me khana kaisa hai.
Dusre jaise gunah na ho but aisa to nahi ki uske asraat aa jayen

Najis khana yaqin ho to haram hay. Jab ke koy dusra jayez option bhi ho.
Agar uoos restaurant me kaam karne valo ke agar hath vaghaira tuch nahi hote ho aur aap ko yaqin ho to kha sakte hy.
Lekin jaha 100% halal ho vaha pr khana khaye to behtar hy.

Janabe Zahera s.a ke ghar ko jalane me or aap s.a ko pareshaan karne wale log kon kon the? unke naam kya hai? Sunni Urdu (Tarjume vaali) Kitabo ke refrences ke zariye batayye.

https://m.facebook.com/taqveemEshiaa/posts/1893708037508710
Is post ko padhe hawale ke sath likha huva hay

Kon se nabi ko abul ambiya (nabiyo ke father) kaha jata hai

Nabi ibrahim a.s ko kehte hay lekin kuch log nabi nooh ko bhi kehte hy.

Kya gusle janabat karte waqt niyat zor se karni he ya man me hi kar lenge to chalega. Kya niyat karte huye insan ko uski awaz sunai deni chaheye he?

Niyyat dil me kaafi hy

મારી ઉંમર.૭૭.વષૅ ની છે. ઢીચણ ના દુઃખાવાનૅ કરણે હું ખુરશી મા બેસી ને નમાજ. પઢુછુ. તેથી તસહુદના.જીકરને બદલે. અલહમદો નો સુરો પઢાઈ જાય છે અને કોઈ વખતે કયી રકાત છે તે ભૂલી જવા થી નમાઝ તોડી નાખી ફરીથી નમાઝ તો તે બરોબર છે?
આને લીધે શું કરવું કરવુ જોઈએ તે વિગતવાર જણાવવા અરજ કરૂછુ.


તશહહુદ મા જ્યારે યાદ આવી જાય ત્યારે તશહહુદ શરૂ કરી દે.
રકાતની ગણતરી મા શક થાય તો શકકિયાતે નમાઝ મુજબ અમલ કરવો.

Agar dosri rakat me tashahud nikal jaye aur tisri rakat ke liye khare hojaen aur phr tisri rakat me tasbeehate arba ke baad yad aye ke dosri rakat me tashahud nahi parha tha tou aese waqt me kia hukum he? Aya namaz batil he? Ya koi trika he jo namaz k bad anjaam dia jaye

Agar tisri rakat ke Ruku me jane se pahele yad aaye to bayth jay aur tashahhud padhe aur baad me tisri rakat ke liye khade ho kar tasbihate arba padhe. Aur namaz ko continue kare. Namaz khatm hone ke baad 2 sajde sahv kare.

Agar koi shaksh apne gunahon ki maafi maangne ke lye apne aap ko takleef dey (misaal ke tor per apne chehrey ko peete) taake usay rona aajaye to kia yeh amal sahi hai?

Hath pit ke nahi rona balke dil se sharmindagi hona chahiye

Main roz office jaane se pehle nahata hun.
Kia main mustahib ghusal karsakta hun aur phir us ghusal se wajib namaz Ada karsakta hun?

Aap Mustahab gusl kar sakte hy lekin uoos ghusl se namaze wajib nahi padh sakte.
Faqat uon Mustahab ghusl se namaze wajib padh sakte hy Jin ka zikr tawzihul masayel me hy

Woh mustahib ghusal jis ka zikr tauzeeh main nahi hai kia us se mustahib namaz parhi jaskti hai aur Quran ke alfaaz ko touch Kia ja sakta hai?

Jo ghusl shariyat me sunnat na ho aur rajaa ki niyyat se kare to ayse ghusl se jaha wazu karna zaruri hy kaafi nahi hy

શુ મેરેજ બાદ સંભોગ.કેવી રીતે.કરવો જોઈએ ઇસ્લામ માં કેવી રીતના નો સેક્સ નો હુકમ છે

Sambhog mate Islamic books available chhe teno abhyas karso to jankari mali jase


એ કઈ કીતાબ છે જેમાં ઇસ્લામીક સેક્સયુઅલ લાઇફ કેવી રીતે વીતાવી તેના વીશે આપેલું છે

Aadabe mujameat
આદાબે મુજામેઅત

Mujhe yeh jaanna hai ke kya woh shakhs jisne apna Hajj nahi kiya hai woh apne marhoom waalid ka Hajj kar sakta hai?

Apna wajib baki hy to apna kare. Jo uoos ke uooper wajib nahi huva to walid k niyabat me kar sakta hy

Please farzand hone ki dua baataya

رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً ۖ إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ
اس آیت قرانی کو قنوت میں پڑھے

Ek aurat jiske miya ka aaj inteqal hogaya hai aurat ko iddat mei rehna hota aise mei kya woh aurat naukri ker sakte hai?

Iddat ke dawran apne zaruri kaam ke alava ghar se nahi nikl sakti aur apne ko zinat nahi kar sakti.

Job ker sakti hai ya nahi kyu unke paas ek sahara nahi hai. Agar kaam nahi karngi toh kya khayegi

Majrburi me to kar sakti hy

Imam reza ki viladat ke din nikah kerna kaisa ha

Kr sakte hy

12 rabbi awwal nikah ke liye kaisa ha?

