agha "1 larki aur larky ka baymaqsad baat cheet karna jo unhy haram ki taraf lay jaye"is tarha k contact k baary hadith o farameen jo hain aur jo b hawaly hain shariat me k kiya ye haram hai ya nahi wo sary hadith o farameen aur hawaly bata dain gy mujy?

mustadrakul wasael, vol 14 page 273 baab 83,,,imam Ali ne farmaya:namhram aurton se guftugu nuzoole bala ka sabab banti hai, dilon ko munharif karti hai, unki taraf ghurna dil ke noor ko khatm karti hai aur kan ankhiyon se dekhna heelae shaitan hai.
Nabie karim saww ne farmaya, jab do namhram Baat karte hain to tisra shaitan bhi hazir rahta hai, daaemul Islam vol 2 page 314
Rasule akram ne ghaire shauhar aur namhram se 5 kalemat se zyada Baat karne se mana kia hai,, man la yahzurhul faqih, vol 4 P 3 hadis 4968
Iske alawa bhi bahut zyada rawayat hain