Walaikumussalam
Aqeeqe ke gosht ke 3 hisse honge daya(mid wife) jo khatoon waqte wiladat madad karti hai
Dosra Hissa fuqara Ka hai aur teesra doston Ka hain .bulke gosht taqseem Karne ke bajaye paka kar momeneen Ko dawat Dena bhi mustahab hai.Aqeeqe Ka Walima mustahab hai
Magar aqeeqe Ka gosht waledain nahi kha sakte hain bulke ehtiyatan woh log bhi na khayein jinki kifalat aqeeqa dene wale ke zimme ho
Aisa bilkul nahi hai ke syed ghaur syed ke aqeeqe Ka gosht nahi kha sakta hai
Aqeeqa wajib nahi hai bulke sunnat hai aur iski Takeed Ki Gai hai
kyonke mustahab hai aqeeqa 7th din ho kyonke Rasul saw Ne Imam Hasan as aur Imam Husain as Ka aqeeqa satwein din kiya tha agar us waqt na ho tu bad me ho sakta hai yahan tak ke agar Kisi Ka aqeeqa waledain Ne nahi kiya ho tu baligh hone ke bad jawan hone ke bad Khud bhi kar sakta hai.
Wassalam