apne saal ki amdani jo ke kharch se bach jae us ko hisaab kar ke 5 wa hissa khums nikalna hai.
jaise ke insan ki salary mahine me 20 hazar hai aur ye saal ke akhir me puri salary mila kar 50 hazar rupya bach jae to is 50 hazar par khums hai yani is ka 5 wa hisaa yani 10 hazar rupya khums ho ga.
isi tarah paise ke alawa dusri har wo cheez jo saal ke akhir me bach jae to bache hue par khums hai.
jis cheez par ek martaba khums nikal chuka hai us par dobara khums nahi hai.
isi tarah jo insan ki zindagi ki zaroorat hai us par bhi khums nahi hai jaise ke wo ghar jis me wo rahta hai…