Salamunalaikum Janab mere kuch saval hain khums ke silsile mein aap se guzarish hai inke javabaat de den taki main apni sharai zimmedari poori kar sakun

alakum salam .tarkhe khumsi zaroori nhi hai job ke shuru hone se tataabuq rakhti ho balke kabhi bhi moayyan ki ja sakti hai
2 jitne saal insaan ne khums nhi dia hai us ke baare me do kaam kia jaa sakta hai pahla ye ke yaad kare ke kitna khums ka maqrooz ho sakte hai usi andaze se khums nikale aur ehteyat karte hue thoda zada nikale duara kaam ye ke hakim shara se musaleha kar le .3 jis ghar me aap rah rahe hain us par khums nahi hai lekin wo paisa jo aap ke walid ne dia tha aur ek saal aap ke paas raha tha us par khums wajib hai aur chahye ke us ka khums ada kia jae ya phir musaleha kia jae aur loan par khums nahi hai kyu ke wo aap ke ghar me use hua hai ke jis me aap rah rahe hai