Walaikumussalam
G Han khana Haram hai aur woh najis hain aur yaqeenan jab haram hai is liye khana gunah hoga iska jism aur Rooh dono par asar is padta hai aur sabse pahla asar ibadat qubool nahi hoti dua qubool nahi hoti aur Najis khane ke nateeje me taufeeq e ibadat bhi khatm ho Jati hai phir na ibadat Karne Ko dil chahta hai aur agar ibadat karein tu dil nahi lagega aur sukoon nahi milega
Kaffara isteghfar hai aur future me khane Se Parhez Hai
Khuda har momin aur Momina Ko luqma e haram Se mahfooz rakhe
Aameen
Wassalam
Syed Abul Qasim Rizvi