agr saare aalime deen same jo 4 kitabein unhe padh kr marjaa bante hai to fir fatwe alag q hote hai?or agar alag hote hai to knse ahkam ke alag hote h

taqleed yani kisi bhi jame sharaet mujtahid ke fatwe par amal kar.
jaise insan dawa me specialist ki taraf rujoo karta hai isi tarah deeni masael me bhi chahye ke specialist ki taraf rujoo kare aur specialist mujtahid hain ke jinho ne apni zindagi ki halal haram ka ilm hasil karne me laga dia hai.
usoole deen aur furu deen ki zaroori cheez me taqleed nahi jaez hai aur furu ke gair zaroori cheez me taqleed hai.

wali faqeeh yani imam ke hukm se jise imam ki gair mojoodgi me hakim banaya gaya hai

hamari bahot saari rawayate ham tak nahi pahonch pai hai
isi tarah jo pahonchi hai us me ekhtelaf bhi hai isi wajah se fatwe me ekhtelaf ho jata hai.
mamoolan furu me ekhtelaf ho jata hai