Salaam alaikum Moulana. Mujhe Allah(s.t.a) Isteghfaar karna hai aur mujhe yaqeen kaise hoga ke Allah ne mere isteghfaar ko qubool kiya hai. aur mujhe isteghfaar ka sabse behtareen tareekha bataye. Mere do masle bahot zyada hai jiski wajah se mai apne aap ko hamesha gunahgaar aur kamzor manti hu, mai namaz ki paband nahi hu aur kabhi long drive karte waqt music lagati hu ke mujhe neend na lagjaye aur mai bahot lazy feel karti hu. namaz ki pabandi nahi hone ke wajah se mere kamai me aur ghar mei barakat nahi hai aur intehai pareshania hai. please mere problems ka solution bata deejiye taaki mai amal karsaku aur music se kaise dur hosakti hu chaahe mai kitna he koshish karu…Salaam alaikum Moulana. Mere sawal hai Ruhaniyat kaise haasil hoti hai aur uske liye kya karna padta hai. Isteghfaar ke kya tareekhe hai aur hame kaise yaqeen hoga ke Allah (s.a) ne hame bakhsh diya hai.Kya music sunne se hamari ibaadat aur haajat puri nahi hoti?please mujhe help kijiye.

wsalam,
rohaniyat wajibaat per ammal kernay say aur haram say door honay say hasil hote hay,
rohaniyat koi aese cheez nahe Kay koi ik ammal kernay say hasil hoo, apni zindagi Kay her ammal ko dehyan say anjam Dena,
her lamhay apnay app ko Allah Subhnatala ka bunda smjhna,Rasool e Khuda SAWW say mohabbat kerna unke sunnat per ammal kerna,wilyat ahlebait AS ko tasleem aur unke ataat kerna,
apnay huqooq sahe Ada kerna etc
astagfar zabani bhe hay aur ammal say bhe hay yani dobara woh ammal na kerna
rooz ik tasbeh astagfar kee fajar aur asar kee namaz Kay baad perhain, baqi Allah Subhnatala reham kernay wala hay humain hemsha iss per Yaqeen hona chaye,
music say Murad ghanay weghra hain tu yaqeenun iss Kay negative effects life per perhtay hain,

Illtemasedua