Surae maeda aayat 35 me hai allah tak pahuchne ko wasila talash karo, quran me janabe yaqub ke beton ka zikr hai ki baba ke paas aakar kahte hain aap mere liye allah se isteghfar kijiye,, aise hi bahut si hadeesen hain jisme nabi ne farmaya shohadae badr ko dafn karne ke baad ki inse hajat mango ye hamari sunte hain,,, shirk ye nahi hai ki kisi ko wasila banaen shirk ye haiki aisa samjha jae ki wo allah se hatkar bhi khud hamara kaam kar sakta hai,, saare musalman khanae kaaba me jakar udhar hath utha kar dua karte hain, hajare aswad ko pakad kar dua karte hain kya ye sab bhi shirk hai?