salam alaikum maulana saab, mai bhot saalon se sun raha hun k 'jisne khud ko pehchana, usne khuda ko pehchana' , aaj tak iss baat ka matlab ny samjha. agar kisi shaqs ne khud kii study or usko pata chala k woh geebatdaar hai, darpok hai, chor hai, wagaira wagaira toh kya naauzobillah khuda bhi aisa hai. please iska matlab bataiyega k kiss liye yeh kaha jata hai.

wsalam, apnay app ko pehchna yani apnay wujood ko,kahan say Aya hay kahan ja reha hay,uss Kay atraaf main yeah sub Kiya hay, aur apnay ko goor kerna apni khilqat per apnay badan Kay nizaam ko, uske bareekion ko… insaan mutuwjha ho Jaye ga, Kay uska khaliq Kitna qadir hay, Kitna azeem hay, ik aur hadees main hay jis nay Allah ko pehchna utna uska khoof berhta jata hay yani utna khuda kee ibadat kerta hay utna he ghunnah say door rehta hay