Hum log jo duwa ya ziyarate ashura padhte hai to kis me padna chahiye(yani arbi pade ya fhir tarjuma)Tarjuma pade ge to pata to chale k hum kya padh rahe hai .Sawab kis me zayada hai arbi me ya fhir tarjume me ?

Samajh kar padhne Ka hukm hai lehaza tarjuma zaroor padh Liya kijiye Magar tarjuma hamare Alfaz hain aur Arabic me ziyarat jo hum tak pahonchi hai woh Imam ke Alfaz hain is liye sawab arabi me padhne Ka hai aur Jub aap tarjuma padhte hain tu kahte hain ziyarat Ka tarjuma padh raha hon tu ziyarat kahne Ka matlab yeh hai arabi me padhiye
Magar tarjuma bhi padhiye taake ziyarat Jub Arabic me padhein tu samajh me aaye