Mai Geebat ke baare me Puchna chahta hu. agar Kisi ke samne kisi ki Burai kare to wo geebat hai but agar mai apne hi man me kisi ki Burai karta hu ya kisi ke baare me bura kahta hu to kya ye bhi Geebat hai iska bhi gunah hai kya?

It would not be considered as a Gheebat
Isko gheebat ki category main nahin rakh sakte magar kisi ke bare main negative thinking ko Sooy-e-zann kahte hai jo ke Akhlaqi aitbar se sahi nahin hai. Aur eh aage chalkar Insan ke liye dosri mushkilat kharhi kar sakta hai.