humari namaz Qasr hogae thi lekin galti se puri namaz padh li to kya abhi wapas se Qasr ki niyata se namaz padhna padhegi. agar wapas padhna hai to qaza ki niyyat se ya normal

agar bhool kar puri padhi hai to jab tak namaz ka time bacha hai agar yaad aajae to namaz ko dobara qasr padhna wajib hai aur agar us namaz ka waqt guzarne ke baad yaad aae to qaza zaruri nahi agarche ehtiyat ki bena par behtar hai ki qaza ki niyat se padh le