ye bat to samaj me aai k aurten is tarah k kapde pehne jisme unka badab chupa rahe or itne loose pehne jisse badan ka shape bhi na dikhe. Lekin sar k baal dhakne q kaha gaya h. jahan tak k mai janta hun sar ko dekhke koi shehwat ny hoti. gardan se pair tak ko dekh ke hi shehwat hoti h. or kya meri wife p wajib h k jab woh aurton k beech rahe us waqt bi sar dhak k rakkhe?
baalon ko sirf shahwat nahi balki zeenat aur khubsurti ki wajah se chipane ka hukm hai,use tarah tarah se change aur design kia ja sakta hai,waise kyun wajib hai asl wajah to allah hi janta hai, aurton se baal chipana wajib nahi