me ne pouchna tha k quran o hadith aur shariat me kaha pe btaya gya hai k aik na mehram larky ka 1 na mehram larki se contact rakhna haram hai? aur kia ye bat aaima e masomeen a.s k talimaat ya farameen me hai k 1 larka aur larki apas me contact nahi rakh sakty?

Quran ya Hadis main zahir hai aisa to nahin likha hai ke ek na mahram Aurat dosre Na mahram mard se baat nahin kar sakti ya contact nahin rakh sakti. magar ab sawal eh hai ke eh contact kis hadd tak hai agar koi aurata ya larki kisi na mahram mard se flirt kare ya unse aise baat kare ke samne wale ke dil main Shaitan waswsa paida kare to eh kayez nahin hai.
يَا نِسَاءَ النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِّنَ النِّسَاءِ إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلًا مَّعْرُوفًا

O wives of the Prophet! you are not like any other of the women; If you will be on your guard, then be not soft in (your) speech, lest he in whose heart is a disease yearn; and speak a good word.(33:32)
maine pahle bhi likha tha ke agar kisi aurat aur mard ka jo ek dosre ke liye na mahrah hain apas main rabeta sirf Islamic dayere main aur iffat aur modesty ko maintan rakhte hue hi possible aur allowed hai. iske alawa beghair kisi legal need ke apas main rabeta rakhna sahi nahin hai.