Aap par hay

Shiya mein talaq ka kya tariqa ha aur mumbai mei kisko conatct kiya jaye is silsile mei

Kisi aalim se jo sahibe ilm ho uoos se mulakat kr k apni halat bataye ho sakta hy koy sahi rasta nikl sake.

Shower se gusl tartibi hoga ya irtemasi

Tartibi gusl

What is qailulah?

Dopaher k khane k baad thodi Der sona ya aram karna.

Namaz ma bagasu aave ane ama aapde avaj nikale jani joine ka pachi bhulthi to ano shu maslo che?

Jo tema awaz nikalto hoy tene lokoma awaz kahevato hoy to jo bhul thi avaj nikalyo hoy to sajdaye sehav ane jo vadhare awaz hoy to namaz batil thase.

Shu namaze shab ma 14 masumin na nam levai?

Qunut ma jetla masumin a.s na namo leva hoy lai shako chho.
Tena mate Behtarin dua razito billah chhe. Athva duae tawassul.

Ek buzurg aurat salo pehle hamare yaha rehti thi aur unhone mere chaha ko karib 30 saal pehle 3.25 tola Gold and ₹1050 indian rupees cash diye the amanat ke tor pe. Unka intekal huve 25 saal se zyada ho gaya hai. Unka koi waris nahi hai is duniya me na unki koi wasiyat thi to ab woh Gold aur cash kisko de sakte hai aur kitna dena hoga ?

Aap jis ki taqlid karte hay voh mujtahid ya uoon ke wakil se rabeta kare.

Me ye janna chahti hu ke haqiki ilm kise kehte hai?

Jis se aap ko khuda ki marefat ho aur uoos se nazdik ho.

Sahme Sadat syed ne advance ma aapi skay?

Pachi jyare khums ni tarikh aave etle e advance money ne sahme Sadat ma thi minus kri daie to

Ha qaraz aapi shakay ane jyare aapdi tarikh aave etle ema thi lay shakay.

Musafir (jeni namaz kasr hoy) ena mate namaze Magrib ane Subh mate niyat kasr ni krvi joie ya puri namaz ni niyat kravi joie?

Kemk namaz e kasr to Namze zohareen ane Isha matej hoy che

Qasr no matlab k adhuri.
Niyyat ma Qasr na hoy

Potano ane Imame zamana a.s. no sadko alag alag nikalvo joie?

Jo bnne sadkah alag alag nikalvana hoy to imame zaman a.s. no sadkah kone aapi slay ?

Imam zaman aj no sadko imam na mission ma vapri shakay

Sure Baqarah me sarab ki silsile me sabse pehle konsi aayat nazil huyi ?

Allah ki taraf se jab aur jaha hukm mila vayse aayat nazil huvi hy

Hum Marhumin ki qabr pr pani kyo dalte he koi khas vajah ?

Reference k sath batae

Qabr par pani dalne se azabe qabr kam ho jata hay jab tak qabr nm raheti hy. ( safinatul Behar j. 2 p. 396)

1. Mera sawal ye hai ke Quran me knowledge, ilm(deeeni ya duniyawi) , haasil krne k liye kya khaha gaya hai? Surah and ayat ka reference dijiye please.
2. Quran me hardworking /mehnat krne k liye kya kaha gaya hai. Quran k sath sath agr hadith se RasulAllah ya Imam Ali bhi dijiye

Is site me dekhe:

https://razavi.aqr.ir/Portal/Home/ShowPage.aspx?Object=News&ID=dab62c1b-ee8f-4013-807a-3f02ca8b40cf&LayoutID=645ac739-da8b-445b-bc65-f942a0328b0b&CategoryID=6b296bef-5e44-4348-9ce1-1cb38d60b8de&SearchKey=

Me ne pouchna tha ke quran o hadith aur shariat me kaha pe bataya gaya hai ke aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat Aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?

Agar aap Sistani saheb ki taqlid karti hy to uoon ki tawzihul masayel me is ke bare me mil jayega.
Aur mujtahid jo bhi hukm nikalta hy uoos k samne Quran aur Aimma e masumin a.s ki ahadis hoti hy.

Agha mera sawal ye hai ki western toilet hai agar kahi jaha hum job kar rhe office me aur ghar me bhi, to is toilet ke ke liye kya hukm hai ?
Kya jitni martaba peshab ya pakahana karenge, utni martaba nahana padega, bina nahahye paak mana jayega ya nahi ?
Bahot zada dushwari pesh aa rahi hai is masle me. Wazahat ke sath jawab diye ki hum kya kare, aur kya na kare ?

Western toilet me jane ke baad nahane ki zarurat nahi hy.
Agar aap ko chhinte uoodi ho ya aap ko lage k najasat lagi hy to bs jaha najasat lagi hay uootna paak karna kaafi hy.

Kya mahram mard aur aurat ek sath namaz padh sakte hai ?
Agar nahi padh sakte, to kitne faasle par namaz padhni chahiye dono ko ?

