salam alaikum, mai apni wife ki har baat me yaqin karne k liye kabhi usse quran ki, kabhi uske parents ki or kabhi meri, kabhi pet me jo hai 6 mahine ka baccha uski qasam khil waata hun. Qasam khilwane ki adat muje isliye padi q k pehle kafi baar yeh hua k jab maine usse kuch pucha to kuch jawab mila or jab qasam khilwaae to sahi jawab dia usne. shayad qasam khilwana sahi ny h lekin fir mai kya karun? mera bharosa toota h, isliye qasam khilwake sukoon milta h. agar mai galat hun to muje sahi raasta bataiye