me university student hun aur meri university me co-education system hai. Meri friends girls hi hain par prhai k silsily me boys say bhi baat hoti hai aur jab class trips hon tou tab prhai say hat k bhi baat cheet hojati hai. Me shia hun tou aksar sunni boys say discussions hoti rehti hain aur 1 boy atheist hai us say bhi bhut discussions hoti hain. Boys mery sath facebook pay bhe add hain aur un kay sath social media k through contacts bhi hain. Mera sawal yeh hai k kia islam is tarha kay contacts allow karta hai ya islam mai sirf yai hai k boys say kisi bhi soorat contact na rakha jaye

قُل لِّلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا مِنْ أَبْصَارِهِمْ وَيَحْفَظُوا فُرُوجَهُمْ ذَلِكَ أَزْكَى لَهُمْ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا يَصْنَعُونَ وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ….
“(O’ Prophet!) Say to the believing men that they cast down their looks and guard their private parts – that is purer for them; surely Allah is aware of what they do. And say to the believing women that they cast down their looks…”
Is ayat ki raushni main agar modesty ko maintain rakhte hue sirf formal relationships ho to koi problem nahin hai.magar ek non mahram woman jab kisi non mahram man se baat kare to use apne awaz soft nahin karna hai aur na hi bahot ziyada hans kar baat karni chahiye ( jise aaj ki zaban main flirt kahte hain ) precaution eh hai ke jitna ziyada se ziyada ho sake na mahram man aur woman ka interaction kam hona chahiye.Ho sakta hai aapki niyyat saf ho magar samne wale ka kia intention hai no body knows. Is liye jitna mumkin ho sake aise relationship se bhi lathes kiya jaye ji se Gunah ka khatra ho sakta hai.