Dono k bich Parda ho to koy baat nahi, lekin agar mard aage ho aur aurat puche ho to koy baat nahi.
Agar aurat aage ho to 15 haat ka dono k darmiyaan fasla hona chahiye.

Kya Makkah aur Madeena main carpet par namaaz padh sakte hai.

Aga sistani saheb ijazat dete hy kyun k Majrburi hy.

Now that we have gone through 22 days sheer training in this Holy month of Ramadan. Kindly guide how do we maintain our spirituality even after this month of Ramadan?

Gunaho se bachiye.
Aur wajebat ko waqt se anjam de.

شطرنج کھیلنا حرام ہے پھر بھی ایران میں یہ عام کیوں ہے؟

Aap jis marja ki Taqlid karte hy uoos pr amal kare.

Mutaa ke lughwi maena bataiya please

Muta'a yani aqde mowaqqat

Kya Namaze qaffara padna sai hai

Namaze qaffara kabhi naam nahi suna hy

Salamun alaikum muttha se muttaliq yeh puchna chahata hu ki shia islam mai muttha ki kya shartey hai or kin kin imamo lkiss se muttha kia thaa or kub kia thaa.

Ws Mutah bhi ek tarah ka aqd hy jayse aqde nikah hota hy. Jayse aqde nikah k liye sighe jari hote hy wayse hi is me bhi hy. Farq yeh hy k aqde Mutah me muddat moayyan hoti hy. Aur masayel ki books me tafsili masayel mawjud hy. Kon se imamo ne Mutah kiya jo sawal hy uoos k bare me tarikh ki taraf ruju kare aur yeh bhi zaruri nahi k har Halal aur jayez chiz ki jaye. J. Isa nabi s. A. Nabi hone k bawajood shadi nahi ki. Khas dhyan me rahe k Mutah quran aur ahadis se sabit hy. Aur yeh bhi aqd ki ek qism hy. Mohtaje dua

SalaamAlaikum Warehmatullahe WaBarakato Agha hum jis office me kaam karte hai waha hindu bhi hai aur wo log kabhi kabhi kuch khane ke lie kehte hai to aise me kya kiya jaye

Ws Shariyat k hukm k mutabik amal karna hoga.

slmun alaikum aagha mera ek sawal hai mujhe kisi ne pucha ki kis imam yaa unkey ne matam kiyaa thaaa kaun se imam they jinhone matam kiaa thaa jaisey ki zanjeer qama talwar n aag par qq chaltey hai hum aisa u honey sawal kiyaa hai plzziska jwb aap humei de dijiyega aagha

Ws Matam girya sab imamo ne kiya aur abhi tk imame zaman aj. Khoon k aansu ro rahe hy. Lekin ho sakta hy k aaj k tariqe me aur uoos waqt k tariqe me farq ho. Iltemase dua

aagha mei bombay mei hu meri salary 12000 hai toh mei ismey khums kaisa nikalu mushkil se bachta hai paisa yaa kabhi nhi bhi plzz aap meri help karengey mujhe is masle kaa jwb chahiye aagha 5wa hissa kaisa nikalu plzz aap detail mei bata dijiye naa jissey meri ye prblm slve hojaye

Salam Aap sab se pahele 1 date ko Tay kar le. Misal k tawr pr 1st moharram. Uoos tarikh ko jo bhi bachat ho uoos me se 20% yani panchva hissa nikaliye. Misal k tawr pr aap k pas 1st moharram ko 2000rs bacha hy to uoos ka pachva hissa 400rs niklenge. Baad me uoos 400 me se 2 hisse honge ek gharib sadat ka aur ek sehme imam ka. Sehme imam marja ko diya ja sakta hy ya jaha marja ne ijazat di ho. InshaAllah samjh me aa gaya hoga. Varna kisi aalim se rubaru mulakat kar k samajh le. Shukriya

assalamun alaikum aagha ek sawal ka jwb plzz aap de dijiye mei bombay mei rehta hu job krta hu lekin jahan krta hu woh shop hindu ke area mei padhti hai jaise hindu ka khane se 40 din talak dua qubul nhi hoti toh mei aisey mei kyaa karu aagha aas paas koi muslim hotel nhi hai na kuch aisey mei kha skta hu yaa nhi mei

Ws Koy bhi najis chiz khana haram hy. Khuda se dua Kare k aysi jagah job mile jaha apne iman ki hifazat kr sake. Iltemase duva

Salam Qibla, sawal ye ha kay imam mehdi ki ghaaibat kay baray main jo riwaayat ha, un main sab say Sahih sanaad wali riwaayat kia ha? aur ye kay jo Sunni brothers ka aqeeda ha kay imam Mehdi ki paaidaaish ho ge, is tarah ki kia koi riwaayat ahle tashiya main milti ha?

Ws Hamara bhi aqida hy k imam Mehdi aj. Paida ho chuke hy aur voh ghaybat me hy.

Su janabe kasim na aqd(niqah) thaya hats Karbala ma?

Salam Tena vishe ikhtelaf che rivayato ma.

Abbas(as) ibn ali(as) ki wife ka kya naam hai ??

