me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?mujy sirf hadith o farameen k hawaly chye

quran ki ayat hai ke momenin se kah dijye ke apni aankho ko ( na mahram se band kar len ) aur momena se bhi kah dijye ke apni ankho ko na mahram se band kar len.

jab khuda quran me na mahram se nazar milane ko mana kar raha hai to baat cheet hansi mazak… to yaqinan mana hi hai.

aur hadees bahot zada hai aap wasael al shia ke abwaab nazar karne me dekh sakti hain.