Salam maulana sahab. mai ilme deen k maamle me bhot bhot peeche hun. meri umar abhi XX saal. din ayse hi guzarte jaarahe hain lekin ilm nahi badhra hai. Ab mai apni deeni knowledge badhana chahta hun lekin sabse bada masla yeh hai k shuru kahan se karun. Hazaaro books hain or hazaaro cheezen hain deen me. Is chiz me mai confused hun k start kahan se karun or kis kitaab ko padhun. Please help me. Ilm hasil karke mai apne aap ko develop karna chahta hun or akherat bhi sawaarna chahta hun. Quran muje padhna aata h or namaz aati h bus. baaki chiz me zero hun.

Ws Ilm hasil karne k liye koy uoomr ya saal ki qayd nahi hy. Khuda aap ki is bedari ko maqsad tk pahonchaye. Ibteda me aap uoosule deen ko sikhe. Aur samjhe. Ya uoos k mutallik jo dars ho uoos ko sune. Aaj kal to Internet k zariye se aap shia olma ki books aur taqrire waghayra se istefada kr sakte hy. Iltemase duva