what is the correct way to remove sadqah of our Imam e hujjat ? n what is the benefit or reason for this sadqah ?

aap niyat kijiye ki imame waqt ki salamati ke liye sadqa nikal rahi hun yahi kafi hai isliye ki apne imam ke liye ham sochenge to allah hame salamati ata farmaega. sadqa ka reason socially etebar se maashere ke ghareeb afrad ko madad pahuchana hai,aur dusri wajah qurbani ka jazba paida karna hai ki ham apne maal aur jaan ko apna nahi allah ka samjhen,,iske bahut se faede hain hadees me haiki sadqa sattar pareshani ko door karta hai jisme maut ke waqt ki pareshani bhi hai,sadqa hamari umr ko bhi ba barkat karta hai