Salamsupposing, humare pass 2 bank account hai 1 jo regular use ka hai, jis mein se paise nikale bhi jaa rahe hai aur daale bhi. Aur dusra jis mein sirf save kiya jaa raha hai.AB SAWAL YE HAI.. pichle saal date aane par dono jagah se khums nikala gaya. aur ab saal bhar ke baad khums ki date aa rahi hai. To jo istemal mein hai uspe to khums niklega… lekin jis mein saving ho rahi hai us mein kya dubara khums niklega? aur agar us savings mein se 1 ya 2 baar zaroorat ke liye paisa nikala gaya ya phir dala gaya us pe khums niklega?? Jo saving ka hai jispe khums already nikal chuka hai lekin us mein se 1 ya 2 baar nikala gaya hai aur ezafa bhi kya gaya.. to kya jo bhi total amount hai saving mein us pe dena hoga.. ki jo ab dala hai ya nikala hai uspe?? plz explain

W alikum Salam, ek paise par ek bar khums nikalta hai. Apko jo saving account hai agr last time khums nikalne ke bad usme masalan 20000 bache to ab is 20000 par dubara khums nahi hai. Lekin agr is 20000 me kuch kam hua aur dubara kuch add hua to jo bhi add hua hai uspar khums hai. Agr apne is 20000 me se 5000 nikala aur dobara 5000 add kar diya to is new 5000 par khumas hai.