Salam…agha mjhe ye pochna he k kundun ki shrai hesiyat Kia he aur isme Jo Kahani parhi jati he lakarh haare ki aur imam jaffer Sadiq a.s se mansoob Kia jata he .tou Kia he sahi he ? agr ye Kahani ghlat he tou uska imam ki trf mansoob Krna gunah me shumaar Hoga aur agr ye waqiya thek he ki ksi mustanand kitab as btaen name k Sath.. shukriya

Walaikumussalam
Jahan tak 22 Rajab Ki bat hai yeh marg e muawiya Ka din hai is liye Ahlebait as ke chahne wale khushi manate hain nazr Ka ehtemam karte hain yeh nazr sirf barre Sagheer me ya jahan barre sagheer ke rahne wale rahte hain wahan iska ehtema kiya jata hai
Iski sharai haisiyat agar Kisi riwayat ya Qaule Masoom Ki buniyad par tu Aisi koi Samad nahi milti hai
Lekin khushi Ka din momeneen Ko dawat Dena khana khilana yeh sunnate ambiya aur aimmah bhi hai Umar e saad aur Hurmula ke sir jab aaye tu imam Zainul abedin as Ne shukr Ada kiya meethe Ka ehtemam kiya tu khushi Ka din momeneen Ka Jama Hona khushiyan mañana
Aur khana khilana ek acha Amal hai bus us riwayat Ko na padha jaye imam Ki Janib jhoot Ki nisbat hogi aur is sare Amal Ka maqsad Ahlebait as Se qurbat hai magar jab hum Aisi koi riwayat naql karenge jiski koi Sanad nahi tu imam Ki narazgi ka Sabab hoga
Nazr e Maula kijiye magar is waqe Ko na padhiye momeneen Ko dawat dejiye khushiyan manaiye magar sharai taqazon Ko zaroor peshe nigah rakhein
Wassalam
Syed Abul Qasim Rizvi