ba arzw slam w taqdim e ehteram .jnab m Jawaharlal Nehru university m pdhta hu or campus k hostel Jo mujhe university ki taraf se Mila hai usi m rehta hu .shukre khuda se nmaz ka pabandi se ADA krna meri pehli zemmedari Hoti h or m wqt ki pabandi se nmaz ADA krta hu.lekin , yha pr hme jo khana milta hai usko Hindu Muslim milke bnate h jbke zyadatr tadad hinduo ki hai kya aysa khana hmare liye jaiz hai .agr hm yha ka khana na khate h to Jo mushkilat drpesh ho skti hain unki tafsil is trah h.1 chahe hm khana khayn ya na khayn hmko khane ka bill Dena zruri hai agr hm hostel m rehte hain to .2 agr hm bill bhi dete hai or khana apna bnana start kr de to kharcha bht zyada aayga Jo hmare budget k bahar hai or wqt bhi bht zyada lagega jbke hmari class subh 9 20 se start hokr 4 or kbhi 5 tk chalti hain lunch k waqfe k sath .3 yha or jo hotel hai wo zyada tr ghee Muslim hai or jo Muslim hain unke kuch Hindu bhi kaam krte hai to baat whi h .ab aap btaiye hmara wazifa kya hai ?kya in tmam conditions Ko nzr m rkhte hue hmare liye khana khana jaiz hai ya nhi ?

W alikum Salam
Agr apko khane ki najast ka yaqeen nahi hai (is case me yaqeen ka imkan kam hai) to ap kha sakte hain