Lobaba

aga ky chote bache ne mayyat ko hath lagane se uspar mase mayyat wajib hai ky aur wo gusl kab le sakta hai….wasalam

Jab bachcha baligh ho jaye tab ehteyate wajib hy k gusl kare.

Assalam walaikum, Mera sawaal yeh hain ki jis makaam par maulana namaaz padha te hain woh niche ki taraf dhasa kyu hota hain….

Ws PESH namaz k liye hukm hy k voh mamoon se uooncha nahi hona chahiye.

Muharram ke 9-10 taarikh ka roza kaisa hai. sahi ya galat ?

Shiddat se mana hy

hum matam karte hai to log humse puchte hai ke tumne katl kiya hai isliye tum unka gum mana te hai to hum unhe kya jawab de

Salam Jange ohad me nabi s.a.w k pyare chacha janabe Hamza shahid huve. Aur pyare nabi s.a.w ne matam ka hukm diya to kya janabe Hamza ko nauoozubillah nabi s.a.w ne shahid kiya? Jo log kahete hy k tum ne shahid kiya uoon ko yeh baat bhi keh sakte hy k duniya me jab koy kisi pr Zulm karta hy to voh chhupane ki koshish karta hy. Aur jis pr Zulm hota hy Voh logo ko batane k liye k ham mazlum hy julus nikalta hy. Ab khud fesla karo k zalim jo hoga voh kabhi bhi julus nahi nikalega aur mazlum apne Kirdar se jo Zulm huva hy uoos ko bayan karega. Ham mazlumo me se hy aur jo mana karte hy Voh zalim ka Zulm chhupane k liye mana karte hy. Mohtaje dua

salam.mera sawal hai k hamare yaha test tube baby karwa sakte hai?jayaz hai?plz answer in details

Test tube baby me awrat k tukhm ko aur mard k nutfe ko milap k baad rahem me rakh sakte hy. Lekin is dawran koy haram kaam n hone paye.

salam.aga mera sawal hai k agar kisi niyaze hussain me haram rizk aur halal rizk donohi laga ho aur ye muze pata ho to aisi niyaz kha sakte hai?plz answer me

Ws Haraam chiz ko kisi bhi halat me nahi kha sakte. Iltemase duva

salam maulana sahab. meri wife kafi achi h. or woh mere ghar ki zimmedari bhi nibhati hai. muje shadi ko X mahine hue hain. Bus ek p mai pichle X mahino se us pe gussa krta hun woh rone bhi lagti hai. baat yeh hai ki wo har teesre ya chauthe din apne mayke jati hai aadhe din ke liye. is bat pe mai rok lagata hun. har baar mai use jane deta hun q ki agar mana krunga toh woh zada din tak mera farman ny man paygi or shayad meri marzi k khilaf ghar chali jaye. iske alawa roz apne ghar p fone p bat bi krti hai. khuda janta h mai ladki or parents k milne k khilaf ny hun. agar 10 din me ek bar jaye to thik h, agar 2 se 3 din me ek bar fone aye to bi mai razi hun. lekin agar mai is chiz se khush rhunga to yeh silsila humesha yunhi chalega or woh is chiz ko kam ny kregi. agar woh mere faisle p khush rhegi to mai use khush rkhunga lekin agar muje koi kaam ny pasand or wife wohi kare to mere liye mushkil hoga use har chiz dena or shayad nafarmani ki wajah se mai use chod bhi dun. plz koi hal batayen.

Ws Aap apni wife se bahut mohabbat karte hy. Aur aap ki biwi bhi isi tarah se. Aap uoos mohabbat ko istemal kar k diplomatic tarike se samjhaye aur apni mohabbat ka uoos k Samne izhar bhi kare. inshallah Problem solv ho jayega. Iltemase dua Kh

salam, agar mohram k baad navi k din naya kapda pehenna chahe to uski shopping ayyame azaa me kar sakte hain

Ws Haraam nahi hy lekin gham k dino me zaruri ho jaye kharidna to koy haraj nahi hy

Salam alaikum. Ghadi ghadi gunah karna, ghadi ghadi maafi mangna, fir gunah krna fir maafi mangna, Mai is haalaat se guzar chuka hun. aap bataiye k mai kya karun, kaise saccchi tauba karun or gunah se bachun or wajibaat ko anjaam dun.

Ws Koshish kijiye aur ahlebayt a.s se tawassul kare zarur Aap gunaho se DUR ho jayenge khas kr jb majlis me masayeb k waqt aansu aaye zarur tawassul kare I. A. Zarur maksad pura hoga.

Salam maulana sahab. mai ilme deen k maamle me bhot bhot peeche hun. meri umar abhi XX saal. din ayse hi guzarte jaarahe hain lekin ilm nahi badhra hai. Ab mai apni deeni knowledge badhana chahta hun lekin sabse bada masla yeh hai k shuru kahan se karun. Hazaaro books hain or hazaaro cheezen hain deen me. Is chiz me mai confused hun k start kahan se karun or kis kitaab ko padhun. Please help me. Ilm hasil karke mai apne aap ko develop karna chahta hun or akherat bhi sawaarna chahta hun. Quran muje padhna aata h or namaz aati h bus. baaki chiz me zero hun.

