Assalam alaikum Moulana. mera sawaal hai ki meri office aur ghar ka taqreeban 1 hour ka rasta hai aur mai drive karte waqt thak ke neend aane lagti hai to mai neend se divery hone ke liye kabhi radio on karleti hu car me jisme me kabhi music bhi aata hai. to kya ye bhi gunah hai aur agar hai to mai kaise apne aap ko isse parhez karu. quran kabhi sunna chaahti hu to bhi mujhe thodi der ke baad neend mehsoos hone lagta hai

Walaikumussalam
Music yaqeenan gunah hai aap manqabat Nauha aur qaseeda lagaiye
Waise ache qari Hazrat Ki tilawat Sunaiye aur quran Ki tilawat tawajjuh Se Suniye inshallah neend nahi aayegi aur quran Ka translation aur tafseer suniye.
Allah apni hifzo aman me rakhe
Aameen
Wassalam