shukriya maulana saab jawab dene k liye. Aksar ye hota h k meri wife ko meri ammi ki koi baat buri lagti h toh wo mujse share karti h. do baar maine ammi se is baare me baat kii to ammi ko laga k wife ne mere kaan bhare or shikayat kiii, par meri wife ne sirf mujse share kiya tha uska yeh mtlab ny tha k mai uski side se ammi se baat karun. kya aurton ko shauhar se yeh sab discuss ny krna chahiye. kya shauhar ko yeh sab sunne k bad maa se discuss krna chahiye. agar wife share na kare or dil me preshan rahe to bi sahi ny h. or agar wife ka sunke maa se share karun toh maa k dil me wife k liye nafrat paida hogi. Aisi situation ko handle krne ka sahi tarika kya h jisse dono k dil me mohobbat bani rahe

wife say sun ker mother ko na batain
aur na mother say sun ker wife ko
indirectly situation ko handle karain
wsalam