Walaikumussalam
1- aqayed sahi hain Amal me Kami hai tu Wahi arz kiya upar ke uske Amal Ki talafi wurasa kar sakte hain magar aqeede Ki nahi aur mustahqqe Shifaat hoga
2- Amal ache ibadat ke etebar Se tu nahi ho sakte kyonke aqeeda sahi nahi hai Han akhlaqi khoobiyon Ki buniyad par azab me takhfeef aur duniya me kamyabi Di jayegi baz awqat Khuda hidayat bhi kar sakta hai magar maut ke bad agar aqayed agar ache na hon tu Najat tu nahi milegi azab me Kami hogi
Jaise nausherwan kafir tha dakhile jahannam hoga magar Aag Se mahfooz rahega
Aur hatim bhi kafir tha magar Sakhawat aur adalat Aisi sifaat hain ke sipar ban jayengi magar Kufr ke sabab anjam jahannam
Aqeeda aur Amal dono zaroori hain
Wassalam
Syed Abul Qasim Rizvi