mai subha ko nimaaz padne k liye neend se bedaar he nahi hota hoon mujay kya kya karna chaheyeh. maine har tarika istmaal karkay dekha , alarm se be neend nahi tootti. mai 4kul be padta hu sone se pehlay aur wudu be karta hu phir b nahi uthta. mai kya karoon

sab se pahle aap bilkul pakka irada kar lijye ke uthna hi hai to uthenge agar aap ka 2 baje raat ka flight ho to aap sote hue bhi us time jaag jate hain kyu ke aap is baat ko zada ahmiyat dete hain lehaza namaz ko bhi apne sab kamo se zada ahmiyat dijye aur pakka irada karye nind khul jae gi.
hamesha ba wazoo rahye chahe jaagte hue ya sote time aur jab bhi raat me nind khule to phir se wazoo kar lijye.
din me jitna ho sake gunah se parhez kare kyu ke gunah bhi subah ki namaz ke chhoot jane ka sabab hai.
sote waqt tasbeehe hazrate zahra a.s padhye.
istegfaar karye.

is ayat ki tilawat sote waqt karye

قُلْ إِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ يُوحَىٰ إِلَيَّ أَنَّمَا إِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ ۖ فَمَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا