Salamunalaikum Moulana sahab agar iucd ki wajah se bleeding ki problem ho means white discharge hi white ki jagha matmaila ya brownish aur humesha har time nahi hota aisa na hi roz mtlb puchne ka ye hai ki jaise raat ko 12 baje nahaya ho with ghusl istehaza e qaleela ki niyat se aur subha namaz ke time bilkul saaf hon to ghusl karne ki zaroorat hogi namaz subha ke liye ya namaz parh sakti hun wazu karke Dusre agar zohar ki namaz tak discharge dikh gaya tab ghusl karna hai ya wo raat wala ghusl cover kar lega Aur ya ho subha ya na ho fir bhi subha namaz se pahle kar len to sari namaz wazu se ho jayegi. Ya kya karna hai mai bahot parishan hun plz bata den kaise karna chahiye Wsalam
Walaikumussalam
Istehaza Ki 3 qism hai
Qaleela: cotton rakhne ke bad us ms khoon lage Magar pura na bheege to bus har Namaz ke liye wuzu Karna hoga aur har namaz Se pahle check Karna hoga agar khoon hai tu paak Karna hoga aur cotton Badalne ke bad wudhu Karna hoga
Mutawasseta : isme khoob dosre taraf tak dikhai de tu Subah me ghusl Karna hoga aur har namaz Se pahle check Karna hoga cotton Badalna hoga aur wudhu Karna hoga
Kaseera : Jub cotton puri tarah bheeg jaye khoon Bahar aajaye tu 3 ghusl Karna hoga ek fajr Se pahle ek Zohrain Se pahle Aur ek maghrebain Se pahle.
Aap Ne upar jo kaifuyat bayan Ki hai us me wudhu kafi hoga
Wassalam