Salamun alaikum, sawal ye hai k agar koi ahle hunoot murti pooja b kre aur namaz b parhe aur kahe k mai Ahlebait a. s. ko manta aur unki sunnat pr amal krta hu to kya wo shakhs pak hoga. (mujhe yaqeen hai k wo murti pooja b krta hai aur doosri taraf ye dawa b krta hai k wo Khuda swt ko b manta hai) kya agr wo masjid me namaz k liye dakhil hona chahe to hamari sharai zimmedari kya honi chahiye? wassalam. shukriya

Walaikumussalam
Islam ek mukammal zabeta e hayat hai aur sath hai ek elahi silsila e aqaeed Ka nam hai aur quran ke mutabiq shirk zulme azeem hai uska yeh Amal usool e deen ke khikaf hai aur is tarah ke deen Ko quran Ne sura E Kaferoon me condemn kiya hai لكم دينكم ولي دين
Tumhare liye tumhare deen aur hamare liye Hamara deen hai sura e tauba ke mutabiq
إنما المشركون نحس
Beshak mushrik najis hain Masjid me dakhle ke liye taharat shart hai
Kisi tarah Ki shiddat akhtiyar kiye beghair is masale Ko handle kiya jaye
Allah aasaniyan paida farmaye aur us shakhs Ko mukammal taur par Islam Se hood de aur use sachcha aur acha musalman bana de
Hai Shahadat gahe Ulfat me qadam rakhna
Log Aasan samajhte hain musalman Hona
Wassalam