Ws Ilm hasil karne k liye koy uoomr ya saal ki qayd nahi hy. Khuda aap ki is bedari ko maqsad tk pahonchaye. Ibteda me aap uoosule deen ko sikhe. Aur samjhe. Ya uoos k mutallik jo dars ho uoos ko sune. Aaj kal to Internet k zariye se aap shia olma ki books aur taqrire waghayra se istefada kr sakte hy. Iltemase duva

mai khuda or deen se bhot dur ho chuka hun. Namaz ki adat dalna chahta hun or ibadat krke akherat me ache se acha makaam hasil krna chaheta hun lekin ek baar namaz padhta hun fir kayi din tak chut jati h namaz. plz bataiye k mai namaz ki adat kis tarah se dalun. imame zamana a.s aap ko salamat rakhen.

Namaz k tarjume ko samjho. Phir khuda ne jo jo neamate di hy uoos pe ghar kare. Phir soche k agar khuda mujhe yeh neamat n deta to kya hota. Misal k tawr pr aankhe n hoti to kaysa hota. Ya behra hota to kayse logo ki baate sunta vaghayra...... Jab khuda ne sab kuch achchi tarah se banaya hy to kya uoos ka shukriya ada nahi karna chahiye? Namaz ek tarh ka shukr hy. Is tarh se soche apne ko aamada kare.

hume kaha jata h k kafir k hath ka khana nahi khana chahiye nuksan hota h. lekin wahi khana khud kafir khata h use kuch nahi hota. to mera sawal yeh h k us khane ko kaise pata k yeh kafir ka pet or yeh muslim ka pet. khane ko kaise pata k kafir k pet me jaunga to kuch nuksan nhi pahuchaunga lekin muslim agar muje khayga to mai use nuksan pohchaunga.

Ha ha ha Aap ka sawal bahut achcha hy. Sab se pahele yeh dekhe k nuksan kise kahete hy. Muslim non Muslim k hath ka banaya huva khana ho sakta hy k zyada laziz bhi ho aur zyada fayde mand bhi. Lekin jo nuksan uoos k liye hy k uoos ne khuda ki na farmani ki. Kya is se zyada nuksan ho sakta hy k khuda naraz ho uoos ki na farmani karne se. NUKSAN duniya se zyada aakherat ka hy. Ibadato me lazzat nahi aati. Momin Logo se dushmani karne lagta hy........ Kya yeh sab nuksan km hy? Momin k liye bahut zyada nuksan hy.

Modern science kehta hai k jo aap ko chahiye wo agar aap subah sham apne mann me kahenge to wo chiz hasil krne me aasaani ho jaygi. kya is baat pe amal krna gunah hoga

Islam me bhi hy k achchi soch rakho aur positive soch rakho. Is me gunah kayse ho sakta hy.

mujhe logo se baat karne me pareshani hoti hai. dar lagta hai or ghabrahat hoti hai. doctors k hisab se muje social phobia hai. Jis tarah se aap log hazaaro k saamne taqrir krte hain baat krte hain ,majlise padhte hain, muje bhi logo ke saamne meetings lena hai baat krna hai or life me aage badhna hai. muje bataiye mai kaise confidence laa sakta hun or bina darr logo se baat kr sakta hun.

Ibteda may sab k sath aysa hi hota hy jab prectis ho jayegi to sab kuch sahi ho jayega inshallah, Ibteda km logo se kijiye aur ahlebayt a.s se zarur tawassul kare

Salamun alaikum Janab mera sawal hain ke ziarat e ashoora padhne ke kya faayde hain ?

Ws Bahut zyada dunya aur akherat k fayde hy. Khas kr imam aur olma ne takid farmayi hy

Maine yeh maala padha tha ke agar istibra me yeh shak ho ke istibra kia hai ke nai toh toh use phir se istibra karna chahiye, par agar yeh shak bar bar har waqt ho toh?

Istebra ka Fayda yeh hy k peshab ki nali se Sara peshab nikal jata hai. To peshab k baad fauran Istebra ki aadat dal dijiye to phir shak nahi hoga.

Salam Kya gift ka bhi khums dena wajib hai?

Ws Jo khums ki tarikh aa jaye to nikalna hova

salamun alaikum jumah namaz padne ke baad kya zohar namaz padhna wajib hai.

Ws Zaruri nahi hy.

agar mei khutba nahi sunta hu..direct namaze jumah padtha hu….toh kya mere par wajib hai namaze zohar

Agar aap khutbe k waqt hazir n hone se namaze juma ka ineqad n ho to gunehgar honge. Jan bujhkar aysa nahi karna chahiye.

assalamun alaikum 1 aadmi par khums vajib hai…lekin unka sara paisa fix deposit me hai…ab usko hajj karne jana hai…lekin jo paise se hajj karenga wo paisa paak hai..matlab ke uspar khums nahi laga to wo hajj kar sakega…uske liye kya hukam hai..?? jazakallah

