Me apne city se itna durr gya tha k jaha namaz ko kasrr padni hai lakeen kuch bato k tahet me awwal waqt pe namaz nahi pad saka or me kaza hone se pehle apne city me pohuch gya par jab tak me paak saaf gusl karta tab tak namaz kaza ho gai thi .to ab muje namaz ki kaza karni hai to me kaza e kasrr padu ya puri namaz?

aap qaza puri padhen ge,,isliye ki jab namaz qaza hui hai us waqt puri qaza hui hai,,qaza me aakhri waqt dekha jata hai ki aakhri waqt kahan the