jis ne allah ka ehteram nahi rakha hai aur allah ki nafrmani karte hue kufr ekhteyar kia hai to phir us shakhs ka bhi allah ne ehteram baaqi nahi rakha hai isi lie wo najis hai aur us ke haath ka nahi khaya ja sakta.
quran kahta hai ke be shak mushrikeen najis hain.
jis tarah najis cheez me nuqsan hai isi tarah kafir bhi najis hai aur najis cheez jab insan ke pet me jae gi to is me us ke badan ke lie bhi nuqsan hai aur us ki manawiyat bhi kam ho gi
hotel me jo pack cheez hai wo kha sakte hain lekin agar pack cheez na ho aur wo cheez gili na ho ya haath bhi gila na ho to bhi kha sakte hain lekin agar haath ya wo cheez gili ho to ye najis ho jae gi aur khana haram hai.
albatta yaha par ek baat wazeh kar dena chahta hun ke insaniyat ek alag masla hai aur najis wa paak ek alag masla hai ho sakta hai ek hindu insan insaniyat ke etebar se bahot achha ho lekin chunke us ne allah ke deen ka ehteram nahi kia hai isi lie allah ne us ka bhi ehteram baaqi nahi rakha hai