mere demag me yeh sawal hai ke kyu ghaibat e Imam e zaman (a.t.f.s) Eid ke namaz mustahab ho jate hai chuke Imam e zaman (a.t.f.s) hamare darmeyan maujud nahi hai lekin khums sahme imam ham PE wajib rehte hai ghaibat me?

Salam Imam k zamane me is liye namaze juma aur eidayn wajib hy k yeh dono namaz ka Asli ta’alluk hukumat se hy. Aur Imam ki jab hukumat hogi to pure hafte aur saal bhar ki policy is k zariye batayi jayegi. Aur khums ka ta’alluk to din ki tarvij k liye hy. Agar paisa nahi hoga to dini kaam kayse aage badhenge. Wallahu A’ALAM.