Ws Jis raqam ko hajj k liye kharch kare voh khums nikali huvi raqam ho to hajj sahi hy. Fix deposit Wali raqam jab voh aapke paas aaye to jitne ka khums nahi nikala uoos pr nikalna padega. Mohtaje dua

kya hum log English calander ke hisab se khums nikal sakte hai

Islamic date k etebar se nikalna chahiye

jume ki namaaz kis niyyat se padhe . aur Zohar ki namaaz padh skate hai

Zaruri nahi

Agar muj par karz he aur bina sile huve kapde agar 1 baras tak rakhe ho to kya uspar khums wajib he

Agar voh aap ki bachat kahi jay to wajib hy.

salams, agar rasul ne zulashira me lafz khaleefa istemal kiya tha apne wazir ke maine me to Shia Moula Ali ke liye Yeh lafz kyun nahi istemal karte

Ws Khalifa lafz jab se imam ali a. Ki Khilafat gasb huyi tab se badnam ho gaya hay is liye aksar shia janashin ka lafz hi istemal karte hy. Salwat

rasulalah ne kabhi apni zindagi me Yeh kaha tha ke mere jaanasheen khaleefa kehlayenge. jab umar ne abubakr ki bayet ki to kiya umar Aur abubakr ne Yeh lafz ikhtiyar kiya

Salam Jab paygham s a w. Ne dawate Zulashira me elan kiya tab farmaya tha mera wazir w Khalifa

salam bar sipahi e imam zaman (fa) saudi arabia ny muzaldfa ka kuch area ko rush ki waja se new mina bunaya hai aur fatwa dia hai yahan rat ryna se murad mina mein rat ryna hai.. kafi bra area hai aur tent waghira lagy hain. kuch sal phyly kia. mera sawal hai k kia wahan rat ryna is mina mein rat ryna wala wajib pura hota hai ? ksa declare some area in muzadlfa as a mina and plot camp there. is it ok to stay there on 11 and 12 zil hajj.

Ws Rat Ko Mina ki had me rat guzarna hogi. Sivay k koy majburi ho. Iltemase dua

as salam alykum wa rah matulla kya ek ladki apni photo social media pe daal skti hai hijab k sath chera khula howa

Ws Agar hejabe islami mukammal ho aur uoos k zariye na mehram k Samne numaish n kaha jaye aur gunah me padne ka khatra n ho to koy haraj nahi.

hijabe islami tafseer se btaiye plz

Chehare ko aur hatho ko jitna namaz me khula rakha jata hy uoos k alawa jism ko ayse chupana k nashebo faraz zaher n ho.

mere demag me yeh sawal hai ke kyu ghaibat e Imam e zaman (a.t.f.s) Eid ke namaz mustahab ho jate hai chuke Imam e zaman (a.t.f.s) hamare darmeyan maujud nahi hai lekin khums sahme imam ham PE wajib rehte hai ghaibat me?

Salam Imam k zamane me is liye namaze juma aur eidayn wajib hy k yeh dono namaz ka Asli ta'alluk hukumat se hy. Aur Imam ki jab hukumat hogi to pure hafte aur saal bhar ki policy is k zariye batayi jayegi. Aur khums ka ta'alluk to din ki tarvij k liye hy. Agar paisa nahi hoga to dini kaam kayse aage badhenge. Wallahu A'ALAM.

har jumeraat ko Jo fatya dete hai intekaal huye Insaan ka woh moharram me ashure ke darmiyan ke jumeraat me de sakte hai kya?

Salam DE sakte hy lekin shohda e karbala ko bhi shamil kr liya jaye to bahut behtar hy.

Salam Train meh kya Namaz padh sakte hai???

Ws Namaz hr paak jagah pr PADHI ja sakti hai.

Roze arafah keh amaal kya hai

Salam Mafatihul jinan me aapko pure aamal mil jayenge. Mukhtasar tawr pr yeh hy 2 subah ki tarah. First me sure ahad dusri me sure kaferun. Sure hamd k bad. Phir 2 2 kr k 4 RAKAT hamd k baad 50 martaba sure ahad hr RAKAT me. Aur bad me dua e arafa. Ziarat imame husain a.s

Salamun alai kum. mera sawal ye hai ke agar koi aurat bewa ho aur kissi mard ke muttah mei ho aur usse kissi dusre mard se bhi muttah karna pade . lekin woh apne pehle mard ko nahi bataye. ek hi time mei 2muttah mei reh rakhti hai?

Ws Mutah bhi ek tarah ka aqd hy. Jayse nikah me 2 mard se shadi karna haram hy isi tarah 2 mard se Mutah bhi na mumkin hy. Aur bahut sakht Islam me saza Tay ki gay hy. Iltemase duva

Salaamun alekum. kya hum koi bhi ziarat ki 2 rakat namaz ziarat padne se pehle pad sakte hai ya nahi?

Kyun nahi? Padh sakte hy

Salaam walekum. hum salo se magrib k waqt agarbatti aur shama roshan karte hai abhi done Dino pehle hamare ghar mehman aye the unhone kaha k y sahi nahi hai Yeh hinduon ka riwaj hai hum logo nahi karna chahiye. please bataen hum kya kare?

