Kya koi aisi surah ya amal hai jisse mai namaz mei pabandi ikhtiyar kar saku.

Namaz tamam ebadaton mein buland maqam rakhti hai.aur eh tanha ebadat hai jismain insan ko kisi khas mashaqqat darkar nahin hai. Misal ke taur per Roza woh ebadi amal hai jismain insan ko kam se kam bhookh aur pyas bardasht karna hi hai.Lehaza Namaz ki pabandi ahem hai aur hamare tamam aamal ki qabooliyat Namaz per mauqoof hai. Ek example de raha hoon shayad aapko Namaz ko qayem karne main madadgar sabit ho. Farm kijia agar koi hamara aziz ya dost hamen koi nayaab tohfa gift kare aur ham us tohfe ko le kar koi radde Amal yaani reaction zahir na karen for example apni khushi zahir na karen aur na hi usse kuch kahen ke aapka bahot shukria aapne zahmat kiya waghairah….aisi soorat main ek saqil Insan hamre bare main kiya rai qayem karega?? Shayad yahi ke main bahot dry nature ka insan hoon ya bahot ghamandi hoon ya hamko Tameez aur Tahzeeb nahin aati waghairah… isliye ke Duniya ka dastoor yahi hai ke Jab koi hamen kuch gift kare to kam se kam hamen uska Shukriya to adaa karna hi chahiye.
Namaz kuch nahin hai bas Allah ki bargah main uski nematon ka shukriya hai jise ham 5 bar kam Azhar kam Anjam dete hain. Allah me sehat di Salamati di aur ham raat bhar aaram karne ke baad Subah zinda aur salamat uth gaye jabke har Rox na jane kitne log raat ko sote hain aur hamesha ke liye so jate hain. To kia ab itni bari Nemat milne ke baad hamara itna bhi farz nahin banta ke ham apni zindagi ka 2 minutes Allah ki bargah main kharj karen aur 2 Rakat Namaz adaa karen???? Isi tarah Din ka schedule salamati ke sath poora karne ke baad hamara farz nahin ke 3-4 minutes ke liye Us Mabood ko yaad karen jisne din ki Raushni main hamen beshumar nematain ata ki aur hamare gunah ko logon per posheeda rakha.
Bas jab bhi aapko Namaz ki adaiyegi main kotahi Mahsoos ho ek minute ke liye apne aapko mirror main dekhiye aur fir apne aap se sawal kijia eh badan eh shaklo soorat hamen Allah be aata kiya aur woh bhi beghair mange to kiya hamara farz nahin ke ham uska shukriya ada karen.