Asalamualaikum sir kuch ajeeb si cheez hoti hai mere saath. mein abhi 4 am dua faraj par rahi thi.mein ek larki hoon aur mein dupatta ke baghair parh rahi thi.meujhe rona aaya. phir meine socha nahin dupatta pehn kar dua parhni chahiye lekin jab parh hi toh woh rone ka jo do daffa pehle aaya woh ab nahin aaya. is se pehle bhi kuch hisey howain hain.jaise agar mein surah parhoon ya quran ki ayat online bismillah ke baghair mere dil ko feeling aati hai . lekin jab mein bismillah bol kar parhoon to kam feeling aati hai.mujhe lagta tha ke kya shaitan mujhe pehle woh deen ke feelings de raha tha? lekin yeh mere saath kyon ho raha hai ? gunah ki waja se?mein kaise hatta sakti hoon is cheez ko?
wsalam,
her waqt ik jasey feelings nahe rehte,
jo asal tareeqa hay yani jo adaab hain dua perhnay Kay, Quran perhnay Kay, un per ammal zarore hay,
maarifat Kay Saath jo bhe kaam Kiya jaye asar kerta hay
gunna rukawat hay ibadat Kay asar main
Allah Subhnatala humain sahe amal kee tufeeq ata farmye