Ws Agar yeh kam hinduo ki rasm samjh kr anjam de rahe hy to ghalat hy. Aur agar is ko ghar me khushbu vaghaira ki NIYYAT se hy to khushboo sunnat hy. Aap ki NIYYAT pr sab kuch hy. Salwat

Salaam walekum. hame janna hai k ziarat e ashura k baad dua e Alqamah padna zaroori hai? aur kya ziarat e ashura mei jo 100 martaba padna hota hai woh ek baar pad sakte hai?

Ws Jo jitna zyada padega uoos ka uootna zyada ajr payega. Iltemase duva

Salaam walekum. maulana hame janna hai k kya wajib namaz pade waqt hum hath mei book leke pad sakte hai bade suro k liye ?

Ws Ji ha Iltemase dua

Salam. kindly let me know the minimum and maximum height of SAJDAGAH. Thanks. khuda Hafiz.

Ws Maximum 4 uongliya mili huvi k barabar uoonchi hona chahiye. Minimum zaruri nahi

Salamun aliakum agah mere sawal yeh ke jab karbala me sab shaheed hogaye aur jab imam hussain as ka ghoda murtajis khaime me imam as ki laash ko lekar aaya phir uske baad murtajis kaha gaya…matlab imam as ki shahdat ke baad murtajis kaha gaya kya woh shaheed hogaya ???

Ws Imam husain a.s k ghode ka nam alag alag bayan huva hy. Majlis me bayan hota hy k nehre furat me kud gaya tha. Aap dusre olma se ruju kare. Iltemase duva

ager hindu parosi ky ghar say khana aaya hai. to kaisay pata chalay keh najis hai ya nahi ? ya to yeh keh hindu kay haath ka khana paka hua khana hi mana ho. aur ager kabhi hindu kay ghar ka khana kha lia jaay. to phir kia kerna chahiay ?

Khuda k hukm ki na-farmaani ki hy ab tawba kare khuda se mafi chahe aur dobara aysa n ho khuda se ahad kare. khuda zarur maaf krne vala hy.

kia quran yeh hadees yeh kahe likha hai hindhu sath kis had tak rishta rakha jaya. shukriya plz mujhe jana hai. sath khana, rehna.

Mushrik najis hy "Innamal Mushrikuna Najasun" (Surah 9, ayat no.28)

hindhu ka ghar sa aaya khana kha sagta hain?

Najis khana khana jayez nahi. Aur mushrik najis hy. Uoon se akhlaq se pesh aana chahiye.

Agha Salamun Alaikum. Nazre Bad ke door hone ke liye kaun si Dua padhe.

Ws Sure qalam ki aakhri ayat zyada padhe aur ayatul kursi aur 4 qool bhi padhe

Salam un alaikum, Agha please quote any hadith or sayings from masoomeen (a.s) on patriotism! regards, Muhammad Hasan

Ws, Imam Ali a.s se hadis milti hy k watan ki mohabbat iman me se hy. Wallahu aalam

Non muslim (Hindu) na sehat mate dua kari Shakay?

Salam Akhlaq na rite kari shakay. Sathe Eni hidayat mate pn dua karvi. Mohtaje dua Salwat

Salam mera sawal hai kya aurat ya mard wiladat imam ke jashn me kaside ke sath taliya baja sakte hai ya nahi.

Ws Zaheran koy qabahat nahi. Arab waghayra me aysa hota hy. Lekin apne hindustan ka yeh mahol nahi hy is liye agar koy aysa kare to ajab lagta hy. Mohtaje dua

salaam Maulana meine apna istekhara nikala hai mana aaya hai mein agar woh chiz karoga toh kya karna patega

Ws Jab mana aaya hy to n karo behtar hy.

Salam! Kya mustahab namaz keliye wuzu wajib hai?

Ws Namaze mayyat k alawa hr namaz mustahab ya wajib k liye wazu ya gusl ya Tayammum zaruri hy

Salam, Yeh Niyaz jo hum karvate hain. Wahabbi Hazrat isey Biddat kyun kehte hain? Aur Niyaz Ko Quran o Hadees se kaise Sabit kiya ja sakta hai? Aur Iska Tareeqa kya hai?

Ws Sure dahar padhe uoos me nazar ka zikr hy (Innama yoridullaho Se dekhiye aur tafsir dekhiye)

Kya Alam e Mubarak ko sajda karna jaez hai? Kis niyyat se jayez hai aur kis niyyat se galat hai? Shukriya

Salam Allah k alawa kisi ko bhi SAJDA karna jayez nahi. Allah k shukr ka SAJDA kare to jayez hy.

‘raziyallaho anhu’ kya hame sunniyo ki tarah ye lafz kehna chahiye. Kisi bhi ashab, ya zauja e Rasool ke liye.

Salam R. A. Ka matlab hy k khuda uoon se Razi ho. Ab voh khuda k liye hy k voh Razi ho ya n ho.

Alaikas Salaam Jaise maine 1 shia ko ye bolte suna. Janabe umme salma (raziyallaho anhu) and hazrat umar ibne umme salma (raziyallaho anhu). Mera sawal hai ke kya aisa bolna thik hai.

Ws Nek insan k sath laga sakte hy jayse k j. Uomme salma r.a.

Namaz me topi pehenna kaisa hai. Kya ye Rasool ki sunnat hai ya fir aisa kuch nahi hai hamari riwayato me

Pahen sakte hy koy haraj nahi hy. Lekin sunnate nahi.

