hozoor Akram saww ki rizayat k mutaliq sawal he. k ayaa hozoor me dai halima ka doodh piya tha? qk agr piya Tha tou phr hzrat mosa ne Bibi aasiya k muamle me q NH piya Tha..jbke Kuch ulmah ka kehna he k huzoor be faqat Bibi Amna s.a ka hee doodh piya Tha…rehnumai farmaen aur ksi mustanand kitab ka hawala den Taa k me bhi parh sakon

ji aapne haleema sadiya ka doodh taqriban 2 saal tak pia tha,hazrate moosa ko allah ne is liye mana kia tha ki wahan haqeeqi maa ko pareshani se najat deni thi aur ek bahane se bete ko maa se qareeb karna tha baqi jo chizen zakiri ke nukte bayan hote hain wo tarikh me nahi hai,haan rawayat me ye zarur hai ki daya use banao jo behtreen family aur acche kirdar ki ho jo haleema thin aur nabi fakhria kahte the main tum me sabse behtreen arab hun quraish se hun aur bani saad ke yahan doodh pia hai,aap kitabe safinatul behar vol 1 reza word me kai rawayat dekh sakte hain iske alawa kitabe istebsar vol 3 page 322 aur kitabe tahzeeb vol 2 page 279 par bhi in chizon ko padh sakte hain