Salam Aga ali Abbas kahan ap ko Ramzan ke akhri Ayyam Mubarak hon aur aga ek quest tha ke meri beti 9th year ki baligh ho gayi hain to ab usko par shariyat ke arakan vajib ho chuke hain aur ab usko koi mukallid ki taklid karvani hain to Kaise karaye aur ab ye 9th year ki ho gayi to ab kaise age ka plane continue rakhna padega aur taklid ka process Kya hain vo bhi batana mashaallah Ramzan ke 4-5 din pahela baligh ho gayi thi aur Mahe Ramzan me pura mahina complate roza rakha to ap aga uska rply Dena main uska Muntazir hoon

Walaikumussalam
Main Syed Abul Qasim Rizvi hon
Mashallah mubarak ho aap Ne yeh acha kiya ke roze rakhwa diye
Baligh hone namaz roza Degar ibadaat wajib ho Jati hain aur Aahista peeche Ki qaza namazein padhwaiye
Sath Taqleed bhi
Taqleed Ki niyat karni hogi jis marja Ki Taqleed kar Rahi hain
Main ….. marja Ki Taqleed furu e deen me karti hon wajib qurbatan ilallah
Aur us marja Ki tauzeehul masayel rakhein aur usko padhein aur rulings Ko wahan Se hasil karein
Ek aakhir bat ke 9 years Islamic hisab Se yane lunar calendar Se solar Se nahi yane agar aapne English date of birth Se calculate kiya hai tu har sal ke 11 days ke hisab Se 99 days pahle baligh hogai hogi
For example 28 may Ko 1 ramazan Thi Kisi date of birth 28 may hai tu 99 days back kare tu 8 February 11 jamadiul awwal aapki Beti Ki Islamic date of birth Hoi aur woh us din baligh Hoi hai
Allah ibadaat aur aamal Ko qubool kare taufeeqat me izafa kare
Beti Ko salamat rakhe
Aameen
Wassalam