To phir sab maulana, pesh Imam kyu pehente hai agar sunnat nahi hai to.

Amama sunnat hy. Pesh Imam to karta bhi peharta hy........ Yeh is liye ho sakta hy k sar k baal PESHANI pr n aa jaye. Ya Indian culture me ek izzat k sath is ka shumar hota hy. Bal k Toilet me jao to sar dhankna sunnat hy.

Kya Hadees e Kisa moatabar hai?

Bahut si kitabe hy Jin me hadise kisa k bare me zikr hy. Lekin alfaz badle huve hy. Mamun sb ka ek hy.

assalam alaykum agha. tauzihul masael me jo masla hai ke doodh peete bachhe ka pishab se afar kuch najis ho jaata hai to use 1 baar paani se saaf kar sakte hai . ye sirf maa ke doodh pe jo baccha hai uske liye ya fir upar ka doodh yani gaay ka doodh ya dabbe ka doodh peenewale bache le liye bhi hai.

Ws MAA K dudh ka hukm hy.

salamun alaykum agha. kya imam husain ki ziyarat pe jaane ke liye bank se loan le sakte hai?

Ws JAYEZ tarike se qarz le kar ja sakte hy.

salamun alaykum agha. kya biwi apne khud ke maal me se khairat kar sakti hai bina shohar ki ijazat liye?

Ws Jo khud ka hy to koy haraj nahi

salamun alaykum. Agha qurbani kacchi zameen pe hona chahiye aisa koi masla hai ya koi bhi zameen pe ho sakti hai.

Ws Koy bhi zamin me ho sakti hy

salamun alaykum agha. Eid me jo bakre ki qurbani hogi uske hisse karke rishtedaro aur gareebo ko diye jaate hai ya fir sirf gareebo ko de sakte hai. Aur ghareeb sirf shia momin hona chahiye ya fir koi bhi musalman chalega.jazakAllah

Ws Uoos k gosht k 3 hisse kiye jate hy. 1 apne ghar k liye 2 padosi 3 gharib agar momin ho to zyada sawab milega.

salam.. kia ilm e jafar k zariye apny halat pta krna or faal nikalwana jaiz ha islam ma?

W alaykumu ssalam Ilme Jafar ahlebayt a.s. Ne talim farmaya huva ilm hy.

Agar hum surah alaq yaad kar rahey ho, toh sajdah wali ayat ko bar- bar padey toh sajdah kitney karney hai?? jazakallah

Salam Sajde Wali ayat padhe ya kisi shakhs se jitni martaba sune SAJDA karna hy.

salamun alaiqum, ek bhai ne 3-4 saal pehle qaza namaz adaa krne k liye paise liye they. unko abi yaad nhi hai k unhone kitni namaz adaa ki hai or kitni baki hai. to unke liye kya hukm hai? kaffara dena hoga? paise wapas dene honge? dubara sari namaz ko adaa krni hogi?

Ws Km se km jo padha hy uoos ko shumar kr le baki ki namaz padhe ya kisi se padhva ye

Salaamualiakum, Kya halat e haiz me aamal e arfa karsakte hain

Ws Agar faqat dua e arafa padhna ho to koy haraj nahi lekin namaz k liye taharat ki shart hay.

Sawal ye hai ek student hai usko gharwale paise bhejte hai. kuch paise wo kharch deta hai aur kuch paise wo bacha leta hai. to jo paise jo bach rahe hai uske pas saving jo hai usppar saal me usko khums nikalna padega?

Ws Jo bhi sal bhar kharch karne k baad rakam bache to ehteyate wajib hy k khums nikale. Wassalam

in hindi Maulana sahab kya Ghusle Janabat karne se pehle Muh (mouth) mei aur naak (nose) mei paani dalna Wajib hai. Hume bohot shak hota hai Ghusl ke waqt. aap hamare Madad kare

Salam Gusle janabat se pahele apne jis pr jo najasat lagi ho uoos ko dur kare bs Uoos k baad gusl anjam de. Aap ka gusl sahi hy aur koy shak karne ki zarurat nahi. Iltemase duva

AoA , we have a new baby girl born yesterday at 3:05 pm (GMT+3) . we want to name her Marzia Zehra. some in family suggesting that we should consult someone to see if name is suitable as per date and time of birth and as per ilm ul aadat (numbers) but my point is since Marzia is one of the name of BiBi Sayeda Fatima S.A it is not necessary to consult. i need your advice in this regard. May Allah shower his blessings upon you.

Ws Khuda aap ko mubarak kare aur hr aafato bala se mehfuz rakhe. Aap ne behtarin nam ko pasand kiya hy. Aur Bibi fatema zahera s.a se behtar konsa nam ho sakta hy? Masumin a.s k nam behtarin nam hy. Mohtaje dua

Salam Alaikum, 1. apde khums ma thi sehme Sadat ni rakam jarurat mand sayyed ne api shake…?? 2. apde jeni taklid large chhe ene Jaan karvu compulsory chhe.

Ws Jo wars no kharach n uoopadi sakto hoy ane syed hoy to sehme imam ni rakam aapi shakay