meri ammi chahti hain ke meri wife kii delivery sarkari hospital me ho jo waise to treatment me kaafi acha hai lekin wahn aane jane me meri wife ko problem hota hai q k mahine me ek baar jaana padta hai lekin takriban 6 7 ghante lag jaate hain sab chekup hone me. ek private hospital qareeb hai lekin agar mai wahn uska treatmnt karwaunga to ammi mujse thoda naraz hongi q k unki marzi k khilaaf hoga or mera paisa bi zada kharch hoga. ab Agah bataiye k iss masale ka hal kya hai. ek taraf wife ka araam or ek taraf maa ki naraazgi.
agar wife ko taklif ho rahi ho ya phir aisi problem samne aa rahi ho ke jis ki wajah se waife ko nuqsan pahonch raha ho to ammi ko samjhaye aur agar phir bhi ammi zid kar rahi ho to aisi surat me baat sunna zaroori nahi hai kyu ke kisi ke nuqsan ka masla hai